How to keep your Social Media Accounts safe ?

Yeh sab vaise to sabhi jante hi hai lekin phir bhi hum dekhte hai Facebook, whatsapp par kaise kuch persons ke Social Media Accounts hack ho jate hai. Aise mai apke liye yeh jana bahut jaruri ho jata hai kaise aap apne Social Media Accounts safe rakh sakte hai.

Yeh article aap dhyan se padhna tabhi aap ise samjh sakte hai. Social Media Accounts safe rakhna apke hath mai hi hota hai 80% sab kuch apke hath mai hota hai apki hi mistakes ki vajah se apke Social Media Accounts ko hack kiya jata hai. Yeh article ko aap dhyan se jarur padhe.

Social Media Accounts safe rakhne se pahle apko yeh pata hona chahiye ki Social Media Accounts hack kaise kiye jate hai. Yeh sab apko pahle btaya gaya hai. Jaise Phishing attack, Keylogger attack, Payload, Cookies Hijacking jaise attack ke bare mai apko pahle btaya gaya hai.

Keep your Social Media Accounts safe ?

Yaha hum apko Social Media accounts ko safe kaise rakh sakte hai iske bare mai bata rahe hai. Yeh sab agar aap bhi karte hai aise mai apke social media accounts ko hack nahi kiya ja sakta hai.

How Social Media Accounts safe from Phishing Attack ?

Phishing attack ke brare mai apko pahle bhi btaya gaya hai. Jaise Homograph attack, Tab Napping attack ke bare mai bhi btaya gaya hai. Jinhe hum advance phishing ke naam se jante hai.

Yeh jadatar sabhi ko pata hota hai ki kisi ke diye gaye link par click nahi karna chahiye kabhi login nahi karna chahiye. Aise mai yeh question ata hai ki phir bhi kuch persons ke Social Media Accounts safe kyo nahi rehte hai.

jaise apko pahle bhi Phishing attack ke bare mai btaya gaya hai. Aise hi apko Homograph attack ke bare mai bhi apko pahle btaya gaya hai. Agar apne veh article nahi pade hai tab aap pahle vo padhle tabhi aap samjh sakte hai.

Jaise ki hum sabhi jante hai ki kisi ke diye gaye link par click nahi karna hota hai. Aise mai Hackers mail ke through email spoofing attack or Phishing attack or Homograph attack ka ek sath use karte hai.

Jaise maan lijiye apke pass mail ata hai direct inbox mai facebook ke through jaha likha hota hai ki apke account par hacking attacks ho rahe hai. Agar aap apne Social Media Accounts safe rakhna chahte hai. Aise mai aap apna link par click karke apne password ko change karle.

Aise mai aap yahi soch rahe hai ki fake mail to spam folder mai chale jate hai. Lekin aisa nahi hai apko sendblaster ke bare mai btaya gaya hai. Kaise direct mail inbox mai send kiya jata hai. Aise mai mail direct inbox mai a gaya.

Lekin link ke through pata lag jayga lekin yaha bhi homograph technique ka use kiya ja sakta hai. Aise mai aap yahi soch rahe hai ki login page open hoga lekin vaha old password new password ka option nahi hoga.

Yaha bhi kuch tools hai jinka use karke hackers Social Media Accounts ko hack kar sakte hai. Aise mai old password new password ka option bhi show hota hai. Yeh sab se safe rehne ke liye agar apke pass is tarah ka koi mail ata hai.

Sabse pahle aap Email Header ko check kare.Apko mail kaha se aya hai iske bare mai pata chal jayga. Aisa mail ane par aap apna password direct facebook ke through change kar sakte hai. Kisi bhi link par click kabhi mat karen.

Yeh Phishing attack ka ek method hai aise hi Tab napping attack mai bhi Hackers victim ko redirect karva sakte hai. Aise hi sms spoofing ke through bhi aisa kiya ja sakta hai. Asan language mai agar kahe to kisi bhi tarah se apke pass link ane par aap kabhi click bhi mat karen.

Agar apko doubt hai tab aap apne Social Media Accounts ke passwords ko manually hi change karle. Lekin kabhi kisi link par click mat karen. Is tarah se aap Phishing attack se safe reh sakte hai.

How Social Media Accounts safe from Keyloggers ?

Jaise ki apko pahle btaya gaya hai Keyloggers ka use Social Media Accounts ko hack karne mai kiya jata hai. Aise mai aap yeh soch rahe honge ki keylogger ka use Hackers apne hi devices mai karte hai. Lekin aisa nahi hai.

Yaha Keyloggers ka use app bna kar bhi kiya jata hai. Browser extension mai bhi keyloggers ka use kiya jata hai. Javascripts mai bhi keyloggers ka use kiya ja sakta hai. Hackers yeh kaam remotely bhi social engineering ka use karke karte hai.

Social Media Accounts safe

Jaise apko pahle ke article mai btaya gaya hai. Yeh sab hackers par depend karta hai veh kaise apke device mai keyloggers ko install karvate hai. Yaha aap keyloggers attack se safe rehne ke liye kabhi bhi kisi ke btaye hue extension ko browser mai install mat karen.

Aise hi aap yeh attack se apne Social Media Accounts safe rakhne ke liye kabhi bhi kisi ke diye gaye apk file ko bhi install mat karen. Sath hi aap cyber cafe mai apne Social Media Accounts ko kabhi bhi open mat karen.

Keyloggers se apne Social Media Accounts safe rakhne ke liye aap kabhi kisi untrusted Computer mai apne Social Media Accounts ko login mat karen. Yeh sab karne se aap is attack se safe reh sakte hai.

How Social Media Accounts safe from Payloads ?

Jaise ki apko payloads ke bare mai pahle bhi btaya gaya hai. Hackers kaise trojan virus, Worm virus ya kisi tarah ke payload ka use karke apke devices ko remotely access kar sakte hai. Aise mai aap ke liye apne Social Media accounts safe rakhna mushkil ho jata hai.

Payloads ko apne devices mai install karvane ka koi ek method nahi hota hai. Jaise ki hum sunte hai kuch Youtube channels ko hack kiya gaya hai. Yeh kaam bhi aisi hi payloads ka use karke kiya jata hai. Aise mai promotion ka lalch dekar payload install karvaya jata hai.

Social Media Accounts safe

Jaise ki hum jante hai ki payload ko hum kisi software ka use karke ya Metasploit ka use karke ya The Fatrat tool ka use karke asani se create kar sakte hai. Lekin koi bhi kisi ke kehne par apne Android phone ya pc mai kisi file ko kyu install karega.

Social Media Accounts safe

Aise mai Hackers bahut tarah ke attacks ka use karte hai. Jaise pastejacking attack, hta attack method, web jacking attack, beef framework aise bahut sare attacks hai jaha hackers ko payload khud send karke install nahi karvana hota hai.

Jaise beef framework ka use karke browser hijack karke bhi payload install karvaya ja sakta hai. Pastejacking attack ka use karke bhi remotely access kiya ja sakta hai. hta attack method ke bare mai apko age bataya jayga.

Yaha aap soch rahe hai ki antivirus detect kar lega. Aap apni jagah sahi hai lekin hackers antivirus ko bhi bypass kar sakte hai. Yeh samjhne ke liye apko antivirus ki working ko samjhna padta hai. Yeh apko pahle btaya gaya hai.

Payload ke signature, algorthim, enrcyption ko change karke antivirus ko bhi bypass kiya ja sakta hai. Payloads create karna jitna assan hai utna hi mushkil kisi payload ko undetectable bnana hota hai. Yeh bhi sach hai ki sabhi aisa nahi kar sakte hai.

Kisi payload ko undetectable bnane ke liye apko bahut knowledge honi chahiye. Jaise signature clone karna, Vb.net , c#, Python, Cryptography or bhi bahut kuch. Yeh sab se safe rehne ke liye apko kabhi bhi unsecure website se kuch bhi download nahi karna chahiye.

Apko kabhi bhi kisi untrusted person ke kehne par koi pdf file, doc file ya apk ya kisi bhi tarah ki file ko download nahi karna chahiye. Hackers payload ko image file ya kisi pdf file mai bhi bind kar sakte hai. Yaha sabse jada social engineering ka use hota hai.

Yeh sab karne se aap apne Social Media accounts safe rakh sakte hai. Lekin phir bhi aap kabhi hackers ki thinking ko nahi samjh sakte hai veh kis attack ko kis tarah se karega yeh aap nahi samjh sakte hai.

How your accounts safe from Cookies Hijacking ?

Cookies Hijacking attack ke bare mai apko pahle bhi btaya gaya hai. Apko yeh bhi bata diya gaya hai Hackers kis tarah se Social Media accounts ko wan network mai cookies hijacking attack ke through hack karte hai.

Social Media Accounts safe

Agar apne yeh nahi padha hai tab aap padh sakte hai. You must know about these hacking scripts ke article mai apko btaya gaya hai. Jaise ki apko pahle btaya gaya hai Hackers kis tarah se Social media accounts ki cookies ko nikal sakte hai.

Aise mai apke Social Media accounts ko safe rakhna thoda mushkil ho jata hai. Kyoki yaha apse kisi tarah se login nahi karvaya jata hai. Apne agar link par click kar diya aise mai apke cookies ki file hackers ko mil jati hai.

Aise mai apse file download karva kar bhi aisa kiya ja sakta hai sath hi link par click karva kar bhi aisa kiya ja sakta hai. Cookies hijacking attack se apne Social Media accounts ko safe rakhne ke liye aap kabhi kisi link par click mat karen.

Yeh link chahe apko kisi bhi tarah se diya jata hai chahe mail ke through, chahe sms ke through apko kabhi click nahi karna chahiye. Hackers apke social media accounts ko hack karne ke bahut methods jante hai.

Jaise ki apko google youtube par btaya jata hai Phishing link create karna, Keylogger use karna payload use karna. Lekin reality mai is tarah se Hacking nahi ki jati hai. Aise mai methods yahi use hote hai lekin use karne ka way alag hota hai.

The Conclusion

Main umeed karta hu ki apko pata chal gaya hoga aap kis tarah se apne Social Media accounts ko safe rakh sakte hai. Yeh article aap ke liye bahut useful ho sakta hai isliye aap ise dhyan se jarur padhe.

Yaha humne apko 4 methods ke bare mai hi btaya hai. Yeh sab apko isliye btaya gaya hai. Kyoki aap nahi jante hai ki Hackers kisi attack ko kis tarah se karne vale hai. Aise mai apke Social Media accounts safe nahi rehte hai.

Aise hi or bhi methods hai jinka use hackers karte hai sabhi ke bare mai ek article mai bata pana possible nahi hota hai. Article bahut badha ho jata hai. Yaha humne apko kuch methods ke bare mai detail mai btaya hai.

Agar apka kisi tarah ka koi question hai tab aap comment mai puch sakte hai. Humare articles ko sabse pahle padhne ke liye blog ko subscribe jarur karen. Agar apko yeh article ache lage to ise share jarur karen.

Sharing is Caring

Thankyou

2 Comments

Leave a Reply

Your email address will not be published.


*