How to Create USB Stealer Device in Hindi ?

Is article mai hum apke sabhi question ke answer de rahe hai. Jaise How to create autorun USB, How to create USb Stealer, How to Copy Data silently using USB Stealer.

Yeh sab hum apko practically bata rahe hai. Hum apko is Article mai USB Pendrive ke through hacking ki kuch techniques ke bare mai bata rahe hai.

Yaha hum apko USB Stealer ke through hacking karke bata rahe hai. Hum apko data copy karna, Passwords ko steal karna yeh sab bata rahe hai.

Note- This article is only for educational purpose. Don’t miss use your knowledge and skills.

What is USB Stealer ?

Chaliye sabse pahle hum yeh jante hai USB Stealer hota kya hai. Kyo USB Stealer ka use hacking mai kiya jata hai.

USB Stealer ek aisa hacking device hota hai. Jo automatic hi work karta hai. Hacker kuch files or coding ki help se kisi bhi normal Pen drive ko USB Stealer ki tarah use karte hai.

Hackers USB Stealer ko create karke victim ke browsers mai se passwords , Wifi ke passwords, Facebook accounts ke passwords , Kisi website ke passwords, Windows ke passwords.

Browser mai save kiye hue sabhi passwords ko hacker USB Stealer ki help se nikal sakte hai. Yeh attack karne ke liye hacker ko bas pendrive victim ke computer mai plug karni hoti hai.

Hacking mai USB Stealer ka use kayi tarah se kiya ja sakta hai. Kisi bhi normal pen drive ko hackers manually bhi autorun bana sakte hai, Ya kisi software ki help se bhi aisa kar sakte hai.

Hum apko yah dono methods se yeh bata rahe hai. Kis tarah se kisi normal pen drive ko usb stealer device bnaya jata hai. Aap iska use illegal hacking ke liye kabhi mat karen.

Yeh sab aap Batch programming ki help se kar sakte hai. USB ko autorun bnane ke liye apko Batch programming ki knowledge honi chahiye.

How to create USB Stealer using software ?

Sabse pehle hum apko software ki help se yeh apko google par easily mil jayga. Yeh software ka name samlogic usb autorun creater hai.

Sabse pahle apko yeh software ko install karna hoga. Jis tarah hum baki softwares ko install karte hai yeh bhi vaise hi hoga.

Yaha aap jis software ko autorun karvana chahte hai uska path dena hota hai. Hacker USB Stealer ki help se trojan ya kisi tarah ke computer virus ko bhi run karva sakte hai.

Kisi bhi pen drive ko Autorun bnane se pahle apko pen drive ko format karna jaruri hai. Format karne ke baad aap kuch is tarah se information fill kar sakte hai.

Yaha humne icon select nahi kiya hai. Aap chahe to use kar sakte hai. Yaha ap is software ki help se memory card ko bhi usb stealer ki tarah use kar sakte hai.

Pendrive create hone ke baad kuch is tarah se option show ho jayga. Yaha apki normal pen drive ek usb hacking device mai convert ho jayegi.

Yeh sab process hone ke baad aap Pen drive ko remove karke dubara se plug karte hai. Aise mai software automatic run ho jata hai. Kuch is tarah.

Yaha humne jis software ka use kiya hai veh apko nirsoft ki website par mil jate hai. Aap nirsoft website par apni requirements ke hisab se utilities ka use kar sakte hai.

USB Stealer

Aap dekh sakte hai is tarah se USB Stealer ki help se hackers browser mai save passwords ko nikal sakte hai. Is tarah se USB Stealer ka use hacking mai kiya jata hai.

How to create Autorun file

Yeh kaam aap manually bhi kar sakte hai. Manually aisa karne ke liye apko kuch coding karni hoti hai. Kuch is tarah.

USB Stealer

Kuch is tarah se coding karke autorun file ko bnaya ja sakta hai. Yaha humne do software ko open karke password save kiye hai sath hi chrome browser ko open karke freelearningtech website open ki hai.

Yeh file ko bat file ke format mai bnana hota hai. Jaise humne bnayi hai launch.bat. Hacker agar chahte hai tab veh software ko hidden bhi rakh sakte hai. Bat file ko manually run karvana hota hai.

USB Stealer

Aap dekh sakte hai is tarah se nirsoft ki utilities passwords ko show karva dete hai. Yeh sab users ke fayde ke liye bnaya gaya hai. Lekin hackers inka is tarah USB Stealer banakar miss use bhi karte hai.

How to copy files Silently ?

Chaliye ab hum apko btate hai. Hackers victim ke computer se USB stealer ki help se kis tarah se files ko silently copy kar sakte hai.

Yeh karne ke liye apko 4 files ko manually create karna hota hai. JO kuch is tarah hai. Yeh files ka download link apko mil jayga.

USB Stealer

Yaha ek file ko invisible kiya gaya hai taki silently data ko copy kiya ja sake. Ek file ko coding ki gyi hai victim ke computer se jo bhi files ko nikalna hai.

Yaha ek file autorun file bnayi gayi hai . Ek file ko launch.bat file create ki gyi hai. Aise mai hacker victim ke device mai pen drive ko plug karke launch.bat file ko jab run karta hai. Sabhi files copy ho jati hai.

File ko run karte hi ek folder creat ho jayga or us folder mai hacker ne jo files ko copy karne ke liye decide kiya hai veh copy hona start ho jayegi. Is tarah se hacker USB Stealer ko silently use kar sakte hai.

USB Stealer

All ka folder automatic create ho jayga or files copy hona start ho jayegi. Yeh practical aap apne hi computer par karke dekh sakte hai.

Ab aap khud soch sakte hai . Batch script jo ek programming language hai. Iska use hackers kis tarah se kar sakte hai. Yeh humne apko samjhane ke liye kuch example btaye hai.

Batch script language apko age bata di jayegi. Yeh agar aap sikhna chahte hai aap comment mai hume bata sakte hai.

Download Link

The Conclusion

Main umeed karta hu ki apko USB Stealer ke bare mai pata chal gaya hoga sath hi apko yeh bhi pata chal gaya hoga. Hackers kis tarah se normal pen drive ko USB Hacking device bana sakte hai.

Yeh sab illegal hai aap yeh practical apne hi computer par karen. Batch script ek aisi programming language hai agar aap sikhte hai apko window ke bare mai bahut knowledge hojayegi.

Aap jitni bar bhi autorun pendrive create karte hai sabse pahle use format jarur karen. nirsoft website par utilities ka use jarur karen. Yeh aap ke liye kafi useful ho sakta hai.

Yaha to USB Stealer ko activate karne ke liye bat file par click karna hota hai. Lekin rubber ducky agar use kiya jata hai tab kisi tarah se click karne ki jarurti nahi hoti hai.

Agar apka kisi bhi tarah ka koi Question hai aap comment mai puch sakte hai. Humari taraf se apki puri help ki jayegi. Agar apko yeh article acha lagta hai tab ise share jarur karen.

Thankyou

2 Comments

Leave a Reply

Your email address will not be published.


*