Is article mai hum apko How to do DOS Attack ke bare mai btayege. DOS Attack ke bare mai vaise to apko pahle bhi btaya gaya hai. Yaha hum apko practically btayege kaise kiya jata hai. Yeh attack sabse asaan hota hai lekin yeh puri tarah se illegal hai.
What is DOS Attack ?
DOS Attack ko karna bahut hi asan hota hai. Yeh attack ki help se kisi bhi website ko down kiya ja sakta hai. Jaise ki apko btaya gaya hai sabhi Website ki apni ek limit hoti hai. Agar Limit se jada visitors ek sath send hote hai. Aise mai website down ya crash ho jati hai. Hum apko Window or Kali Linux dono Operating system se Yeh attack karna btayge.
Note- This post Only for educational purpose . Don,t Miss use your Knowledge and Skills.
Also Read
How to Hide Message in STEGANOGRAPHY
How to do DOS Attack in Windows ?
DOS Attack karne ke liye apko tools ki jarurt hoti hai. Yeh tools bahut asani se hi mil jate hai. Sath hi apko yaha bhi Download link mil jayga.Hum jis tool ka use kar rahe hai uska naam LOIC Hai. Yeh kuch is tarah ka hota hai.
Yeh tool kuch is tarah se show hota hai vaise to yaha sab kuch likha hua hai lekin phir bhi hum apko sabhi ke bare mai bata rahe hai.
Sabse pahle jis website par DOS Attack karna hai us website ka url yaha daal kar jaise hi lock on par click karte hai IP Address mil jata hai. Uske baad IP Address ko fill karna hota hai.
Yeh sab karne ke baad aap dekh sakte hai Time out ka option hai. Yaha iska matlab hai kitne time ke baad next request ko send kiya jaye.
Uske baad aap dekh sakte hai jaha TCP/UDP Message likha hai. Vaha message diya ja sakta hai. Jo message user ko show hoga jab veh us website par visit karega.
Yeh sab karne ke baad Port number select karna hota hai. Sath hi DOS Attack ka type bhi set karna hota hai. Jaise TCP ya UDP.
Uske baad aap dekh sakte hai Threads likha hai. Iska matlab yeh hai ki ek time par kitni requests send karni hai. Iske baad wait for reply . Yaha iska matlb yeh hai ki website se reply ka wait karna hai ya nahi.
Yeh sab karne ke baad speed set karni hoti hai. DOS Attack kitni speed se hona chahiye. Yeh sab karne ke baad DOS Attack upar diye gaye button par click karke start karna hota hai.
How to do in Kali Linux ?
Hum jis tool ka use karke apko bata rahe hai veh Pentmenu hai. Pentmenu mai apko or bhi tools hai jinka use kiya jata hai.
Sabse pahle apko command run karni hogi
git clone https://github.com/thcbin/pentmenu
Yeh tool apke kali Linux mai install ho jayga . Iske baad apko permission change karni hogi kuch is tarah.
Yeh sab karne ke baad apke samne Pentmenu tool open ho jayga. Jiska use karke DOS Attack kiya ja sakta hai. Yeh tool kuch is tarah se open hota hai.
Iske baad 2 par click karke DOS Attack ko select karna hota hai. Yeh sab process ke baad slowloris tool ka use karke DOS Attack kiya jata hai.
Yaha jis website par attack karna hota hai uska link yaha dena hota hai. Iske baad port select karna hota hai. kuch is tarah.
Yeh sab process karne ke baad DOS attack targeted website par start ho jata hai. Iske baad jab user website ko open karta hai veh open hi nahi hoti hai. Yeh attack kuch is tarah se hota hai.
Aap dekh sakte hai is tarah se DOS attack ko kiya jata hai. Yeh attack aap aise hi kisi bhi website par kabhi mat karen.
Yeh attack karne se pahle aap iski Theory ko jarur padhe. Theory padne se apko yeh pata chal jayga attack kaam kaise karta hai.
Agar aap kisi ki website par yeh attack ko perform karte bhi hai. Aise mai apna practical karke ise band jarur karde . Kali linux mai yeh attack band karne ke liye ctrl+c command deni hogi
Yeh attack bina kisi ki permission ke agar aap karte hai. Aise mai aap par legal action liya ja sakta hai. isliye aap aisa kabhi bhi mat karen.
How to do DOS Attack with CMD ?
Yeh attack Command prompt ke through bhi kiya ja sakta hai. DOS Atack ko CMD ke through karne ke liye bas hacker ko ek command run karvani hoti hai. Ise ping of death attack bhi kaha jata hai.
CMD ke through yeh attack karna bahut hi asan hota hai. Iske bare mai apko pahle bhi btaya gaya hai. Yaha hum apko practically bata rahe hai.
Ping (Target) -t -l 5000
Yeh command run hote hi PIng of Death attack start ho jata hai. Jaise ki hume yeh pata hai normally jab kisi IP address ko ping kiya jaye tab 4 bar reply ata hai .
Lekin POD Attack mai jitni bar aap set karege utni bar reply ata hai. Is tarah se CMD ke through DOS attack ko perform kiya jata hai.
The Conclusion
Main umeed karta hu ki apko DOS Attack bare mai pata chal gaya hoga. Yeh attack bina kisi ki permission ke aap kabhi mat karen. Kyoki Yeh Black hat hackers karte hai.
Yeh attack mobile mai bhi kiya ja sakta hai LOIC ki apk ka use karke bhi is attack ko kiya ja sakta hai. Aap iska miss ue kabhi mat karen.
Yeh sab apko practically knowledge dene ke liye btaya gaya hai. Aap iska prcatical jarur karen lekin kisi aise website par jo pentration testing ke liye bnayi gayi hai.
Agar apko humari posts achi lag rahi hai tab inhe share jarur karen. Hum apko sab kuch free of cost bata rahe hai.
Thankyou
Leave a Reply