(WIFI HACK) How to hack Wifi ?

Apne bhi kabhi na kabhi jarur search kiya hoga How to hack wifi ya Wifi hack ke bare mai. Agar aap Ethical Hacker bana chahte hai.

Apne bhi kabhi na kabhi Wifi Hack ya Whatsapp hack ke bare mai research jarur ki hogi. Lekin apko jo technique btayi gayi hongi. Veh jada tar kaam nahi karte honge. Ya phir WEP Security ke liye honge. Agar aap WIFI HACK ke bare mai jana chahte hai tab aap sahi jagah aye hai.

WIFI HACK karne se pahle apko yeh jana jaruri hai. WIFI kaam kaise karta hai. Agar apko yeh pata hoga tabhi aap use hack kar sakte hai.

Kisi bhi WIFI se user ko connect karne ke liye Three way handshake ko follow karna hota hai. Jab user kisi WIFI se connect hota hai.

Tab veh pahle password bharta hai tab ek syn request send hoti hai. Uske baad WIFI Router se ek Acknowledgement send hota hai.

Uske baad user ke through Acknowledgement ko accept kiya jata hai tabhi user WIFI se connect hota hai. 

WIFI HACK

WIFI HACK karne ki technique ka use jadatar log sirf free wifi ko use karne ke liye karte hai. Lekin hum apko bata de aisa karne ke bad kabhi kabhi aapko bhi problem ho sakti hai.

Kyoki apko yeh nahi pata hota hai. Aap jis WIFI ko hack kar rahe hai us WIFI Network mai kis tarah ka data flow ho raha hai. Yeh bhi ho sakta hai ki us WIFI Network mai kisi tarah ka malcious data flow ho raha ho.

Aise mai apke phone ya PC mai virus ane ke chances badh jate hai. Isliye kehte hai Free wifi ka use hume kabhi nahi karna chahiye.

Also Read

Evading IDS , Firewall and Honeypot 

Methods of whatsapp hacking

Note- This Post only for educational Purpose .Don’t miss use your Knowledge.

Note- Practical Videos are Coming Soon our Youtube channel.

Three types of WIFI Security

WEP

WPA

WPA2

WIFI HACK

WEP

Iska pura naam Wired Equivalent Privacy hota hai. WEP ek sabse less SECURITY vala WIFI Network mana jata hai. Is Attack ko hack karna bahut hi assan hota hai. WEP IEEE 802.11 Wireless protocol ka use karta hai. 

WEP Network mai Cipher RC4 Encryption ka use kiya jata hai. Inke bare mai apko Cryptography mai bata diya jayga. Aaj ke time mai WEP WIFI bahut hi kam dekhne ko milte hai.

Aaj ke time mai jadatar WPA or WPA2 SECURITY vale WIFI jada dekhne ko milte hai. WEP WIFI agr 64 bit ka hai tab usme 40 bit ki SECURITY key hoti hai.

Yahi agar WEP WIFI 128 bit ka hai tab vaha 104 bit ki key hoti hai. WEP SECURITY vale WIFI HACK karne ke liye bahut sare tarike hai. Yeh bahut asani se hack bhi ho jata hai

WPA

WPA ka pura naam Wireless Protected Access hota hai WPA SECURITY vale HACK karna thoda mushkil hota hai. Lekin aisa nahi hai ki inhe hack nahi kiya ja sakta hai.

Lekin WEP SECURITY vale HACK karne vale tariko se WPA ko hack nahi kiya ja sakta hai. WPA TKIP (Temporal key Integrity protocol) ka use karta hai.

Isme RC4 Cipher Stream Encryption  ka use kiya gaya hai. Jise crack karna WEP se mushkil hota hai or sath hi PSK or EAP authentication ka use kiya gaya hai.

WPA2

WPA2 ek strong WIFI Network mana jata hai. Jise crack karna bahut mushkil hota hai. WPA2 SECURITY vale HACK karne ke liye tarike hote hai.

Lekin kuch tarike hote hai. Jinse hack hone ke chances jada hote hai. Aaj ke time mai WPA2 WIFI Network ka sabse jada use kiya jata hai.

Lekin phir bhi hackers inhe hack kar lete hai iske baare mai apko bataya jayga. Lekin aap aisa kabhi mat karen WPA2 WIFI mai AES Encryption ka use kiya jata hai. J

ise asani se crack nhi kiya ja sakta hai. WPA or WPA2 WIFI ke Encryption mai 128 bit key ki hoti hai.

Technique of WIFI HACK 

Chaliye ab hum apko WIFI HACK karne ke techniques ke bare mai btate hai. Lekin aap in sabhi ka miss use kabhi mat keren

Custom Pin attack

Kisi bhi tarah ka WIFI HACK karne ke liye sabse pahle uski SECURITY ka pata hona jaruri hota hai. Tabhi aap us hisab se attacks ka use kar sakte hai. 

Custom Pin attack veh attack hota hai. Jaha kisi WIFI ki un keys ka use karke kiya jata hai. Jis company ka WIFI Router hota hai.

Jaise maan lijiye apko yeh pata hai ki WIFI Router Tenda company ka hai. Tab aap Tenda Company ke Custom pin ki tables ka use karke use Hack karne ki koshish karte hai. Agar Pin lag jata hai tab aap Wifi se connect ho jate hai.

Hack ho jata hai lekin aisa nahi hai ki Custom PIN attack ka kisi bhi WIFI Security par use kiya ja sakta hai. WEP SECURITY vale Hack karne ke liye Custom Pin attack ka use agar hacker karta hai.

Tab jada chances hote hai WIFI HACK hone ke liye lekin yeh bhi jruri nahi hota hai ki yeh bahut jaldi ho jayga isme time bhi lag sakta hai. Jab tak PIN milta nahi hai tab tak Pins ko try kiya jata hai. 

Bruteforce attack

Yeh ek aisa attack hota hai. jise WIFI HACK karne ke liye use kiya jata hai. Bruteforce attack attack mai bahut sari alag alag passwords ki list ko kisi Wifi par try kiya jata hai.

Agar password mil jata hai tabhi WIFI HACK hota hai. Isme kitna bhi time lag sakta hai. Kyoki jis password ki list ka Hacker use karta hai. Usme bahut sare Passwords ke Combinations hote hai.

Yeh attack karne ke liye Hacker ko bahut patience ki jarurt hoti hai. Aircrack , wifite jaise tools ka use karke is attack ko kiya ja sakta hai.

Iske bare mai apko facebook Hacking mai bhi btaya jayga kyoki iska use bhi Facebook Hacking mai kiya jata hai.

Fake Access Point

Yeh attack WIFI HACK karne ke liye sabse acha mana jata hai. Kyoki is attack mai kisi bhi WIFI ko hack karne ke chances bahut jada hote hai.

Lekin yeh attack karne ke liye bhi hacker ko patience ki jarurt hoti hai. Yeh attack Mobile Phone se nahi kiya ja sakta hai.

Ise kali Linux ya wifislax se kiya ja sakta hai. Is attack mai hacker kisi bhi WIFI SECURITY vale WIFI ko hack kar sakta hai.

Ise assan language mai kahe to Phishing WIFI attack bhi keh sakte hai. Kyoki is attack mai hacker user ko Real WIFI Connection se disconnect kar deta hai or apna ek vaise hi Fake access point tyar karta hai.

Jaise maan lijiye ek Wifi Network ka naam hai. Freelearningtecj yeh ek Real WIFI hai. Ab hacker isi naam ka ek Fake access point bnata hai freelearningtech.

Aise mai hacker real wifi ko jam karta hai or user ko Real WIFI se disconnect kar deta hai. Ab agar user us time WIFI ka use kar raha hota hai. Tab use Fake access point hi show hoga.

Jise hacker ne bnaya hoga. Aise mai user jab use connect karne ke liye password fill karega. Tab veh password hacker ke pass pauch jata hai.

Phir hacker jammer ko band kar deta hai or user automatic Real WIFI se connect ho jata hai. Or user ko pata bhi nahi chal pata hai kis uska WIFI HACK ho gaya hai.

Hardware for Wifi Hack?

Yeh attack karne ke liye fluxion tool ka use kiya jata hai. Or sath hi hacker ko ek extra WIFI adapter  ki bhi jarurt hoti hai.

Kyoki ek wifi adapter to signal ko jam karta hai. Or dusra wifi adapter Fake access point ko bnata hai. Yeh attack Node Mcu or Digispark jaise Hardware  se bhi kiya ja sakta hai

The Conclusion

Main umeed karta hu ki apko WIFI HACK ke bare mai pata chal gaya hoga. Lekin aap inka kabhi miss use mat karen.

Is tarah ke WIFI Hacking se bachne ke liye apko inke bare mai pata hona jaruri hota hai. Isliye apko yeh sab btaya gaya hai.

Apko apne Wifi ka password hmesha aisa hi rakhna chahiye. Jo kisi tarah ki Password ki list mai nahi milna chahiye

Apko kabhi Open wifi ka use nahi karna chahiye. Ise apke data ko nuksan ho sakta hai or apke devices ko bhi hack kiya ja sakta hai. Agar hacker kisi Wifi Network se connect hota hai.

Tab veh us wifi network se connected devices ko bhi hack kar sakte hai. Or DOS attack, MITM Attack, Session Hijacking.

Jaise attacks ko bhi kar sakta hai. Agar apka kisi bhi tarah ka koi question hai tab aap humse Comment box mai puch sakte hai.

Thankyou

Be the first to comment

Leave a Reply

Your email address will not be published.


*