How to use Autopsy Software in Hindi ?

Is article mai hum apko Autopsy ke bare mai bata rahe hai. Hum apko yaha Autopsy software ka use kis tarah se kiya jata hai. Yeh sab bata rahe hai.

Autopsy ek forensic software hai. Is software ka use CHFI Mai kiya jata hai. Jis tarah se Maltego ka use Computer Hacking Forensic Investigator (CHFI) mai kiya jata hai.

CHFI ka course aap CEH ke baad kar sakte hai. Ethical hacking ke career mai CEH ek starting course hai. CEH ke bad bahut tarah ke courses hote hai unme se ek CHFI bhi hota hai.

Yaha hum apko Facebook hacking, Whatsapp hacking ya Website hacking ke bare mai nahi bata rahe hai. Hum apko ek Forensic software ke bare mai bata rahe hai.

Note – This article is only for educational purpose. Don’t miss use your knowledge and skills.

What is Autopsy ?

Autopsy ek Software hai yeh apko Windows ke liye bhi mil jata hai or Kali linux mai yeh apko pahle se hi install milta hai. Windows ke liye apko yeh software 800mb ka milta hai.

Autopsy Software ki help se aap Forensic investigation kar sakte hai. Jaise kayi bar users apni recent activity ko delete kar dete hai. Aise mai iski help se aisa kiya ja sakta hai.

Is software ki help se kisi disk image ki deleted files ko bhi find or recover kiya ja sakta hai. Yeh apko hum practically bata rahe hai.

Autopsy apko sabhi tarah ki information provide karta hai. Jaise cookies, Numbers, Emails, kis tarah ki files ko user ne use kiya hota hai. Yeh sab information ko delete hone par bhi nikala ja sakta hai.

Autopsy ek bahut hi acha software hai. Agar aap Ethical hacking mai apna career bnana chahte hai tab aap CEH ke baad ke courses ko bhi jarur sikhe.

How to use Autopsy ?

Autopsy ko use karna bahut hi easy hai. Aap is software ko vaise hi install kar sakte hai jaise dusre softwares ko install kiya jata hai.

Yeh software install hone ke baad kuch is tarah se open hota hai. Yaha apko new case bnana hota hai. Kuch is tarah.

Autopsy

Kuch is tarah se software open hota hai. Yaha apko ek dog ka logo milta hai. Iska kaam bhi kuch aisa hi hota hai.

Jis tarah se dogs police ki help karte hai criminals ko find karne ke liye aise hi Autopsy help karta hai.

Yaha create new case par click karne ke baad apko kuch information deni hoti hai. Jaise case name aap case ko kaha save karvana chahte hai.

Autopsy

Yaha aap chahe to Autopsy mai is tarah ki information de sakte hai. Aap chahe to skip bhi kar sakte hai.

Yaha iska use jab aap kisi company ke liye karte hai tab use kar sakte hai. Yeh sab information fill karne ke baad aap Autopsy ka use kar sakte hai.

Hum apko yaha Pendrive ki information or Browsing history, Cookies ki information nikal kar bata rahe hai.

How to Collect Information ?

Sabse pahle apko Autopsy software ko yeh batana hoga ki aap kis tarah ki information ko collect karna chahte hai. Jaise hum yaha pen drive ki information collect kar rahe hai.

Yaha humne Local disk ko select kiya hai or USB drive ko select kiya hai. Yaha apko next karan hota hai. Apko modules set karne hote hai. Aap kis kis type ki information collect karna chahte hai.

Yaha aap apni requirements ke hisab se options select kar sakte hai. Yaha sabhi options ko agar bataya jaye to article bada ho jayga. Aap yeh try karke dekh sakte hai.

Autopsy

Aap dekh sakte hai is tarah se Autopsy apko information nikal kar deta hai. Yaha aap ajab iska use karte hai aap khud hi dekh payege apko kis kis tarah ki information mil rahi hai.

Autopsy

Aise hi Autopsy images ki bhi information apko collect karke deta hai. Yaha humne processing ko complete nahi kiya hai. Yeh apko samjhane ke liye btaya ja raha hai.

Aap generate report par click karke apni collect ki gyi information ko alag alag format mai save bhi kar sakte hai. Kuch is tarah.

How to collect Browsing history ?

Aise hi aap Browsing history ko bhi collect kar sakte hai. Apko bas jaha humne local disk ko select kiya tha vaha apko Logical files ko select karna hota hai. Kuch is tarah.

Autopsy

Kuch is tarah se logical files ko select karne ke baad aapko vaise hi steps karne hote hai jaise apko btaya gaya hai. Yeh sab karte hi Autopsy apko information provide karne lag jata hai.

Autopsy

Aap dekh sakte hai Autopsy is tarah se delete ki gyi sabhi recent activities, Browsing history, Cookies, Images sab kuch apko nikal kar deta hai. Sabhi ko dikha pana possible nahi hai.

Autopsy

Yaha aap dekh sakte hai Logical files ko select karne ke baad Autopsy ne yeh sab information show ki hai, Cookies, Bookmarks, Documents,User accounts or bhi bahut kuch.

Aap khud ab soch sakte hai Autopsy ka use agar apko karna ata hai. Aap victim ki information ko bhi collect kar sakte hai. Footprinting mai apko btaya gaya hai Information gathering kitni important hoti hai.

The Conclusion

Main umeed karta hu ki apko Autopsy ke bare mai pata chal gaya hoga. Aap khud andaja laga sakte hai. Yeh software kitne useful ho sakte hai.

Hum apko aise bahut sare softwares ke bare mai information age ane vale articles mai dene vale hai. Autopsy ki tarah aise bahut sare softwares hai jo bahut useful hote hai.

Aap in software ka use kisi bhi tarah ki illegal activity karne ke liye kabhi mat karen. Yeh sabhi Forensic investigation ke liye bnaye gaye hai. Aap inka miss use kabhi mat karen.

Agar apko humare yeh articles pasand a rahe hai aap inhe share jarur karen. Humare articles sabse pahle padne ke liye blog ko subscribe jarur karen.

Agar apka kisi bhi tarah ka Autopsy se related koi question hai aap comment mai puch sakte hai. Humari taraf se apki puri help ki jayegi. Yeh software apko Google par easily mil jata hai.

Thankyou.

Be the first to comment

Leave a Reply

Your email address will not be published.


*