Hum Apko is article mai what is Computer Virus, Types of COMPUTER VIRUS ke bare mai btayge. Computer Virus ko apne bahut bar suna hoga. Jis tarah humans mai VIRUS hote hai. Thik vaise hi Computers mai bhi hote hai.
Jaise jab ek human kisi VIRUS se infected ho jata hai. Tab veh VIRUS dusre humans mai bhi enter ho jata hai. Aise hi agar kisi ek computer mai hota hai tab veh dusre Computers mai bhi ja sakta hai.
Note- This Post only for educational Purpose .Don’t miss use your Knowledge.
What is COMPUTER VIRUS
Chaliye iske bare mai detail mai jante hai. VIRUS ek tarah ka program ya file hota hai. Jo computer mai pahle se hone vali kisi file ya software ke sath khud ko attach kar skta hai.
Jiski vajah se apko pata bhi nahi chalta hai. Virus apke Laptop mai hai. Jis VIRUS ko jis Purpose ke liye bnaya jata hai. Veh vahi kaam karta hai. Jaise agar kisi VIRUS ko Computer ki File ko delete ya corrupt karne ke liye bnaya gaya hai. Tab veh usi file ko destroy karta hai.
aise hi agar kisi Virus ko Hardware ya Software ko damage karne ke liye bnaya gaya hai. Tab veh unhe hi damage karta hai. Inhi VIRUS se apne computer ko safe rakhne ke liye hum Antivirus ka use karte hai.
Lekin agar apko yeh pata hoga ki apke computer mai Virus kis tarah se enter hota hai. Tab apko Antivirus ki jarurt kabhi nahi hogi . Antivirus bhi apke Laptop ko puri tarah se secure nahi rakh pate hai.
Apko iske bare mai pahle btaya gya hai. Aap padh sakte hai. Yeh kisi bhi Laptop mai apne aap nahi ate hai. Apki ki hui koi na koi galti ki vajah se apke computer mai Virus ata hai. Aap bina Antivirus ke bhi Virus ko detect or use delete kar sakte hai. Aap iske bare mai padh sakte hai.
How to Detect Virus without Antivirus?
Types of COMPUTER VIRUS
Boot Sector COMPUTER VIRUS
Boot Sector COMPUTER VIRUS ko detect karna bahut hi mushkil hota hai. Kyoki yeh Window ke Boot hote hi activate ho jate hai. Yeh apke computer ke MBR jise Master Boot Record kaha jata hai.
Vaha hote hai yeh VIRUS apke computer mai kisi bhi tarah se enter ho sakte hai. Inhe nikalne ke liye Window dubara se karni padti hai. Ya aap kuch utilities ke through inhe find karke inki location se delete kar sakte hai.
Direct Action COMPUTER VIRUS
Yeh VIRUS aise Program ya file ke sath attach hokar rehte hai. Jinhe yeh infect kar sakte hai. Yeh apke Computer Memory ko hide kar dete hai inhe Non-Resident COMPUTER VIRUS bhi kaha jata hai.
Multipartite COMPUTER VIRUS
Is tarah ke VIRUS kayi tarah se infect karte hai. Jaise agar kisi Computer mai Multipartite VIRUS hota hai. Tab veh Computer ki bahut sari Files or Program ko infect karta hai. Inhe executable file ke sath run karvaya jata hai.
Overwrited COMPUTER VIRUS
Is tarah ke VIRUS sabhi files ya programs ko delete kar dete hai. Jinhe yeh infect karte hai. Yeh apne code ko kisi Program ke code se change kar dete hai.
Jis vajah se apko pata bhi nahi chalta hai ki apke computer mai yeh VIRUS hai. Kyoki aap aise software ko apne computer mai chala rahe hote hai. Jiske program ko is VIRUS ne apne code se badal diya hota hai.
Macro Viruses
Jaise ki naam se hi pata chalta hai. Yeh Virus aise Genuine Program ya Software ko infect karte hai. Jin par apko bahut trust hota hai. Yeh Macro Command language ka use karke aise genuine software ke sath khud ko add kar lete hai. Jiska apko pata bhi nahi chal pata hai jaise Microsoft Office, Adobe etc
Also Read
Worms COMPUTER VIRUS?
Yeh ek tarah ka COMPUTER VIRUS hota hai lekin WORM bahut hi dangerous Virus hota hai. WORM VIRUS apne aap ko ek Computer se ya ek Network se attach Computers tak apne aap hi pahuch jata hai. WORM ek Self Distributed COMPUTER VIRUS hota hai.
Jaise maan lijiye kisi ek Laptop mai kisi email ya software ke through Worm Virus ata hai. Or ek Laptop mai agar WORM VIRUS activate ho jata hai. Uske baad jab veh software ya email kisi dusre Laptop mai hota bhi hai. Tab bhi WORM VIRUS activate ho jata hai.
Kyoki WORM VIRUS ko kisi dusre Virus ki tarah execute karne ki jarurt nahi hoti hai. Ek akela WORM VIRUS bahut sare computers ko ek sath infect kar sakta hai. Dos attack karne ke liye bhi WORM VIRUS ka hi use kiya jata hai.
Trojan Horse
Yeh ek aisa COMPUTER VIRUS hai jo kisi hacker ko victim ke Device ka remotely access de deta hai. Trojan Horse ko backdoor ya payload bhi kaha ja sakta hai. Jaise maan lijiye ek hacker ka target koi computer hai. Tab veh Computer user ke bare mai Information Gathering karta hai.
Footprinting mai apko btaya gaya hai ki hacker ke liye Footprinting kisi bhi attack ko karne ke liye kitni importance deti hai . Hacker Footprinting or social engineering ka use karke.
Yeh pata lgata hai ki veh kin kin websites ko open karta hai. Uske baad un Websites mai se kisi ek website jise veh target karke trojan Horse ko inject kar sakta hai usme karta hai.
Tab jab Victim use infected website ko open karta hai or kisi Software ko install karta hai. Tab veh Trojan website ke through Victim ke computer mai inject ho jata hai. Is tarah se hacker victim ke computer ka remotely access leta hai.
Jaise ki maine apko pahle bhi btaya hai ki yeh ek hacker par depend hota hai. Veh apni skills ka kis tarah se use karta hai. Ab yaha Website hacking, Footprinting, Trojan Virus or social engineering ka ek sath use kiya gaya hai. Aab aap khud soch sakte hai ki ek attack ko karne ke liye hacker kitne raste nikal sakta hai.
Droppers
Droppers ek tarah ka aisa program ya Software hota hai. Jo Trojan ko apne target tak pahuchane ke kaam karta hai. Yeh kisi Victim Computer ko bina kisi bhi tarah ki Notification diye hi Victim ke Laptop mai Virus ko inject karta hai.
Wrappers
Wrappers ek tarah ka aisa Program hota hai. Jo Virus ko kisi aise Software yab program ke sath attach kar deta hai. Jiska use Victim computer mai karta hai.
Jaise ek hacker ko pata hai ki uska target kis tarah ki files ko download karta hai. Aise mai hacker apne bnaye virus ko us file ke sath attach karke victim ke computer mai inject kar deta hai. Jise victim ko pata bhi nahi chal pata hai ki uska computer hack ho gaya hai.
Crypters
Yeh ek tarah ka aisa Program hota hai jiska use karke hacker apne bnaye hue virus ko encrypt kar deta hai. Jis vajah se hacker ke bnaye gye virus ko Antivirus bhi detect nahi kar pata hai . Iska use karke hacker apne bnaye virus ke through Antivirus ko bypass kar sakta hai.
Botnet COMPUTER VIRUS
Jaise ki naam se hi pata chalta hai. Bot ek aisa Program hota hai. Jo apne aap run karta rehta hai. Agar aap bhi Pubg Game khelte hai. Tab apko Bots ke bare mai jarur pata hoga. Thik aise hi Botnet hote hai jo ek se jada Computer ko bots ki tarah use karte hai .
Bots ko jis kaam ke liye bnaya gaya hota hai veh vahi kaam karte hai . Bots ka use hacker bade attack karne ke liye karte hai. Jaha ik se jada Computers ko hacking mai use karna hota hai.
Vaha Botnet ka use kiya jata hai. Jaise DDOS Attack or spamming jaise illegal hacking karne ke liye inka use kiya jata hai.
Note – Computer Viruses ki information apki Knowledge ko bdhane ke liye di gayi hai aap inka galat use kabhi mat kare.
RANSOMWARE
Yeh ek bahut hi dangerous COMPUTER VIRUS hota hai. Apne kabhi na kabhi News mai bhi jarur suna hoga. Is naam ke Ransomware ne Computers ko infect kiya hai.
Yeh vahi ransomware hai Ransomware ek aisa Virus hota hai. Jo agar apke computer mai ik bar enter ho jata hai. Tab apke Computer ko lock kar deta hai or apka sara data Encrypt kar deta hai.
RANSOMWARE VIRUS ko is tarah se program kiya jata hai. Aap apne Computer ko open bhi karna chahege. Ya kisi tarah se open bhi kar lete hai. Tab aise mai apka sara data delete ho jayga. Isliye in RANSOMWARE VIRUS ko lock kiya jata hai. Or inki Keys RANSOMWARE ko bnane vale ke pass hi hoti hai.
RANSOMWARE VIRUS ke ane par apka Computer ka data lock ho jayga or data encrypt ho jata hai. Or apko ek message show hota hai ki agar aap Computer ko Unlock karna chahte hai.
Tab hume itne paise do yeh kaam Blackhat Hackers karte hai. Yeh VIRUS badi badi Company ya Organization ko target karke bnaya jata hai. Jinka data bahut important hota hai.
Spyware
Spyware ek aisa COMPUTER VIRUS hota hai. Jiska use karke hacker apke Laptop ya Mobile Phones ko Monitor kar sakta hai. Jaise aap apke Laptop ya Mobile mai kya kar rahe hai.
Apke Mobile ka screenshot, call logs, whatsapp ko bhi monitor kar sakta hai. Spywares ka use whatsapp hacking or facebook hacking mai bhi kiya jata hai. Spyware ko hum spy apps ya spy software ke naam se bhi jante hai.
Adware
Adware ek tarah ka COMPUTER VIRUS hota hai. Apne kabhi na kabhi yeh jarur dekha hoga jab aap kisi Website ko open karte hai. Tab apne aap kisi or Website par redirect ho jate hai. Ya ads ke through apko kuch download karne ke liye kaha jata hai.
Yeh adware hote hai inka use karke bhi apke Computers ko hack kiya ja sakta hai. Computers ko hack karne ke or tarike apko system hacking mai bhi btaye gaye hai . Inse bachne ke liye aap ad blocker extensions ka use kar sakte hai.
The Conclusion
Main umeed karta hu ki apko COMPUTER VIRUS or types ke bare mai pata chal gaya hoga. Inse aap apne device ko tab tak nahi bacha sakte hai. Jab tak aap inke bare mai nahi jante hai. Antivirus ke hone par bhi humare devices kyo safe nahi hai.
Iske bare mai aap jarur padhe. Vaise to Virus ko bnane ke liye apko bahut sare softwares mil jayege. Lekin veh tabhi kaam karte hai jab Victim ke Computer mai antivirus nhi hoga. Ya phir tab jab aisa Virus bnaya jayga jo Antivirus ko disable kar dega.
Apko khud ke Viruses bnane ke liye BATCH , BASH, JAVASCRIPT, SHELL SCRIPTING. Jaisi PROGRAMMING language sikhne ki jarurt hoti hai. Bade bade Virus ko bahut tarah ki Programming language ko mila kar bnaya jata hai .
Apko jald hi Virus bnane vali Programming languages or or dusri Programming languages ke bare mai information mil jayegi. Agar apka koi question hai tab aap humse contact krke ya comment box mai puch sakte hai.
Thankyou
Leave a Reply