What is Social Engineering and why we use ?

Agar aap Ethical hacking mai interest rakhte hai tab apne kabhi na kabhi What is social engineering ya Social Engineering ka naam jarur suna hoga.

Social Engineering

Chaliye iske bare mai detail mai jante hai. Yeh ek aisi technique hai. Jiska use karke ek hacker apne victim ke mind se khel kar use apne jaal mai fasata hai. Asaan language mai kahe to kisi ke mind ke sath khelna Social Engineering hota hai.

Yeh ek itna bada topic hai ki iski technique par ek book likhi ja sakti hai. Kyo ki yeh ek hacker par depend karta hai. Veh kaise kaise tariko se iska use karta hai. Hum apni tarf se apko jada se jada knowledge dene ki koshish karege.

Social Engineering

Example of Social Engineering

Chaliye ise Example ke through samjhte hai. Jaise maan lijiye ek hacker ka target koi aisi organization ya Company hai. Jo har tarah se secure hai jisko technical skills ka use karke hack karna bahut mushkil hota hai.

Aise mai ek hacker iska use karke apne target company ya Organization ke bare mai knowledge collect karta hai. Yeh ek hacker par depend karta hai ki veh isme kaha tak soch sakta hai.

Yeh sab apki thinking par depend karta hai. Jaise ki maine btaya ek aisi company ya Organization ko target kiya gaya ho. Jo bahut hi secure hai tab hacker us company ke aise employees ko target karta hai. Jinhe us company se nikala gaya hota hai.

Unke through information ko collect kiya jata hai. Ya phir ek unknown person ban kar company ke employees se baat karke unke through company ke bare mai knowleedge ko collect karne ki koshish karta hai.

Is tarah se ek hacker apne target Company ya Organization ke bare mai technical kisi tarah se information ko collect nahi karke humans ke through collect karta hai ise hi Social Engineering kaha jata hai.

Note- This Post only for educational Purpose .Don’t miss use your Knowledge.

Also Read

What is Session Hijacking ?

Whatsapp Hacking ?

What is Bluetooth Hacking?

Social Engineering attack Cycle

Chaliye jante hai ki ek hacker iska kaise use karta hai. Apne 16 December Movie jarur dekhi hogi. Jaha ek ladka ek ladki ke through kisi Organization ki key ko lene ke liye ladki ke sath pyar ka natak karta hai.

Yeh bhi Social Engineering hi hoti hai. Kyoki Social Engineering mai sabse pahle Information gather kiya jata hai

Social Engineering

Uske baad ek Company ya organization ke sath ek Trustable relationship ko banaya jata hai. Jise company ko trust ho jata hai. Uske baad hacker apne target ki jada se jada information ko collect karta hai.

Hacker apna kaam hone par Trustable relationship jo usne bnaya hota hai use tod deta hai. Uske baad jo bhi information usne collect ki hoti hai uska use karke is attack ko karta hai.

Types of Social Engineering attacks

Phishing attack

Agar aap hacking ki field mai hai tab apko Phishing ke bare mai jarur pata hoga. Phishing ek tarah ka hacking attack hota hai. Jo aaj ke time mai bahut hi common attack mana jata hai .

Phishing attack mai ek hacker apne victim ko kisi chij ka lalch dekar use fasane ki koshish karta hai. Jaise hum kisi machli ko fasane ke liye fish road par chara lgate hai taki machli humare jaal mai fass jaye. Aisa hi kuch isme kiya jata hai

Apko juth bolkar ya lalch dekar apko kisi tarah ke link par click karne ya Log in karne ke liye kaha jata hai. Jo dikhne mai ek real page ki tarah hi hota hai. Jaise apne facebook hacking ke bare mai agar research kabhi na kabhi jarur ki hogi

Apko sabse pehla or simple method Phishing attack hi mila hoga . Yeh karne ke liye hacker apne khud ke page or links ko bnata hai. Veh kisi readymade websites ke through diye gaye Links ka use nahi karta hai.

Agar apke pass kisi bhi tarah ka koi Link ata hai. Apko yeh jana ho ki veh phishing link hai ya real tab aap kuch websites ke through jaan sakte hai. Jaise Phishtank

Fake Mail

Agar apke pass Gmail account hai to apko aise bahut sare mails ate honge. Jinke bare mai mai apko kuch bhi nhi pata hota hai. Jab ki Google fake mail ko detect karke spam mails mai phle hi bhej deta hai.

Lekin phir bhi aise mails hote hai. Jinhe google detect nhi kar pata hai iske bare mai apko age btaya jayga . Agar apke pass koi mail ata hai or apko lagta hai ki veh fake hai.

Aise mai aap use Email tracing ke through jaan sakte hai ki veh mail jo apke pass aya hai kaha se aya hai. Fake mail ko deadly mail bhi kaha jata hai.

Pop-Up Window

Apne kabhi na kabhi jarur dekha hoga. Jab aap kisi Website ko open karte hai tab achanak se ek Pop Up ata hai ki kisi aisi chij ka jime apka interest ho tab aap use jarur open karte hai.

Aise Pop Up ka use bhi Hackers Social Engineering ke through apne victim ko fasane ke liye karte hai. Chaliye ise example ke through samjhte hai

Jaise maan lijiye apka Interest hai hacking mai aap koi hacking ki post padte hai or vaha achanak se ek Pop-UP ata hai.

Agar aap hacking sikhna chahte hai tab ise download kare or agar aap use download karte hai. Aise mai veh Virus hua tab apka Computer ya Mobile hack bhi kiya ja sakta hai. Isliye aap aisa kabhi mat karen.

How we safe from Social Engineering?

1.Apko kabhi bhi apni Personal information aise hi kisi website par fill nahi karni chahiye.

2.Agar apko kisi bhi tarah ki website ko open karna hai. Tab aap apne hath se hi website ka naam dal kar open kare agar. Aap apne hath se website ka naam daal kar open karte hai tab apke accounts bhi safe rehte hai.

3.Aap jab kisi bhi tarah ki Website ko open karte hai tab aap Website URL or HTTPS: jarur dekhe.

4.Aap apni Personal Information ko kisi Cyber cafe ke computers mai kabhi fill mat karen.

https://youtu.be/wauPwan_3pw

The Conclusion

Main umeed karta hu ki apko Social Engineering ke bare mai ache se pata chal gaya hoga. Aisa nahi hai ki Social Engineering sirf yahi tak hoti hai.

Jaise ki maine apko bataya hai ki yeh ek hacker par depend karta hai ki veh apne mind ka use karke kis tarah se Social Engineering ka use karta hai.

Social Engineering Techniques ka use aap kisi ko nuksan pahuchane ke liye kabhi mat kare. Aisa karne se aap musibat mai padh sakte hai . Agar ek acha Ethical Hacker bana hai.

Aap apni Skills or Knowledge ka use dusro ki help karne ke liye hi karen. Agar apka koi bhi question hai tab aap Comment box mai puch sakte hai. Humari taraf se apki puri help ki jayegi. Agar apko yeh post achi lage tab ise share jarur karen.

Thankyou

2 Comments

  1. Great blog! Do you have any recommendations for aspiring writers?
    I’m hoping to start my own blog soon but I’m a little lost on everything.
    Would you suggest starting with a free platform like WordPress or go for a paid option? There are so many choices
    out there that I’m totally overwhelmed .. Any suggestions?
    Cheers!

Leave a Reply

Your email address will not be published.


*