How Hackers Create a Ransomware Virus ?

Is article mai hum apko practically bata rahe hai. Kis tarah se Ransomware work karte hai. Ransomware Virus ke bare mai apne jarur suna hoga. Hum yaha apko create karna nahi bata rahe hai.

Ransomware ke bare mai apko Computer virus ke article mai pahle hi bata diya gaya hai. Lekin vaha humne apko practically nahi btaya tha. Yaha hum apko practically bata rahe hai.

Hum yaha kuch tools ki help se Ransomware ko bana kar dikha rahe hai. Lekin yeh tool ke links apko security purpose ke liye nahi diye ja sakte hai.

Note – This article is only for educational purpose. Don’t miss use your knowledge and skills.

What is Ransomware ?

Ransomware ek tarah ka computer virus hota hai. Apne pahle bhi jarur iske bare mai suna hoga. Kyoki Ransomware attack hote rehte hai.

Ransomware virus agar apke computer mai ata hai tab yeh apke sabhi data ko lock kar deta hai. Aap apne data ko dubara access nahi kar sakte hai.

Yeh attack illegal hai aap kabhi bhi iska miss use kabhi mat karen. Ransomware ki help se hackers apne victims ke computer ke data ko encrypt kar dete hai or computer lock kar dete hai.

Aise mai agar victim ko apne data ko access chahiye hota hai tab use payment deni hoti hai. Yeh payment hackers bitcoin mai receive karte hai. Kyoki bitcoin ki transaction trace nahi hoti hai.

Ransomware attack karne ke liye hacker victim ke computer ko lock bhi kar sakte hai sath hi victim ke data ko lock kar sakte hai. Yeh hacker par depend karta hai veh kaise use karna chahte hai.

Hum yaha Ransomware attack kuch tools ki help se karke bata rahe hai. Lekin agar aap in tools ka use karte hai tab data ko destroy kiye bina bhi data unlock kiya ja sakta hai.

Lekin victim aisa tabhi kar sakta hai jab use iske bare mai knowledge hoti hai. Hackers apne Ransomware ko bhi create kar sakte hai. Yeh create karne ke liye programming language ki achi knowledge honi chahiye.

Hum apko khud ka Ransomware create karna nahi bata sakte hai us ke liye maffi chahte hai. Kyoki aisa karna illegal hai. Aap kabhi bhi iska miss use mat karen.

How to create Ransomware ?

Chaliye ab hum apko btate hai kis tarah se work karta hai. Yaha hum kisi bhi tarah se apko yeh virus create karna nahi bata rahe hai.

Hum apko is virus ki working bata rahe hai. Yeh illegal hai aap aisa kabhi bhi mat karen. Apko agar khud ke Ransomware create karne hai tab aap vb.net language sikh sakte hai.

Yeh humne ek simple sa lock screen ke liye virus create kiya hai. Yeh virus par agar victim click karta hai aise mai screen lock ho jati hai. Kuch is tarah.

Ransomware

Aap dekh sakte hai is tarah se Computer lock ho jata hai. Yaha hacker apne bitcoin address ko bhi show karava sakte hai. Is tarah se Ransomware attack kiya jata hai.

Chaliye hum apko ek or tool ki help se aisa karke bata rahe hai. Jaha files ko hi lock kar diya jata hai. Victim files ko open hi nahi kar sakte hai.

Ransomware

Yaha is tool ki help se bhi Virus ko create kiya ja sakta hai. Yeh software apko google par mil jayege. Lekin yeh patch ho jate hai.

Kisi normal user ke liye ko inke bare mai bhi nahi pata hota hai. Aise mai Hacker inka use karke bhi Ransomware attack karte hai. Yeh software se virus create karke jab run hota hai.

Ransomware

Kuch is tarah se yeh virus kisi computer par effect karta hai. Yeh virus computer ki files ko lock kar deta hai or automatic hi computer off ho jata hai.

Aise mai agar kisi user ka data important hai tab veh payment karke hi apne data ko access karte hai. Ransomware attack jadatar badi badi companies par kiya jata hai.

Ransomware

Aap dekh sakte hai is tarah se yeh virus kisi computer ki files ko lock kar dete hai.

Ways to spread Ransomware

  • Is tarah ke virus ko felane mai sabse jada use emails ka kiya jata hai. Hackers email spoofing ke through victims ko virus send karte hai.
  • Kisi bhi malicious website ke through bhi Ransomware attack kiya jata hai. Hackers virus ko website par upload kar dete hai.
  • Ads ke through bhi virus ko install karvaya jata hai. Apne dekha hoga jab aap kisi website par visit karte hai apse software install karvaya jata hai.
  • Hackers is tarah ke virus ko kisi trojan ya worm ke sath bhi attach kar sakte hai.
  • Agar kisi network mai ek computer mai yeh virus hota hai. Aise mai dusre computers bhi infected ho sakte hai.

The Conclusion

Main umeed karta hu ki apko Ransomware ke bare mai pata chal gaya hoga. Yeh tools apko is tarah se nahi diye ja sakte hai. Kyoki is tarah se in tools ko kisi website par nahi diya ja sakta hai.

Agar apko yeh tools chahiye aap humse contact karke le sakte hai. Aap hume mail kar sakte hai. Apko in tools ke download link send kar diye jayege.

Yeh attack puri tarah se illegal hai agar apke computer mai yeh attack hota hai aise mai aap apne data ko decrypt easily nahi kar sakte hai.

Aap Ransomware attack se apne devices ko safe rakhne ke liye kabhi bhi kisi unsecure website se kuch download mat karen. Yeh humne apko example diye hai.

Hackers apne bnaye gaye virus ka use karte hai jinhe decrypt karna bhi unhi ko pata hota hai. Is tarah ke virus vb.net programming language mai ban jate hai.

Yeh attack hum aye din naye naye dekhte rehte hai. Kyoki Hackers yeh baat ache se samjhte hai ki data ki importance kya hoti hai. Is attack se bachne ke liye aap data ka backup jarur rakhen.

Agar apka kisi bhi tarah ka Ransomware se related koi question hai aap comment mai puch sakte hai. Humare articles ko share jarur karen. Yeh sab apko educational purpose ke liye btaya gaya hai.

Thankyou

7 Comments

Leave a Reply

Your email address will not be published.


*