What is CRYPTOGRAPHY and Types or Encryption?

Ajj hum is Article mai What is CRYPTOGRAPHY, Types of encryption ke bare mai janege. Agar aap Ethical Hacking mai Intreset rakhte hai. Tab apne iska naam jarur suna hoga.

Whatsapp mai bhi Encryption ka feature diya gaya hai. Lekin apko shayd yeh nahi pata hoga ki CRYPTOGRAPHY hoti kya hai. Or yeh kaam kaise karti hai

Cryptography

CRYPTOGRAPHY vaise to itna bada Topic hota hai ki is par PHD ki ja sakti hai. Kyoki isme Encryption kayi tarah ke hote hai CRYPTOGRAPHY ka use karke kisi Plane Text ko encrypt kiya ja sakta hai.

Encrypt kiye hue text ko Cipher Text kaha jata hai. Yeh do Greek words se milkar banaya gaya hai. Kriptos and Graphien iska use karke kisi Plane text ko aise format mai badal diya jata hai. Use normally nahi padha ja sakta hai.

Kisi bhi tarah ka Data jab Internet par Flow hota hai. Tab veh Encryption format mai hi Flow hota hai. Agar Hacker sniffing ke through apka data capture bhi kar leta hai.

Veh use smjh nahi payga ya phir use CRYPTOGRAPHY ki help se Encryption ko Decrypt karna hoga. Jo ki bahut hi mushkil hota hai. Website mai Username or Passwords MD5 Encryption Form mai Save hote hai.

Thik isi tarah har jagah par alag alag tarah ke Encryption ka use kiya hota hai. Jaise Salt ,SHA-1 ,SHA-2 , MD5 is tarah ke bahut sare Encryptions hote hai. Jinhe ek bar mai btana possible hi nahi hai.

Use of Cryptography

Cryptography ka use har jagah kiya jata hai. Kisi aisi Information ko send karne ke liye iska use kiya jata hai. Jo bahut Private hoti hai.

Agar veh Information kisi ko mil bhi jati hai. Tab bhi veh use tab tak nahi padh sakta hai. Jab tak use key nahi pata hogi ya use iski knowledge nahi hogi.

Kisi bhi tarah ke Encryption ko Crack karne ke liye Encryption kis tarah ki hai. Iske bare mai pata hona jaruri hota hai. Tabhi veh us Encryption ko Crack kar sakte hai.

Jaise maan lijiye apne Facebook par Login kiya. Apne apna password Password plane text mai likha hoga. Lekin facebook ke server mai apka password ENCRYPTION form mai save hota hai.

Jis vajah se agar kisi ko apka Login Password mil bhi jata hai. Veh tab bhi use samjh nahi pata hai. Is tarah agar session hijacking attack hota bhi hai tab jo bhi capture data hoga veh encrypt hota hai.

CRYPTOGRAPHY ke types ko bta pana possible nahi hai. Lekin hum apni taraf se apko jada use hone vale ENCRYPTION ke bare mai btane ki puri koshish karege.

ALSO READ

DENIAL OF SERVICE(DOS) ATTACK?

SYSTEM HACKING ?

What is COMPUTER VIRUS?

Social Engineering ?

Types Of CRYPTOGRAPHY

SYMMETRIC CRYPTOGRAPHY –

Isme ek hi Key ka use kiya jata hai. Jaise maan liiye apka kisi tarah ka data hai. Jise apne encrypt karke send kiya hai or us data ko decrypt karne ke liye ek hi key ka use kiya jata hai.

ASYMMETRIC CRYPTOGRAPHY –

Isme do alag alag keys ka use kiya jata hai. Is ENCRYPTION ke liye alag key ka use kiya jata hai. Jise Public key bhi kaha jata hai or decryption ke liye alag key ka use kiya jata hai. Jise Private key bhi kaha jata hai.

Whatsapp ka ENCRYPTION Feature isi tarah se kaam karta hai message ko encrypt karne ke liye Public Key ka use kiya jata hai or decrypt karne ke liye private key ka use kiya jata hai. Whatsapp par RSA Algorithm ka use kiya gaya hai.

Types of CRYPTOGRAPHY 

Types Of ENCRYPTION

Jaise ki apko btaya gaya hai ki ENCRYPTION bahut tarah ke hote hai. Sabhi tarah ke encryption ko yaad rakhna or bta pana bahut hi mushkil hota hai. Isliye apko jada se jada Encryptions ke bare mai btane ki koshish karege.

MD5

MD5 ka pura naam Message-Digest algorithm 5 hota hai MD5 ENCRYPTION ko decrypt kiya ja chuka hai MD5 ENCRYPTION ka use Website mai Passwords ko store karne ke liye kiya jata tha lekin aaj ke time mai MD5 ENCRYPTION ka use jada nahi kiya jata hai kyoki inhe decrypt kiya ja sakta hai apko google par bahut tarah ki MD5 ENCRYPTION ko decrypt karne ke liye website bhi dekhne ko mil jati hai lekin veh unhi texts ko Decrypt karti hai jo us website ke server mai store hoti hai.

SHA

SHA ka pura naam Secure Hash Algorithm hota hai. Is ENCRYPTION ka use aaj ke time mai kiya jata hai. SHA ENCRYPTION ki security MD5 se jada hoti hai.

Yaha SHA 1 or SHA 2,SHA-256,SHA-512 tarah ke bhi SHA ENCRYPTION ka use kiya jata hai. Agar apko PHP Language ke bare mai knowledge hai. Tab aap is Encryption ka use karna jante honge.

Kyoki PHP mai Password ke ENCRYPTION ko store karne ki ENCRYPTION form khud hi decide karni hoti hai. Age ane vali posts mai apko iske bare mai detail mai bta diya jayga.

CRYPTOGRAPHY

MD5 or SHA ENCRYPTION ka ik sath use karke passwords ko secure kiya ja sakta hai. Jaise plane text hai (freelearningtech) or MD5 ENCRYPTION hai (xdjkhdjkchbekdpoidknednccelc).

Agar SHA ka use kiya jata hai tab SHA MD5 ENCRYPTION ko SHA ENCRYPTION mai convert kar deta hai. Jis vajah se decrypt karna bahut mushkil ho jata hai.

Stream

Apne OTP ke bare mai to jarur suna hoga. OTP ko One time password bhi kaha jata hai. OTP stream ENCRYPTION ka use karta hai. Jise sirf ek hi bar use kiya ja sakta hai.

Ise crack karna bhi bahut mushkil hota hai. Stream ENCRYPTION Websites ke through bheje gaye OTP mai use kiya jane vala ENCRYPTION hota hai.

CRYPTOGRAPHY

Crypt

Crypt ek tarah ka aisa ENCRYPTION hai jo bahut hi strong hota hai. Kyoki crypt ENCRYPTION mai special symbols ka use bhi kiya jata hai. Jab ki MD5 or SHA mai Alphabets ka use hota hai.

Agar hum PHP ke through apni website ka password crypt form mai encrypt karte hai. Tab aise mai use crack karna bahut hi mushkil ho jata hai. PHP ki Classes mai inke bare mai apko bta diya jayga

SALT

SALT ek ENCRYPTION ka form hota hai. Yeh ENCRYPTION bahut hi strong mana jata hai. Kyoki salt ENCRYPTION ko alag alag tarah se use kiya ja sakta hai.

Jaise maan lijiye website ka password SHA ENCRYPTION mai hai. Tab aap salt text khud define kar sakte hai. Salt text ko SHA ENCRYPTION ke sath attach kar sakte hai. Or sath hi SALT ENCRYPTION ka agr time ke sath use kiya jata hai.

Jab apki website jitni bar bhi refresh hoti hai. Utni bar hi ENCRYPTION bhi change hota rehta hai. Aisa hone par agar hacker ko ENCRYPTION bhi mil jata hai.

Tab bhi veh website ke admin panel ko access nahi kar sakta hai. Kyoki apki website ke ENCRYPTION change ho jata hai. Isliye SALT ENCRYPTION ko SHA ke sath use karke website hacking hone se bachaya ja sakta hai.

Base64_Encode or Base64_decode ka use karke PHP par bani hui Website ke password ko crack kiya ja sakta hai. Lekin aisa karne ke liye apko yeh pata hona chahiye ki Website ke password kis tarah ke ENCRYPTION mai store hai. Tabhi aap aisa kar sakte hai yeh sab apko age bta diya jayga.

DES

Iska pura naam DATA ENCRYPTION STANDARD hota hai. DES kisi Plane text ko cipher text mai Convert karne ke liye 64 bits ka use karta hai. Or Decrypt karne ke liye bhi 64 Bits ka use kiya jata hai.

Or 56 bit ki key bich mai ENCRYPTION or Decryption ke liye use ki jati hai. DES ENCRYPTION mai jitne Alphabets ka plane text hota hai utne hi Alphabets ka cipher text hota hai.

Inke alava bhi bahut tarah ke ENCRYPTION hote hai. Jinke bare mai ek hi bar mai bata pana possible nahi hai. Ek Article agar ENCRYPTION ke types ke bare mai likha jaye.

Tab bahut bada ho jayga in sabhi ke bare mai apko examples ke liye btaya gaya hai. Jaise ki humne btaya ki yeh itna bada topic hai. Is par PHD ki ja sakti hai tab ise ek Article mai bata pana bahut hi mushkil hota hai. Iske alava Encryption kuch is type ke hai jaise RC4 ,RC5 ,DSA , Playfair Cipher, Hill ,AES , IDEA.

The Conclusion

Main umeed karta hu ki apko CRYPTOGRAPHY ke bare mai pata chal gaya hoga. CRYPTOGRAPHY ek bahut hi bada topic hai isme bahut tarah ke Encryption ka use kiya jata hai. Agar apko CRYPTOGRAPHY  ke bare mai achi knowledge hogi. Tab aap kisi bhi tarah ke ENCRYPTION ko crack kar sakte hai.

Lekin CRYPTOGRAPHY ko padne ke liye apko bahut jada study karni hogi. CRYPTOGRAPHY ke kuch encryption ke bare mai apko yaha btane ki koshish ki gayi hai. Agar apka kisi tarah ka koi question hai. Tab aap humse comment Box mai puch sakte hai. Agar apko yeh article acha lagta hai tab aap ise share jarur karen.

Thankyou

Be the first to comment

Leave a Reply

Your email address will not be published.


*