Ethernet
Agar apke bhi question hai What is Ethernet and Types of Ethernet. Hum apko aaj isi ke bare mai detail mai btayge . Apne kabhi na kabhi Ethernet ka naam jarur suna hoga.
Kya apko pata hai Ethernet kya hai or yeh kaise kaam karta hai. Aaj hum apko isi ke bare mai btane ja rahe hai. Iska use apko bahut jagah dekhne ko mil jayga jaise Schools, colleges, offices etc.
Iska use karke hum kisi network mai apne computers ko kisi Networking devices ke sath connect kar sakte hai. Isi ki vajah se humare computers kisi network mai file sharing jaise kaam asani se kar pate hai.
Apko LAN Network ke bare mai pahle bataya gaya hai. Isi LAN Network mai iska use kiya jata hai. Yeh jadatar LAN Network mai hi use kiya jata hai.
Jaise ki apko pahle btaya gaya hai ki LAN Network mai kis tarah se Computers Ethernet cable ke through Switch se connect hote hai. Inhi ka use karke ek complete network ko bnaya jata hai taki Communications ko asani se kiya ja sake.

Yeh TCP/IP stack ke data link layer ke ek Protocol hai . Iski help se LAN Network mai computers ik dusre se communication kar pate hai. Isme Twisted pair cable ke use kiya jata hai.
Iske bare mai apko Transmission Media mai btaya gaya hai kis tarah se cables ka use karke communication kiya jata hai. Aap veh bhi padh sakte hai. yeh OSI Model ki Physical layer or Data link layer par kaam karta hai.
Components of Ethernet Network
Ethernet Cable
Ethernet HUB or Switch
Router
Ethernet Cable
Yeh cable ka use karke kisi network mai do computers ya kisi host computer ko switch ya hub ke sath connect kiya jata hai. Isme Twisted pair cable ka use kiya jata hai .
Yeh cable aap apni length ke hisab se badhi bhi kar sakte hai. Aisa karne ke liye apko Twisted pair cable , RJ45 connector or Crimping tool ki jarurt hoti hai.
HUB or Switch
Yeh ek Network Device hai. Jiska use karke computers ko ik hi device ke sath connect karke sabhi ko communication karva sakte hai.
Jaise ek Switch mai 20 Ethernet ports hai. Aise mai 20 computers ko Ethernet Cable ke sath connect karke communication karvaya ja sakta hai.
Router
Apko iske bare mai pahle hi btaya gaya hai Router kya hai. Or yeh kaise kaam karta hai aap iske bare mai padh sakte hai. Router ka use karke do alag alag series ke IP Address ko connect kiya jata hai or communication karvaya jata hai.
Types of Ethernet
Ethernet
Yeh to apko pata chal hi gaya hoga ki Ethernet ek LAN Technology hai. Ethernet network 10 megabits per sec par kaam karta hai. Iski performance bahut achi hai.
Kyo ki yeh sasta bhi hai or sath hi high speed Transmission bhi provide karta hai asani se ise install kiya ja sakta hai. 10Base-T is technology ka example hai or yeh sabhi Protocols par kaam karte hai.
Ise IEEE Standard 802.3 bhi kaha jata hai. Yeh ek organsation hai jo inke standards decide karti hai. Is Standard ke kuch rules hote hai.
Jinki vajah se Ethernet ko asani se configure kiya ja sakta hai. Or asani se Communication kiya ja sakta hai
Fast Ethernet
Yeh ek tarah ka Ethernet Network hota hai. Jo ki Twisted-pair cable or Fiber optic cable ka use karke 10Mbps se lekar 100Mbps tak ki speed se data transfer karne ka kaam karta hai.
Jab ki Ethernet 10Mbps ki speed se data transfer karta hai. Isko abhi bhi use kiya jata hai. Lekin yeh video applications ke liye fast service provide nahi kar pata hai.
Fast ethernet ko IEEE Standard 802.3u bhi kaha jata hai. Ise high transmission speed ke liye bnaya gaya hai. Yeh video, audio, or fast Internet provide karti hai. Jise video or audio quality puri tarah se end user tak pahuch jati hai
Yeh 3 types ke hote hai pehla 10Base-xt jise level 5 ki UTP Cable ke sath use kiya jata hai. 10_BASE-FX jise fiber optic cable ke sath use kiya jata hai. 10BASE-T4 jise level 3 ki UTP cable ke sath use kiya jata hai.
Gigabit Ethernet
Yeh sabse jada use kiya jata hai. Isme Twisted pair or fiber optic cable ka use kiya jata hai. Aap in cable ke bare mai Transmission media mai padh sakte hai. Isme 1000mbps ki speed se data ko transfer kiya ja sakta hai.
Multimedia or VOIP jaise applications ke sath communication karne ke liye Gigabit ko bnaya gaya hai. Ise 1000Base-T ke naam se bhi jana jata hai. Gigabit ko support karne wali twisted-pair cable cat5e cable hoti hai. Video Systems ke liye Cat-5e or high category vali cables ko use kiya jata hai
10 Gigabit Ethernet
Yeh sabse latest version hota hai. Isme Twisted pair cable or fiber optic cable ka use karke 10Gbps ki speed se data transfer kiya ja sakta hai. IEEE 802.3e ke version ko define karta hai jo ki Gigabit se 10 times faster kaam karta hai.
10GBASE-LX4, 10GBASE-ER or 10GBASE-SR Optical Fiber cable ka use karke 10,000 meter (6.2 miles) tak ke distance ko jodne ke liye use kiya jata hai.
Working of Ethernet
Agar aap iski working ke bare mai jana chahte hai to hum apko asan language mai. Iski working ke bare mai btane ki puri koshish karege. Jaise ki apko upar btaya gaya hai.
Yeh LAN setup mai use ki jati hai . Yeh bahut hi kam area mai use ki jane vali Service hoti hai. Jaise ek home mai, ek office mai, ek school mai etc.

Jab ek computer se kisi dusre computer tak data ko send kiya jata hai. Tab sabse pahle veh carrier ko sense karti hai. Carrier mai yeh check kiya jata hai ki pahle se network mai koi data flow ho raha hai ya nahi. Asan language mai kahe to data ke jane ke rasta clear hai ya nahi is bat ko carrier mai dekha jata hai.
Agar data ko rasta clear milta hai. Aise mai data source se destination tak pahuchta hai. Aise mai network mai sabhi computers yeh check karte hai ki data kaha ja raha hai or jis bhi computer ke liye data hota hai. Veh use recieve kar leta hai or baki sabhi computers use drop kar dete hai.
Is process mai kabhi kabhi aisa bhi hota hai. Jab ek computer kisi dusre computer ko data send karti hai. tab veh dusra computer kisi alag computer se data ko receive kar raha hota hai.
Aise mai data ko kuch der tak wait karna hota hai or destination computer ke free hote hai data ko dubara se send kar diya jata hai.
The Conclusion
Main umeed karta hu ki apko Ethernet or iske types ke bare mai pata chal gaya hoga. Aaj ke time mai iska use har jagah kiya jata hai.
Aapko yeh sab samjhne ke liye networking ki sabhi terms ko ache se smjhna jaruri hota hai. Ethical Hacker bane ke liye bhi apko Networking ke bare mai knowledge honi jaruri hoti hai. Agar apka kisi bhi tarah ka koi question hai tab aap humse comment box mai puch sakte hai
Thankyou
Leave a Reply