What is Antivirus and How to detect Virus ?

What is Antivirus

Is Article mai apko What is Antivirus , How to detect virus Without Antivirus ke bare mai detail mai btaya jaygaa. Agar aap iske bare mai research kar rahe hai. Samjhiye apki research khatam ho gayi hai.

Is post mai apko Antivirus kya hai. Yeh kaam kaise karta hai or konsa best hai , kya yeh apke computer mai hone par apka computer safe hai ya nahi.

Apke sabhi question ke answer apko mil jayege. Yeh sab jane se pahle apko yeh jana jaruri hai ki Antivirus kya hai or yeh kaam kaise karta hai.

Yeh ek software ya program hota hai. Jo apke computer ya mobile mai virus ko ane se bchata hai . Apne computer mai apka kitna bhi important data kyu na ho.

Lekin veh tab tak safe nahi hota hai. Jab tak aap safe nhi hote hai . Ek Antivirus apke computer ya mobile ko kuch had tak malwares, trojans, spyware jaise viruses se bacha sakta hai.

Lekin puri tarah se kabhi nahi bacha sakta . Aab aap yahi soch rahe honge ki mai aisa kyu keh raha hu. Aap jaise jaise post ko padte jayege apko samjh mai ane lag jayga ki kyu humare Computers antivirus ke hone par bhi puri tarah se safe nahi hai.

Yeh ek computer ke liye safe gaurd ka kaam karta hai .Yeh un sabhi programs ko nikal deta hai. Jo use lagta hai ki apke computer ko damage kar sakte hai.

Aaj ke time mai aise bhi virus hai. Jo apke computer ki files ko to damage karte hi hai. Sath hi computers ke hardwares ko bhi damage karte hai.

Working of Antivirus

Ek Antivirus chahe kisi bhi company ka ho veh sirf unhi virus ko detect kar sakta hai. Jis types ke viruses ke signature Antivirus ke database mai save hoti hai. Signature or Virus definition ki help se yeh alag alag types ke viruses ko detect kar pata hai or sath hi delete kar deta hai .

Virus Definition

Koi bhi Antivirus bina virus definition ke malware ko detect nhi kar sakta hai. Kyoki virus definition mai hi sabhi tarah ke malware ki pehchan hoti hai.

Jaise maan lijiye apke computer mai kisi tarah ka malware Antivirus ke through detect kiya gaya hai. Aise mai yeh check karta hai ki jo malware mila hai. Veh uske database ke kisi virus definition ya virus signature se milta hai.

Agar mil jata hai tab yeh us malware ko delete kar deta hai ya phir repair kar deta hai. Yahi reason hai ki hamesha isko update karte rehna chahiye. Kyoki aaj ke time mai bahut tarah ke viruses bante hai.

Also Read

What is IOT Hacking and IOT Devices?

Networking Devices?

What is OSI Model?

Our Computers safe With Antivirus or not?

Chaliye ab mai apko batata hu ki Antivirus kyu puri tarah se apke computers ko malware se safe nahi rakh sakte hai. Yeh bat mai apne experience based par apko bata raha hu.

Kyoki mere sath aisa hua hai tab maine bina Antivirus or command prompt ke through Virus ko nikal sakte hai . Apke computers tab tak kisi malware se safe nahi hote hai.

Jab tak aap safe nahi hote hai. Kyoki agar apko pata hoga ki Virus apke computer mai kis kis tarah se ata hai tab apko kisi bhi tarah ke iski jarurt hi nahi hogi.

Yaha hum kisi Antivirus ki burai nahi kar rahe hai. Yeh ache hai apke computers ko malwares se bchate hai. Lekin koi bhi yeh unhi virus ko detect kar sakte hai.

Jinke signature Database mai hote hai. Jaise maan lijiye ek Virus hai jise kal hi bnaya gaya hai or agar veh Virus apke computer mai kisi bhi tarah se enter hota hai. Aise mai yeh use detect nahi kar sakta hai.

Kyoki virus naya bnaya gaya hai or Antivirus ke database mai signature bhi nahi hai. Isliye apko upr btaya gaya tha ki Antivirus tab tak apke computers ko safe nahi rakh sakte hai. Jab tak aapko yeh nahi pata hoga ki Virus apke computer mai ata kaise hai.

How to detect Virus without Antivirus

Aap yahi soch rahe hoge ki bina Antivirus ke kaise detect kare ki humare computer mai virus hai. Yeh mai apko apne experience based par bata raha hu mere laptop mai kisi bhi tarah ka Antivirus nahi hai.

Aisa nahi hai ki aa nahi sakta hai. Lekin jab kabhi virus aya use manually kuch utilities ke through location ko find karke uski location se hi virus ko delete kar diya tha.

Antivirus

Example of Detect Virus ?

Ek bar mere laptop mai aisa virus tha. Jo mere har drive mai bar bar delete karne par bhi show hota rehta tha. Tab mere laptop mai Quick heal ka tha. Lekin phir bhi virus mere laptop mai aya or veh bhi us virus ko detect nahi kar raha tha.

Kyo ki mera laptop start hone se pahle hi veh virus run ho jata tha. Veh Virus MBR mai tha jise master boot record bhi kaha jata hai. Laptop on hone se pahle Boot process jo hoti hai. Tabhi veh virus run ho jata tha.

Antivirus to tab work karega jab laptop on hoga. Aise mai maine Process explorer, tcp view jaisi utilities ki help se virus ki location nikal kar jo C drive mai tha. Vaha se delete kiya uske bad veh virus mere laptop se nikal gaya .

Antivirus

Aise hi ik bar mere laptop mai C drive mai virus ane ki vjh se mere laptop mai plug ki hui sabhi pen drive mai virus a rha tha. Jo ki ek Worm virus tha. Iske bare mai apko btaya gaya hai tab bhi aise hi bar bar virus ko delete karne par virus dubara se ata tha.

mere laptop mai kisi tarah ka koi Antivirus bhi nahi tha. Aise mai inhi utilities ke through Virus ki location ko detect karke delete kiya tha. Apko jin utilities ke bare mai btaya hai veh apko mil jayege.

Antivirus

Yeh utilites apke computer ya laptop mai jitne bhi programs run ho rahe hote hai background mai. Veh sabhi apko show hogi or sath hi unki location bhi apko dikh jayegi. Aap bhi is tarah se bina Antivirus ke virus ko detect karke use apne computer se delete kar sakte hai.

Process Explorer

Autoruns

TCP View

Methods of Virus Detection

Signature-based Detection

Heuristic-based Detection

Behavioral-based Detection

Sandbox Detection

Data mining techniques

Signature-based Detection

Yeh sabse pahle tarika hai. Jiska use karke koi bhi Antivirus kisi malware ko detect karta hai . Kisi bhi computer mai sabhi tarah ki .exe file ko yeh scan karta hai kyoki jadatar virus inhi files mai milte hai .

Yeh sabhi .exe file ko scan karta hai or apne database mai virus definition ya signatures se match karta hai. Tab us file ko delete kar diya jata hai.

Aap Internet se jitni bhi files ko download karte hai. Veh sabhi files sabse pahle scan ki jati hai. Agar unme kisi tarah ki virus definition milti hai. Aise mai Antivirus us file ko detect kar leta hai or delete kar deta hai.

Heuristic-based Detection

Isme detection or signature based detection dono ka ik sath use hota hai . Ise aaj ke time mai sabhi Antivirus bnane vali companies use karti hai. Kyoki yeh signature based detection to karta hi hai sath hi un malware ko bhi detect kar pata hai.

Jinke signature ya virus definition abhi tak database mai nahi hote hai. Is technique ki help se naye or purane type ke malware ko bhi find kiya ja sakta hai.

Heuristic-based Detection mai ek aise code ko kisi virtual environment mai run kiya jata hai. Jise yeh pata lagaya ja sakta hai ki kis tarah ka program kis application ya software ko infect kar raha hai. Iske use se real softwares ko bhi bchaya jata hai.

Behavioral-based Detection

Jiase kisi insan ke behave se uske bare mai pata lgaya ja sakta hai. Thik usi tarah malware ke behave ke hisab se kisi malware ka bhi pata kiya ja sakta hai.

Yeh virus ko dhundne ki ek technique hai. Jisme kisi malware ko tab detect kiya jata hai. Jab veh kisi software ya file ko infect karne ki koshish karta hai. Isliye ise Intrusion detection mechanism bhi kaha jata hai.

Sandbox Detection

Yeh lagbhag Behavioral-based Detection ki tarah hi kaam karta hai . Sandbox ek tarah ki computer security hoti hai. Jis par apke computers ke softwares kaam karte hai.

Isme kisi tarah ke program ko ek virtual environment par run kiya jata hai. Agar usme kisi tarah ka malicious code detect hota hai. Aise mai uske behave ki help se use detect kar liya jata hai or use delete kar diya jata hai.

Data mining techniques

Yeh sabse latest technology hai. Jiski help se sabhi tarah ke virus ka pata lgaya jata hai. Data Mining mai sabhi tarah ke programs ko scan kiya jata hai.

Yeh pata lgaya jata hai ki konsa program malicious hai or konsa nahi . Kisi bhi tarah ka malicious program detect hone par use delete kar diya jata hai.

https://youtu.be/zwbjVMMmrrY

Types of Antivirus Scanning

Background Scanning

Full System Scan

Background Scanning

Isme apke computer par run ho rahi sabhi applications ko scan kiya jata hai. Jab aap internet se kisi bhi tarah ki koi file download karte hai. Tab use scan kiya jata hai.

Apke computer par run hone diya jata hai. Agar apke through download ki gyi file malicious hoti hai tab use detect kar liya jata hai.

Iske alava apke computer mai jitni bhi files ya software ya services background mai run ho rahi hoti hai. Unhe bhi scan kiya jata hai kisi tarh ki malicious activity detect hone par use delete kar diya jata hai.

Full System Scan

Isme apke computer ko puri tarah se scan kiya jata hai. Is tarah ke scanning process mai background scan to hota hi hai. Sath hi apke computer mai rakhi hui sabhi files or softwares ko bhi scan kiya jata hai.

Kisi bhi Antivirus ko apke computer ko full scan karne mai thoda sa time lagta hai or apke computer mai rakhi hui kayi type ki files jinme bhi malware detect hota hai. Use delete kar diya jata hai. Lekin Ethical Hacking ki feild mai aapko full scan karne ki jrurt nhi hoti hai.

Kyoki apke ethical hacking mai use hone vale aise bahut sare softwares khud hi ik malware hote hai. Aise mai agar aap scan karte hai to yeh apke softwares ko detect karke delete kar deta hai.

Note-aap un softwares ko jab bhi use karte hai kbhi host computer par use mat kare hmesha virtual PC mai aise softwares ka use karna chahiye.

Antivirus companies

Vaise to bahut sari companies hai. Jo Antivirus ko bnati hai kuch free bhi hoti hai or kuch paid Antivirus bhi provide karti hai. Lekin aap agar chahte hai ki apka computer safe rahe tab aap hamesha paid Antivirus hi use karen .

Quick Heal…

K7 Security…

Avast..Avast..

Norton….

McAfee. …

Eset. …

TrendMicro. …

Bitdefender. …

Webroot. …

Avira .

Advantage of Antivirus

1.apke computer mai virus ane ke chances kaam ho jate hai .

2.apke computer ka sara date safe rehta hai or curropt nahi hota hai.

3.kisi bhi tarah ke software ko aap download kar sakte hai kyu ki agar malware hota hai tab antivirus detect kar leta hai.

4.apke through ki gayi online transaction safe rehti hai.

5.apke sabhi social accounts ke hack hone ke chances kaam ho jate hai.

6.apke System mai hanging or slow hone ki problem nahi ati hai

7.Hard disk ko curropt hone se bchaya ja sakta hai kyu ki ransomware jaise virus apke hard disk ke data ko encrypt kar dete hai.

The Conclusion

Main umeed karta hu ki apko Antivirus ke bare mai ache se pata chal gaya hoga . Jaise ki maine apko btaya ki yeh apke computer ko puri tarah se secure nahi rakh sakte hai.

Iska reason bhi apko btaya gaya hai. Lekin phir bhi aapko apke computer mai isko install jarur rakhna chahiye. Kyoki hum humans ke liye har program ya software par najar rakhna ya use smajhna possible nahi hota hai.

Antivirus lagbhag sabhi programs ya softwares ko scan kar sakta hai. Isliye aap hamesha paid Antivirus ka hi use kare . Agar aap bhi chahte hai ki hume Viruses ke bare mai puri knowledge ho ki Virus kaise ate hai kab ate hai to humare blog se jude rahe ane vali posts mai apko sab kuch bata diya jayga.

Agar apka kisi bhi tarah ka koi question hai aap comment box mai puch sakte hai. Post achi lage to ise share bhi jarur karen or naye post sabse pahle pane ke liye humare blog ko subscribe jarur karen

Thankyou

Be the first to comment

Leave a Reply

Your email address will not be published.


*