aaj apko is post mai Transmission Media ke bare mai detail mai btaya jayga Transmission Media kya hota hai yeh kitne types ke hote hai. inme kitni tarah ki cables hoti hai sabke bare mai detail mai btaya jayga.
Asan language mai agr kahe to aise koi bhi tarika jinka use karke do devices ik dusre ke sath communication karte hai us tarike ko Transmission Media kaha jata hai .
Yeh communication wired bhi ho sakta hai or wirless bhi ho sakta hai. jaha do devices cables ke through communicate kar rahe hote hai use Transmission Media hi kaha jata hai.
Transmission Media ko aisa media bhi keh sakte hai jiska use karke computers kisi Network mai Data transfer karte hai
Also Read
How to became an Ethical hacker
What is IOT Hacking and IOT Devices
Wired Transmission Media cables
Coaxial Cables
Coaxial cable mai ek copper wire hoti hai. uske upar ek Insulation ki parat hoti hai or uske upar tambe ki Copper mesh hoti hai or uske upar outside insulation hota hai. Coaxial cable do types ki hoti hai Thinnet cable or Thicknet Cable.
Coaxial cable ki Data transfer ki speed 10Mbps hoti hai. is Cable mai BNC Connector ka use kiya jata hai yeh connector kayi types ke hote hai jaise T-connector, Terminator. Coaxial cable ka use Bus Topology mai kiya jata tha yeh aaj ke time mai jada use nahi ki jati hai.
Thinnet Cable
Thinnet Cable ko IEEE 10base2 ke naam se bhi jana jata hai. IEEE ek aisi organiazation hai jo in sabhi cables ke Standard ko decide karti hai yaha 10 ka matalb Data Transfer speed se hai 10Mbps hai yeh 185 meter tak data ko transfer kar sakti hai.
yeh cable Baseband signal ke through data transfer karti hai . Baseband mai single frequency ke through data transfer kiya jata tha. isme BNC Connector ka use kiya jata tha.
Thicknet Cable
Thicknet Cable ko iEEE 10base5 standard bhi kaha jata hai . is cable ki bhi Data Transmission speed 10Mbps hoti hai or yeh bhi Baseband signal ke through data ko transfer karti hai.
is cable ki signal strength 500 meter tak ki hoti hai yeh cable AUI (Attachment Unit interface) Connetor ka use kiya jata tha.
Advantage of Coaxial cable
Secure Data Transmission
protect from Cross talk
Disadvantage of Coaxial cable
Most expensive of all type of cables
Old Technology
Weight Coaxial cable is heavier than fiber optic cable
Twisted pair Cable
Twisted pair cable veh hoti hai jisme do wires ko apas mai twist kiya gaya hota hai . Twisted pair cable ko IEEE 10base T ke naam se bhi jana jata hai. Is cable mai 4 pairs hoti hai or ek pair mai do cables twist ki gyi hoti hai
Yeh cable LAN Network mai sabse jada use ki jati hai.yeh cable apko CAT1 se lekar CAT7 tak ki category mai milti hai.Twisted pair cable ke 2 types hote hai.
STP(Shielded Twisted pair Cable)
jaise ki naam se hi pata chalta hai ki sheild ka use kiya gaya hai. STP cable mai ek sheild hoti hai or data transfer ki speed bhi jada hoti hai. STP sable mai Data bhi secure rehta hai.
UTP(Unshielded Twisted pair Cable)
jaise ki naam se hi pata chalta hai Is cable mai kis bhi tarah ki koi Shield nahi hoti hai jaise ki aap picture mai dekh skte hai UTP cable mai 100 meter tak 1GBps se lekar 100GBps tak Data ko tarnsfer kar sakti hai.
Advantage of Twisted pair cable
yeh cable jada expensive nahi hoti hai
is cable ka use karke kisi bhi computer ko Network mai asani se add kiya ja sakta hai
yeh cable ko aap chahe tab aap khud bhi bana sakte hai bas apko colour coding ke bare mai pata hona jaruri hota hai
Disadvantage of Twisted pair Cable
is cable mai computer jada connect hone par speed kam ho jati hai.
yeh cable data ko 100-150 meter tak hi data ko transfer kar sakti hai.
Fiber Optic Cable
yeh cable aaj ke time mai sabse jada use ki jane vali cable hai yeh cable apko ik desh se dusre desh se asani se connect kar sakti hai. Fiber Optic cable mai jo data transfer hota hai veh light ki form mai hota hai
Isliye is cable ki data Transfer ki speed bhi kafi tej hoti hai. yeh cable 1970 mai develope kiĀ gayi thi.ab ap yahi soch rahe honge ki ek desh se dusre desh tak yeh cable kaise connect karti hai yeh cable apko under the sea mil jayegi .
yeh cable ko samundar ke andr se ik desh se dusre desh ke sath connect kiya gaya hota hai jaise maan lijiye aap kisi se india se bahr facebook par chatting karte hai
Yeh communication inhi fiber optic cable ki help se ban pata hai yeh cable mai data light ki form mai transfer hota hai or jab data destination tak pahuch jata hai tab veh data digital form mai convert ho jata hai. yeh Transmission media mai sabse jad use ki jane vali cable mani jati hai
Types of Fiber Optic cable
Single node cable
yeh cable ka use tab kiya jata hai jab data ko kafi dur tak send karna hota hai. Is cable mai data transfer single light ke form mai transfer hota hai. yeh data ko 50-100KM tak send karne ke liye use ki jati hai.
Mono Node cable
yeh cable ka use tab kiya jata hai jab data ko kam duri tak send karna hota hai. IS cable mai multi light signals ke through data transfer kiya jata hau. yeh data ko 20-25 KM tak send karne ke liye use ki jati hai.
Advantage of Fiber Optic cable
Data transfer ki speed bahut jada hoti hai.
aap ek desh se kisi dusre desh tak communication ya file sharing jaise kaam kar sakte hai.
Data hmesha secure rehta hai.
Disadvantage of fiber optic cable
yeh cable ko install karna bahut hi mushkil hota hai.
yeh cable baki dusri cables se costly hoti hai.
Straight Through Cable
yeh cable ka use tab kiya jata hai jab hume kisi switch ya kisi dusre networking device se kisi computer ya printer ya kisi aise device ko connect karna hota hai jo ik side par switch ho or dusri side par computer ya Router ho tab is cable ka use kiya jata hai is cable ki colour coding apko niche di gayi hai. jaise Switch to computer, switch to router
Crossover cable
yeh cable ka use tab kiya jata hai jab hume do same devices ko aps mai connect karna hota hai. isme colour coding ko bhi change kar diya jata hai is cable ko bnane ke liye apko ethernet cable or rj45 connector or ek crimping tool ki jarurt hoti hai. jaise ek computer ko kisi dusre computer ke sath connect karna hota hai tab hum Crossover cable ka use karte hai. iski colour coding apko niche di gyi hai.
wireless Transmission Media
yeh ek aisa Transmission media hota hai jisme kisi bhi tarah ki physical cable ks use nahi kiya jata hai yeh Transmission wireless hota hai.
Radio waves
Radio Wave ek omnidirectional mai travel karti hai. inki data transfer karne ki speed microwave se kafi kam hoti hai. lekin yeh bahut dur tak signals ko bhej sakti hai
Iska real life example apke mobile phones hai apke mobile phones bhi inhi radio waves ka use karke communication kar pate hai yeh signals ko bahut duri tak bhejne ke liye use hoti hai.
Microwaves
isme kisi bhi data ko transfer karne ki speed 16 gigabit per second ki hoti hai. yeh ek uni direction communication hota hai isliye isme bade bade towers ko lgane ke jrurt padti hai.
Iski wavelength ko centimeters mai measure kiya jata hai. Microwaves ka use khana bnane mai jada kiya jata hai.
Infrared waves
yeh ek uni direction communication hota hai. yeh kisi bhi tarah ke physical chijo ko par nahi kar sakta hai. yeh jada duri tak data ko transfer bhi nhi kar sakta hai iska jadatar use automatic doors , ya kisi tarh ke AI projects mai kiya jata hai
The Conclusion
main umeed karta hu ki apko Transmission media or Transmission cables ke bare mai detail mai pata chal gaya hoga. yeh sabhi cables hmesha humare ass pass hi hoti hai
Lekin hume knowledge na hone ki vajah se inke bare mai nahi malum hota hai. hum kisi bhi tarah se agar Internet se connect hote hai to inme se kisi ik Transmission media ke through hi connect ho pate hai.
Agar apka Transmission Media se related kisi bhi tarah ka koi question hai tab aap humse comment Box mai puch sakte hai. post achi lage to ise share karna mat bhule
Thankyou
Leave a Reply