What is Bitcoin (Bitcoin Mining) in Hindi 2020?

Apne bhi kabhi na kabhi What is Bitcoin,BTC ya What is Bitcoin Mining ke bare mai jarur research ki hogi. Apko shayd yeh bhi pata hoga ki yeh hota kya hai or kaha inka use kiya jata hai or kaise kiya jata hai. Ethical Hacking ki feild mai bhi iska use kiya jata hai. Jise hum Bitcoin Mining bhi kehte hai. Lekin iske bare mai jane se pahle aapko BTC ke bare mai pata hona jaruri hai.

Yeh ek Cryptocurrency hoti hai. Jise satoshi nakamoto ne 2009 mai invent kiya tha tab iski popularity itni nahi hua karti thi. Kyoki tab jadatar logo ko iske bare mai pata nahi tha. Lekin aaj ke time mai iska use bahut kiya jata hai. BTC ko virtual currency bhi kaha jata hai. Virtual Currency veh hoti hai jinka use Internet par digital form mai kiya jata hai.

Jaise agar apko Internet ke through kuch bhi purchasing karni hoti hai. Tab iska use kiya ja sakta hai ya Dark web par jitni bhi Transaction hoti hai. Veh sab BTC mai hi hoti hai. Kyoki jaise ki apko btaya gaya hai Dark web ke bare mai vaha jadatar illegal kaam hi hote hai. Aise mai vaha iska use kiya jata hai jis vajah se kabhi tracing nahi ki ja sakti hai.

Bitcoin

Aise hi apko Ransomware virus ke bare mai pahle btaya gaya hai. Vaha bhi jab kisi Device ko ransomware se infect kiya jata hai. Tab vaha bhi paise BTC mai hi mange jate hai. Kyoki hackers yeh baat jante hai ki agar veh bitcoin mai paise lete hai. Aise mai unki transaction ko trace nahi kiya ja sakta hai isliye vaha bhi iska use kiya jata hai.

Note- This Post only for educational Purpose .Don’t miss use your Knowledge.

Also Read

What is Water hole Attack ?

SYSTEM HACKING?

Learn CEH All Topics

What is Bitcoin Value

Bitcoin ki value depend ke hisab se badti ya kaam hoti rehti hai. Kyoki ise chlane vali koi government ya koi athourity nahi hai. Aaj ke time mai 1 BTC ki value 636957 indian rupee hai.

What is Bitcoin Wallet

Jaise ki hum sabhi ko yeh baat pata hai. Aaj ke time mai har chij digital hoti ja rahi hai. Jaise paytm hai , Google pay hai, Phonepay hai. Yeh sabhi ke wallet hote hai jaha hum virtual tarike se apne paiso ko recieve or send kar sakte hai. Aise hi BTC ke liye bhi wallet hote hai.

Jaha BTC ko rakha ja sakta hai or receive or send bhi kiya ja sakta hai. Agar hume kisi se BTC lene ho ya send karne ho tab hum aise hi kahi bhi iski transaction nahi kar sakte hai. Bitcoin wallet ke through kiya ja sakta hai.

Bitcoin

Yeh wallet hume ek unique address deta hai. Jaise hi hum Blockchain main Apna account bnate hai vaha hume unique address diya jata hai. Jiske through hum BTC ko send ya receive kar sakte hai. Bitcoin wallet bhi hack kiye jate hai. Lekin yeh karna bahut jada mushkil hota hai kyoki Blockchain ki security bahut high hoti hai.

How to earn Bitcoin ?

Iski value ke bare mai jaankar aap bhi jarur jana chahege ki ise kmate kaise hai. Ise kmane ke illegal or legal dono tarike hote hai. Hum apko dono ke bare mai btayege chaliye ise kmane ke tariko ke bare mai jante hai.

Legal way

1.Pahla tarika to yeh hota hai ki hum BTC ko store karke rakh sakte hai. Jaise ki apko iski value ke bare mai btaya hai. Yeh kabhi bhi badh sakti hai ya kaam bhi ho sakti hai. Lekin ise jada value mai store nahi karna chahiye hum BTC ki kuch value ko store karke rakh sakte hai. Jruri nahi hai ki hume 1 BTC hi rakhna chahiye kuch hisa bhi rakh sakte hai or value badhne par use sale bhi kiya ja sakta hai. Yeh kaam aap apne risk par kare kyoki value kabhi bhi badh sakti hai ya kaam bhi ho sakti hai.

2. Online kisi tarah ka sman sale karke bhi BTC earn kiye ja sakte hai. Jaise ki aapko agar online kisi tarah ka sman sale karna hai. Tab aap apni payment ko BTC mai receive kar sakte hai. Is tarah se bhi BTC kmaye ja sakte hai. or iski value badhne par ise sale bhi kar sakte hai.

3. Online Sites ke through bhi aap inhe kama sakte hai. Lekin aise bahut hi kaam websites hai jo genuine hai. Lekin kuch hai jinka use karke BTC ko kmaya ja sakta hai. Jaise freebitco is website ke through BTC earn kiye ja sakte hai. Apko is website mai har 1 hour ke baad free roll milta hai jaha apko kuch amount diya jata hai. Aap chahe to is website ke through betting karke BTC Multiply bhi kar sakte hai.

Illegal Way

1.BTC kmane ke ek galt tarika Bitcoin Mining hai. Jiske bare mai apne kabhi na kabhi jarur suna hoga. Apko aise bahut sari websites mili hogi jaha apko sirf signup karke rakhna hai or automatic apke account mai BTC badhte jate hai. Lekin veh apko kabhi milte nahi hai. Kyoki yeh sab fake websites hoti hai. Yeh Websites apke Computer ya Devices ke through Mining karke apne BTC badhati hai.

Jab aap aise kisi website par account bnate hai. Tab aap kabhi notice karna apke CPU ki Processing speed bahut tej ho jati hai. Aisa isliye hota hai kyoki yeh Websites apke Devices ki Processor ki speed ka use karke Bitcoin mining kar rahi hoti hai. Isliye aap aise websites jaha automatic BTC badhte hai unka use kabhi mat karen.

2. Dark Web par illegal tarike se bhi BTC ko kmaya ja sakta hai. Kyoki jaise ki hum jante hai ki Dark Web par bahut tarah ki websites hoti hai. Vaha aise bahut sari websites hai jo fake hoti hai or payment jo receive karti hai. Veh BTC mai karti hai is tarah se BTC Earn kiye jate hai. Lekin yeh illegal tarika hai isliye aap kabhi bhi aisa mat karen.

Bitcoin Mining is Possible or Not ?

Agar apke man mai bhi yeh swal ata hai ki Bitcoin Mining koi bhi kar sakta hai kya to ha ise kiya ja sakta hai. Lekin aise nahi jaise apko btaya jata hai. Kyoki aisa karne ke liye apke device ki speed bahut jada honi chahiye. Aap aise websites jaha automatic Bitcoin badhte hai. Vaha se aisa karna chahte hai tab aap apna time waste hi karte hai. Kyoki aisi websites apko kabhi BTC nahi deti hai.

Bitcoin Mining

Aap Genuine websites ke through Bitcoin Mining kar sakte hai. Jaha aapko manually sab kuch karna padta hai tab aap samjh lijiye ki veh genuine website hai. Jaha automatic BTC badhte hai veh fake websites hai. Apke account mai BTC badhte to hai lekin reality mai veh BTC websites owner ke pass jate hai. Kyoki veh apko CPU ki Performance ka use karke apne liye Bitcoin Mining karta hai.

Advantage of Bitcoin

1.Bitcoin ko aap dunia mai kahi bhi or kabhi bhi send kar sakte hai.

2. Jaise ki hume pata hai lo BTC ki value badhti ja rahi hai isliye ise agar store karke rakha jata hai. Tab age ise sale karke jada profit kmaya ja sakta hai.

3. BTC ka account kabhi block nahi kiya jata hai. Kyoki is par kisi Government ya athurity ke writes nahi hote hai.

4. Bitcoin ka galt use bahut jada kiya jata hai. Kyoki jaise apko btaya hai ki iski transaction ko kabhi trace nahi kiya ja sakta hai. Kyoki yeh encrypt hoti hai.

Disadvantage of Bitcoin

1.Jaise ki apko pata hai BTC par kisi tarah se kisi bhi Government ke writes nahi hote hai. Isliye iski value badhti ya kaam hoti hai isliye isme invest apne risk par kiya jata hai.

2. Bitcoin wallet hack ho jane par apko kabhi apke BTC vapis nahi mil pate hai .

How to Buy Bitcoin

Aise mai apke man mai yahi swal ata hoga ki BTC ko kharid kaha se sakte hai. Chaliye apko btate hai zebpay ki website se ise kharida ja sakta hai. Vaise to or bhi websites hai jaha se BTC ko buy kiya jata hai. Lekin zebpay ek trusted company hai jaha se BTC ko buy kiya ja sakta hai.

Yeh bahut hi secure hai or apko kam price par BTC yaha mil jate hai or Price badhne par aap unhe sale bhi kar sakte hai. Aap yaha BTC ki help se online payment , amazon, flipkart ke gift voucher bhi le sakte hai. Apko bahut tarah se features zebpay mai mil jate hai.

The Conclusion

Main umeed karta hu ki apko What is Bitcoin in hindi and What is Bitcoin Mining in hindi ke bare mai pata chal gaya hoga. Aisa nahi hai ki yeh BTC ki hai cryptocurrency mai lekin sabse jada value aaj ke time mai BTC ki hai. Inke alava bhi hai jaise Ethereum , Dogecoin , Litecoin. Aise bahut tarah ke hai in sabhi ki value alag alag hoti hai. Aap chahe to kisi mai bhi invest kar sakte hai or earning kar sakte hai.

Lekin jaise ki apko btaya gaya hai. BTC par kisi ke writes nahi hai. Aise hi in par bhi kisi company ya organization ke kisi tarah ke writes nahi hai. Isliye inme apne risk par hi invest kiya jata hai. Agar apka kisi bhi tarah ka koi question hai tab aap humse puch sakte hai. Agar apko yeh lekh acha lage tab ise share jarur kareen.

Thankyou

Be the first to comment

Leave a Reply

Your email address will not be published.


*