How To Setup Firewall and Honeypots ?

Is article mai hum apko Firewall or Honeypots ke practical ke bare mai bata rahe hai. Jaise How to setup Honeypots, How to use Honeypots. Firewall or Honeypots ke bare mai apko pahle hi bata diya gaya hai.

Yaha hum apko Practically bata rahe hai Firewall or Honeypots kaise work karte hai. Sath hi apko yeh bhi bata diya jayga kaise inka use kiya jata hai.

Firewall or Honeypots ka use jadatar security purpose ke liye kiya jata hai. Apko pahle btaya gaya hai Firewall agar apke Computer ka watchman hai to Evading IDS apke Computer ka CCTV hai.

Working of Firewall

Firewall ki working ko hum Cisco ke through smjhane ki koshish kar rahe hai. Firewall ki working ko samjhane ke liye ek chota sa setup bnaya gaya hai. Yeh kuch is tarah hai.

Aap dekh sakte hai yaha hume 4 Computers ko liya hai or center mai firewall ko liya gaya hai. Yeh kaise kiya jata hai yeh sab apko CCNA ki classes mai bata diya jayga.

Yaha apko firewall ki working ko samjhane ke liye humne yeh setup bnaya hai. Yaha sabhi computers ethernet ke through Firewall se connected hai or communication kar rahe hai.

Lekin sabhi computers communication nahi kar rahe hai yaha kuch computers ko hi communication ke liye setup kiya gaya hai. Kuch is tarah.

Aap yaha dekh sakte hai pc1 or pc2 hi communication kar pa rahe hai. Lekin baki ke computers communication nahi kar pa rahe hai. Thik isi tarah firewall packets ko allow nahi karta hai.

Yeh ek dusri image hai yaha humne pc0 ko pc3 ke sath communication karvaya hai. Jab ki aap pahle ki image mai dekh sakte hai. PC0 or PC3 ek dusre ke sath communicate nahi kar pa rahe hai.

Kyoki firewall inhe allow hi nahi kar raha hai. Is tarah se firewall apke Computer mai kisi bhi request ko allow or deny karta hai. Yeh kaise kiya jata hai yeh sab apko CCNA ke articles mai bata diya jayga.

Apne bhi kabhi na kabhi aisa jarur dekha hoga. Yeh notification Windows firewall ke through hi ata hai. Firewall kisi bhi software ko run karne ke liye apse permission leta hai. Agar aap permission dete hai tabhi veh software ko run karta hai.

Firewall Rules

Firewall mai do tarah ke rules ko create kiya ja sakta hai inbound rules or outbound rules. Jaise ki naam se hi pata chalta hai inbound rules jo packets internet ke through humare Computer ya network mai ate hai veh Inbound rules hote hai. Outbound rules jo humare computer ya network se internet mai jate hai veh hote hai.

Aap Firewall ke rules ko khud bhi bana sakte hai. Aap apne hisab se jaise chahe vaise firewall ke rules ko create kar sakte hai. New rules par click karke aap dekh sakte hai.

Yeh bahut hi simple hota hai. Aap Program ko allow kar sakte hai. ports ko allow kar sakte hai. Yeh kaam aap apne hisab se jis bhi program ya port ko allow karna chahte hai kar sakte hai.

How to Setup Honeypots ?

Honeypots ke bare mai apko pahle bhi btaya gaya hai. Aapne agar honeypots ke bare mai nahi padha hai tab aap ek bar use jarur padhle.

Honeypots ki working ko smjhne ke liye apko Honeypots ki theory ko smajhna jaruri hai isliye aap use pahle jarur padhle.

Yaha hum apko pentbox or honeybot ka use karke bata rahe hai. Sabse pahle apko Kali linux mai btaya ja raha hai.

Sabse pahle apko kali linux mai pentbox ko install karna hota hai. Apko install karne ke liye kuch commands ko dena hota hai jo kuch is tarah hai.

Pentbox ko install karne ke baad apke samne yeh tool kuch is tarah se open hota hai yaha apko iske sabhi features mil jate hai. Honeypots ka use karne ke liye apko network tools mai jana hota hai uske baad honeypots ka option apko mil jata hai.

Honeypots

Honeypots ka setup aap automatic bhi kar sakte hai or manually bhi kar sakte hai. Hum apko dono methods ke bare mai bata rahe hai.

Auto configuration mai to sara setup apne aap ho jata hai bas apko apka ip address chahiye hota hai. Aap automatic setup karke dekhege.

Apko apke system ka ip address apke browser mai fill karna hota hai. Aisa karne par aap dekh payege ki apko apke browser ki information mil jati hai kuch is tarah.

Honeypots

Aap dekh sakte hai apko is tarah se information show ho jati hai. Aise hi manually bhi aap honeypots ka setup kar sakte hai. Manually karne ke liye apko port select karna hota hai. Aap message bhi show karva sakte hai.

Honeypots

Yeh sab setup karne ke baad aap jab apke browser mai ip address or port ko open karte hai tab apko yeh message show ho jata hai kuch is tarah.

Honeypots

How to setup Honeypots in windows ?

Chaliye ab hum apko btate hai windows mai honeypots ka kaise setup kiya jata hai. Yeh kaam aap apne hi Computer par karen.

Honeypots ka setup aap kuch tools ki help se kar sakte hai. Yaha hum apko honeybot ka use karke bata rahe hai.

https://www.youtube.com/watch?v=kJUhZYNtihk

Honeybot ko agar aap apke Computer par install rakhte hai. Aise mai apke computer par hone vali sabhi activities ko aap dekh sakte hai.

Jaise apne dekha hoga kabhi kabhi kisi offices mai sabhi computer par najar nhi rakhi ja sakti hai. Aise mai honeybot ko install kiya ja sakta hai. Yeh apko Ip Address or Ports jaise information de deta hai.

Yeh took kuch is tarah se open hota hai. Aap jab bhi honeybot ka use kare sabse pahle apne hi computer par ise setup karen.

Honeypots

Yeh tool kuch is tarah se open hoga jab aap ise first time open karte hai. Aap karke dekhna yeh tool jab open hoga. Aise mai aap apne computer par kisi bhi tarah ki activity ko karke dekhna.

Apko khud pata chal jayga apko ek sound bhi ayegi. Sath hi apko is tool mai information bhi milti jayegi. Kuch is tarah.

Honeypots

The Conclusion

Main umeed karta hu ki apko Firewall or honeypots ka setup or working ke bare mai pata chal gaya hoga. Yeh kaam bahut tarah se kiya ja sakta hai or bahut tarah se apko smjhaya bhi ja sakta hai.

Aap CCNA mai network security par ache se samjh payege kis tarh se data packets apke network mai ate hai .

Apko sab kuch age detail mai bata diya jayga. Yeh sab setup aap apne hi computer par kare. Aise hi kisi dusre computer par yeh setup aap kabhi mat karen. Honeypots ka setup karne ke liye bahut sare tools hai aap ek bar iski theory ko jarur padhle.

Apko vaha intrusion or intrudor ke bare mai bhi pata chal jayga. Yeh sab bhi ek Ethical hacker ke liye sikhna jaruri hota hai. Apko facebook ya whatsapp, wifi par hi hmesha nahi kaam karna hai.

Agar apka kisi bhi tarah ka koi question hai aap comment mai puch sakte hai. Apko honeypots ya firewall ke bare mai bhi koi question hai aap comment mai puch sakte hai.

Thankyou

Be the first to comment

Leave a Reply

Your email address will not be published.


*