Is Article mai hum apko Rubber Ducky ke bare mai bata rahe hai. Jaise How to make a USB Rubber Ducky, How to make a Cheap USB Rubber Ducky. Yeh sab apko is article mai bata diya jayga.
Rubber Ducky ke bare mai apko IOT Hacking ke article mai bata diya gaya hai. Yeh ek Hardware device hota hai . Lekin yeh ek expensive device hota hai.
Rubber Ducky ki jagah hum kuch arduino boards ka use kiya ja sakta hai. Jaise digispark , Arduino uno , Mini Leonardo Pro Micro. Yeh sab ka use Rubber Ducky ya Bad Usb ki tarah kiya ja sakta hai.
Rubber ducky apne aap ko is tarah se kisi bhi computer ko show karvata hai. Jise Computer ko lagta hai veh safe hai isliye firewall ya kisi tarah ka antivirus ise detect nahi kar pata hai.
Hum yaha is practical mai jis Board ka use kar rahe hai veh Mini Leonardo Pro hai. Yeh kuch is tarah se hai ise apko usb Data cable ke sath apke PC mai connect karna hota hai.
Also Read
Example of Rubber Ducky ?
Yaha hum apko Rubber Ducky ko use karna or setup karna bata rahe hai. Hum apko kuch simple Scripts bata rahe hai. Virus ko Rubber ducky mai kaise inject karna hai yeh apko age bata diya jayga.
Jaise ki hum jante hai time ke sath sath har chij ki security bhi badha di jati hai. Aise hi pahle normal usb ko autorun bnaya ja sakta tha. Lekin ab normal usb Bad usb ki tarah kaam nahi karti hai.
Isliye hum apko Bad Usb ka use Mini Leonardo Pro ki help se karna bata rahe hai. Sabse pahle apko ek software ko install karna hoga. Ardunio Yeh apko Google par easily mil jata hai. Yeh kuch is tarah se open hota hai.
Yeh software ko jab aap first time open karte hai kuch is tarah se open hota hai. Yaha apko ducky script ko upload karna hota hai. Dhyan rahe yeh software ko use karne se pahle apko apke arduino board ko pc se connect jarur karle. Kuch is tarah.
Rubber Ducky ko connect karne ke baad apko arduino software mai tools mai board ko select karna hota hai or port ko select karna hota hai. Apko tools mai board ka option mil jayga.
Yaha hum jis board ka use kar rahe hai veh Arduino/Genuino Micro hai. Board ke option ke niche hi apko port ka option mil jayga. Yeh sab aapko Arduino board ko connect karne ke baad karna hota hai.
Yeh Device connect hone ke baad kuch is tarah se work karta hai. Agar aap arduino software ko install kiye bina is device ko connect karte hai. Aise mai apko driver ki error ati hai.
Isliye aap sabse pahle arduino ke software ko install karle. Kisi software ko install karna easy hai or sabhi ko pata hai isliye veh yaha nhi btaya ja raha hai.
Hum yeh maan kar chalte hai ki apne Software install kar liya hai or Hardware device ko apne pc se connect kar liya hai. Iske baad apko ducky script chahiye hoti hai jo apko github par mil jati hai.
How to Upload Rubber Ducky script ?
Yeh payloads kuch is tarah se apko mil jate hai. Payload
Aap dekh sakte hai is tarah se payloads apko mil jate hai. Yeh payloads ko khud bhi bnaya ja sakta hai. Lekin aisa karne ke liye apko yeh sab coding ke bare mai knowledge honi chahiye.
Yaha hum apko kuch simple scripts ko run karna bata rahe hai. Jaise hello world , Youtube roll . Yaha apko bahut tarah ki Ducky scripts mil jati hai.
Yeh sab karne ke baad apko yaha se Ducky scripts mil jati hai. Iske baad aap in scripts ko compile kar sakte hai . Yeh karne ke liye apko website ka link diya ja raha hai. Duckuino
Yaha humne Youtube roll ki script ko compile kiya hai. Yeh coding kya hai iska matlab kya hai yeh sab apko age detail mai bata diya jayga.
Ducky script ko arduino board mai upload karne par yaha jis bhi youtube video ka link aap denge veh video automatic hi open ho jayegi.
Yeh Compile karne ke baad aap jab download kar lete hai. Apko apki file mil jati hai. Uske baad aap use upload kar sakte hai.
Yeh file Download hone ke baad apko kuch is tarah se mil jati hai. Iske baad aap ise open kar sakte hai ise open karte hi apke samne kuch is tarah se Arduino software mai yeh file open ho jati hai.
Yeh file apke samne kuch is tarah se open hogi. Iske baad aapko right arrow par click karke bas file ko upload karna hota hai. File upload hone ke baad aap dekh payege.
Apke samne apke bina kuch kiye hi apka Browser open hoga or Youtube video open ho jayegi. Yeh practical aap khud karke dekh sakte hai. Aise hi payloads ko kisi Computer mai upload kiya jata hai. Jise hum Usb Stealing attack bhi kehte hai.
Rubber Ducky ki help se bahut tarah ke attacks ko kiya ja sakta hai. Agar aap iska use karna jante hai tab apko kisi tarah ki koi problem nahi hogi.
The Conclusion
Main umeed karta hu ki apko pata chal gaya hoga Rubber Ducky kya hai or ise kaise use kiya jata hai. Aap chahe to Rubber ducky ka bhi use kar sakte hai.
Aise hi Rubber Ducky ki tarah hi ek bad usb cable bhi ati hai jiska use hacking mai kiya jata hai. Aap Rubber ducky ki jagah Arduino boards ka bhi use kar sakte hai.
Yeh apko example btaya gaya hai kis tarah se hackers Bad Usb ko use karte hai. Age apko Rubber ducky ka use karke kuch attacks bhi perform karke bata diye jayege.
Agar apko yeh sab setup karne mei kisi bhi tarah ki koi problem ati hai. Aap comment mai bhi puch sakte hai or humse contact karke bhi puch sakte hai. Humare article ko share karna mat bhule.
Thankyou
I love what you guys are up too. This kind of clever work and coverage! Keep up the terrific works guys I’ve incorporated you guys to my own blogroll.|