How Hackers Do Big Hacking Attacks ?

Agar apke man mai bhi yeh question ata hai kaise hackers big hacking attacks ko karte hai. Jaise Youtube channels , Facebook servers, Whatsapp database, Ek sath bahut sare Computers ko infect karna or bhi bahut kuch.

Is article mai hum apko yeh bhi btayege kaise in attacks se safe raha ja sakta hai. Sath hi yeh bhi jaanege kaise Hackers big hacking attacks ko anjam dete hai.

Agar mai apko kahu ki jitne bhi bade hackers hai veh kuch naya nahi karte hai. Jo aapko is website mai btaya ja raha hai articles mai veh sabhi bhi yahi sab karte hai.

Aise mai shayd aap ke liye bharosa karna thoda mushkil hoga. Lekin aap kisi bhi bade hacker ke bare mai jante hai unke bare mai jab aap study karage

Apko yeh dekhne ko milega ki is big hacking attacks ko email ke through kiya gaya hai, Ya is attack ko social engineering ke through kiya gaya hai, Ya is attack ko payload ke through kiya gaya hai.

Hum apko yaha yeh nahi bata rahe hai kaise kiya jata hai. Yaha apko kisi tarah ka practical karke nahi btaya ja raha hai. Hum apko yeh jarur bata denge Big hacking attacks ko kiya kaise jata hai.

Youtube Channels

Agar apka Ethical Hacking ki field mai interest hai. Aise mai apko yeh baat jarur pata hoga ki kuch time pahle hi Youtube channels ko hack kiya gaya tha. Yeh hackers ne kaise kiya tha yeh shayd apko nahi pata hoga.

Aise mai kisi normal user yahi sochta hoga Youtube kitna bada hai kaise hack kar liya kisi ne. Ek normal user ki najro mai yeh Big Hacking attacks hi mana jata hai lekin aisa nahi hai.

Agar mai apko yeh kahu ki jab taak aap koi galti nahi karte hai tab tak apke kisi bhi account ko hack nahi kiya ja sakta hai. Phir chahe veh apka Facebook account ho, instagram ho, ya whatsapp ho.

Yaha hum yeh nahi keh rahe hai ki agar aap galti karte hai tabhi apke accounts ko hack kiya ja sakta hai. Lekin aisa jarur keh rahe hai 90 % apke social accounts, bank accounts, ya website apki hi galti se hack hote hai. Aise mai hum ise Big Hacking attacks ka naam dete hai.

Agar aap kisi bhi youtuber ko jante hai tab aap unse ik bar baat karke dekhna apko khud hi pata chal jayga unke youtube account hack kaise hue the.

Jin bhi Youtubers ke account hack hue the unme se kuch youtubers ko promotion ke liye mail aya tha or unse payload install karvaya gaya tha is tarah se Youtube accounts ko hack kiya gaya tha.

Aise mai yaha social engineering , Email Spoofing, Payload ka use ik sath kiya gaya tha. Aise hi Big hacking attacks ko anjam diya jata hai.

Hackers aise big hacking attacks ko kisi new method se nahi karte hai. Veh bas hacking karne ke way ko badal dete hai. Is tarah se hackers bade attacks ko karte hai.

Wannacry Ransomware attack

Wannacry ke bare mai to sabhi jante hai. Lekin yeh attack kiya kaise gaya tha iske bare mai bahut kaam logo ko pata hoga. Ransomware hota kya hai iske bare mai apko Computer virus ke article mai bataya gaya hai.

Agar aapko bhi Ransomware virus bnana sikhna hai aap comment mai bata sakte hai apko bata diya jayga. Lekin aap kabhi iska miss use mat karen. Wannacry attack jo hua tha veh bhi email ke through hi kiya gaya tha.

big hacking attacks

Email ke through hi Wannacry Ransomware attack ko kiya gaya tha. Ab yaha Virus banane ki knowledge or social engineering ka use kiya gaya tha. social engineering ke article mai apko btaya gaya hai. Yeh attack jab kiya jata hai Bitcoin mai payment li jati hai.

Yeh ek aisi technique hai jiska use kaise karna hai ek hacker par depend karta hai. Apne kevin mitnick ke bare mai to jarur suna hi hoga. Jinhe social engineering expert kaha jata hai.

How to infected unlimited computers ?

Apne kabhi na kabhi yeh jarur dekha hoga ki kisi company ke sabhi computers ko hack kar liya gaya hai. Yeh news apne bahut bar suni hogi. Yeh attack ko Big Hacking attack ka naam diya jata hai. Kyoki ek sath bahut sare computers ko infect kar diya jata hai.

yeh attack hackers kaise karte hai yeh apko bataya ja raha hai. Lekin aap iska miss use kabhi mat karen. Yeh kaam karne ke liye hacker worm ya botnet virus ka use karte hai. Worm virus ke bare mai apko pahle bhi btaya gaya hai.

big hacking attacks

worm aisa virus hota hai jo khud ko distribute karta hai. Jaise kisi company mai 200 computers hai or kisi ek computer mai agar Worm virus hota hai. Aise mai veh infected computer baki ke sabhi computers jo same network mai hote hai unhe bhi infect kar deta hai.

Botnet bhi kuch is tarah se hi kaam karta hai botnet virus se infected computer ko dummy computers kaha jata hai. Botnet ka use jadtar DDOS Attack karne ke liye kiya jata hai.

Yeh apko pahle bhi bata diya gaya hai. Is tarah se Botnet or Worm virus ka use karke ek sath bahut sare computers ko infected kar diya jata hai. Aise hi Big hacking attacks ka naam diya jata hai.

How Jeff Bezos Whatsapp account hacked?

Jeff Bezos Sir ko kon nahi janta hai Amazon ke CEO Jeff Bezos sir ka Whatsapp account abhi kuch time pahle hi hack kar liya gaya tha. Sirf unse milne ke liye unka Whatsapp account hack kiya gaya tha.

Yeh attack kisi bhi normal user ko Big hacking attacks hi lagta hai. Kyoki itne bade person ka Whatsapp account kaise hack kiya ja sakta hai. Lekin apko yeh pata hai unka account kaise hack kiya gaya tha.

Spywares ke through unka I phone hack kiya gaya tha Spyapps kya hote hai uske bare mai apko pahle hi bata diya gaya hai. Spyapps ke through kisi ke Mobile Phone ko access kiya ja sakta hai. Agar apko Spyapps ke bare mai nahi pata tab aap uske bare mai ek bar jarur padh le.

Ab aap khud soch sakte hai yeh sab jitne bhi hai jinhe hum Big Hacking attacks kehte hai yeh sab kiye kaise gaye hai. Humne apko sabhi ke bare mai btaya hai. Aap khud samjh sakte hai ki bade hackers jinke naam hum sunte hai veh kuch alag nahi karte hai. Veh bas tarika alag use karte hai attack same hi karte hai.

Humne apko humari posts mai bahut bar btaya hai. Yeh sab hacker par depend karta hai veh kaise kis attack ko perform karta hai. Asaan language mai agr kahe to hacker apni skills or knowledge ka use apne tarike se karta hai.

The Conclusion

Main umeed karta hu ki apko yeh sab ache se samjh a gaya hoga kaise Hum kin attacks ko Big hacking attacks ka naam deta hai. Aise bahut sare examples hai agar sabhi ke bare mai btaya jaye article bahut hi bada ban jayga.

Aise hi sabhi attacks hackers karte hai jinhe hum Big Hacking attacks kehte hai. Nasa ke Computers ko hack karna, Kisi Government ya Organization ke Network ko hack karna.

Water Hole Attack ko perform karna yeh sab isi tarah se kiya jata hai. Bas attacks karne ke way badal diya jata hai. Agar apka kisi bhi tarah ka koi question hai aap Comment mai puch sakte hai.

Sharing is Caring

Thankyou.

5 Comments

Leave a Reply

Your email address will not be published.


*