What is System Hacking and how to hack Windows ?

SYSTEM HACKING

Is article mai apko What is system hacking or How to hack Windows ke bare mai btayge. SYSTEM HACKING ke bare mai jane se pahle apko alag alag types ke Operating System ki deeply knowledge hona jaruri hota hai.

Kisi bhi hacker ko kisi bhi system ko hack karne ke liye System ke OS ki puri knowledge hona jaruri hota hai. Jaise Registry Files, SAM Files, System Files , OS Working attacks.

Ek Ethical Hacker ko yeh jana jaruri hota hai. Tabhi aap apne System ko SYSTEM HACKING se bacha sakte hai. Registry or Group Policy editor mai aisi settings hoti hai

Jinke bare mai agar apko achi knowledge hoti hai. Tab aap apne OS ko apne tarike se modify kar sakte hai. Aise Program ko access kar sakte hai.

Jinhe pahle se block kiya gaya ho aap changes kar sakte hai. Apka pura Operating System apke according kaam karta hai.

Ek Normal User OS ki Computer setting control panel ke through karta hai. Lekin ek Ethical Hacker Registry ke through complete OS ki setting ko change karta hai.

Note- This Post only for educational Purpose .Don’t miss use your Knowledge.

Registry Editor in System Hacking

Registry ke through ek Hacker apke OS ki kin settings ke badal sakta hai. Inke bare mai niche btaya gaya hai. Sabhi settings ko yaha batana possible nahi hai.

Hum apko kuch Normal Settings ke bare mai knowledge de rahe hai. Registry ko open karne ke liye aap CTRL+R type kare or vaha Regedit likh kar enter dbate hai tab Registry editor open ho jayga.

System hacking

Ek Hacker apke Computer mai kisi bhi Drive ko Lock kar sakta hai. Yeh kaam bitlocker ke through bhi kiya ja sakta hai. Lekin agar bitlocker ka access hi band kar diya jaye tab aap kya karenge.

1.Ek Hacker kisi bhi Hardware ko disable kar sakta hai

2.ek Hacker kisi bhi Software ICON ya Start button ko hide kar sakta hai ya naam badal sakta hai.

3.ek Hacker apke computer ke Control Panel jaisi setting ko bhi disable kar sakta hai.

4.ek Hacker apke computer mai kisi bhi file ko delete kar sakta hai.

5. apke Computer  mai Antivirus ko disable kar sakta hai or bhi bahut kuch kar sakta hai.

6.Shutdown ya restart ko block kiya ja sakta hai.

Note – Agar apko Registry ke bare mai knowledge nahi hai. Tab aap Registry ki kisi bhi file mai koi changes kabhi mat karen. Aisa karne se apke data ko nuksan ho sakta hai.

Apke Computer ke OS ko nuksan ho sakta hai. Agar aap iska practical karke dekhna chahte hai. Aap Virtual PC mai hi kare taki Original OS ko kisi bhi tarah ka nuksan na ho.

SAM File

Yeh sabhi tarah ke Operating System mai hoti hai. SAM File ek aisi file hoti hai jisme User accounts , Windows ke sabhi password store rehte hai. Yeh File apke computer ke OS mai pahle se hi hoti hai.

Hackers in Files ka use  SYSTEM HACKING mai bhi karte hai. Aap soch rahe honge ki apke computer ke OS ki SAM File kisi Hacker ke hath lag jaye tab veh apke Computer ka Password jaan sakta hai.

Lekin aisa nahi hai SAM File ko ek Normal tarike se jaise hum copy karte hai. Vaise copy nahi kiya ja sakta hai. SAM File ko Copy karne ka tarika alag hota hai.

SAM File mai apke Windows ke Password encrypted Format mai hote hai. Jinhe crack karne ke liye hacker ko Cryptography ki achi Knowledge hona jaruri hota hai. Aap iska Practical Video mai dekh sakte hai.

SAM File Location

C/Windows/System32/Config/Sam

Types of Password attacks in SYSTEM HACKING

Kisi bhi System ko Hack karne ke liye bahut tarah ke Password attacks ka use kiya jata hai. Inme se kuch attacks ke liye Victim ke computer ka Physical access chahiye hota hai.

Kuch attacks ke liye Physical access ki jarurt nahi hoti hai. Chaliye jante hai kitne types ke attacks ka use SYSTEM HACKING mai kiya jata hai.

Password Guessing

Iska use Hackers kisi bhi tarah ke windows ya Social Accounts ko hack karne ke liye karte hai. Password Guessing attack ka use karne ke liye Victim ke bare mai information hona jaruri hota hai.

Jaise Victim ki pasand kya hai ,Victim Date of Birth , Victim  , Victim City uske baad ek ek karke Password ko guess kiya jata hai. Isliye aap apni Personal information ko aisi kisi UNSecure Website par kabhi fill mat karen. Password hmesha strong rakhe jaise Alphabets , Numeric or Special Symbol ka Combination rakhna chahiye.

Example (freelearning@0987!)

Bruteforce Attack

Bruteforce Attack ek aisa attack hai. Jaha kisi Account ko Hack karne ke liye bahut sare Passwords ki List ko run karvaya jata hai. Yeh Password ki Lists itni badi hoti hai ki ek ek karke Passwords ko Try karna bahut mushkil ho jata hai.

Isliye iska use kisi softwares ya tools ke through kiya jata hai. Bruteforce attack mai time ki koi Limit nahi hoti hai. Isme kitna bhi Time lag sakta hai Yeh ek bahut long Procedure hota hai. Iska use SYSTEM HACKING  mai bhi kuch Live Cds ke through kiya jata hai.

Keyloggers

Keyloggers jaise ki naam se hi pata chalta hai ki aisi jagah jaha Keys ko Store kiya ja sakta hai. Yeh Software or Hardware dono types ke hote hai.

Keylogger apke through Type kiye gaye Keys ka ek data bana kar Hacker ke pass Transfer kar deta hai. Iska SYSTEM HACKING mai bhi kafi use kiya jata hai

chaliye ise Example ke through samjhte hai. Jaise maan lijiye ek Hacker ne apke Computer mai kisi tarah ka Keylogger Install kiya hai. Aap apne  Facebook , Gmail ya kisi bhi tarah ke accounts ko open karne ke liye jab Browser mai apne Keyboard se type karte hai.

Aise maiVeh Keylogger ek Keystrokes ki File bana kar. Apne aap Hacker ke pass Bhej deta hai. Hardware Keylogger ka bhi use SYSTEM HACKING or kayi types ke attacks mai ko karne ke liye kiya jata hai.

Yeh ek aisa Hardware hota hai. Jo apne aap ko Computer ko kisi tarah ka USB Device ki tarah dikhata hai jiski vajah se apka computer use allow kar deta hai or apke through press kiye gaye keys ko veh store kar leta hai.

Trojan or Spywares

Inke bare mai apko btaya gaya hai.Kyoki yeh bahut tarah ke hote hai yaha inhe bata pana possible nahi hai. Iis par ek complete post ban jati hai in Trojans or alag alag tarh ke viruses ka use bhi SYSTEM HACKING mai kiya jata hai. Yeh ek tarah ka virus hota hai jo Hacker ko kisi Computer ka Remotely access dilvane mai help karta hai

Password Sniffing

Password Sniffing ki help se ek Hacker Password ko Capture kar sakta hai. Lekin Secure Website par Password Sniffing asani se nahi ki ja sakti hai. Jaise Facebook, Gmail jaisi Website par Password Sniffing itni asani se nahi ki ja sakti hai.

Manually Password Cracking

Iska use SYSTEM HACKING mai kiya jata hai iska use karne ke liye ek hacker ko victim Computer ka Physical access hona jaruri hota hai. Windows mai yeh Feature isliye diya gaya hai.

Agar user apna Password bhul jata hai. Veh iske through apna Computer access le sakte hai. Lekin iska use Hackers SYSTEM HACKING ke liye bhi karte hai lekin aap iska miss use kabhi mat karen.

Agar aap Windows ka Password bhul jate hai. Phir chahe veh Windows 7 ,8,10 koi bhi ho. Aise mai aap bina password ke new User account bana kar apne computer ko access kar sakte hai.

Apko apne  Computer ke Password bhul jane par sabse pahle apko ek Window Bootable Pen Drive ya CD chahiye hoti hai

1.apko Bootable Window Pen Drive ke through apne computer ko boot karvana hoga. Uske baad aap System recovery option mai jakr.

2.Utilman.exe ye sethc.exe ko CMD.exe ke sath change karna hota hai

3.aisa karne ke baad jab aap apne Password screen par 5 bar shift press karenge. Apke samne windows ka Command Prompt open ho jayga.

Uske baad apko kuch Commands run karva kar new user bnana hoga. Uske baad aap apne Computer ko access kar sakte hai.

Commands

C:

CD  Windows

CD System32

Net User (Username) (Password) /add

Exit

Restart Your System

SYSTEM HACKING Through Live CD

SYSTEM HACKING mai kayi types ki Live Cds ka use karke bhi Hacker kisi computer ke OS ke Password ko crack karta hai. Ya bina password ke Windows ko open kar leta hai.

Jaise Hiren,s boot cdKonboot, Ophcrack, Active boot device, . yeh ek tarah ki ISO File hoti hai.

Jise Pen Drive se Boot karva kar bina password ko jane Hacker apke Computer ko Physical access kar leta hai. Apki Privacy ko nuksan pahucha sakta hai.

Lekin aap inka use kisi bhi tarah ki SYSTEM HACKING mai kabhi mat karen. Kisi ki privacy ka is tarah miss use mat karen. Iska practical dekhne ke liye aap niche di gyi video ko dekh sakte hai.

https://youtu.be/hi_VWWLqZkw

Note – Yeh sabhi tarah ke Practicals aap Virtual Pc mai hi karen. Aap yeh sabhi Practicals kisi dusre computer par mat karen.

The Conclusion

Main umeed karta hu ki apko SYSTEM HACKING ke bare mai pata chal gaya hoga. Agar apka SYSTEM HACKING ye kisi bhi tarah ka koi question hai. Aap Comment Box mai puch sakte hai.

Yeh sab apki Knowledge ko badhane ke liye btaya gaya hai. Aap inka miss use kabhi mat kare . Aap apni skills ka use karke kisi ki privacy ka kabhi miss use mat karen.

Kisi System ko hack karne ke liye or bhi bahut sare tarike hai. Jinke bare mai apko ane vali Posts mai bta diya jayga. Humare post sabse pahle padhne ke liye subscribe jarur karen or humari posts ko share karna mat bhule.

Thankyou

Be the first to comment

Leave a Reply

Your email address will not be published.


*