How to use Access Data FTK Imager ?

Is article mai hum apko FTK Imager ke bare mai bata rahe hai. FTK Imager kya hai or kisliye iska use kiya jata hai. Yeh sab apko practically btaya ja raha hai.

FTK Imager ek computer forensic software hai . Jis tarah se apko Autopsy or Maltego ke bare mai btaya gaya hai. Aise hi FTK Imager software ka use kiya jata hai.

FTK Imager software ka use CHFI mai hi kiya jata hai. Yeh software ka use aapko jarur sikhna chahiye. Yeh ek recovery software hai jo kafi useful ho sakta hai.

Note – This article is only for educational Purpose. Don’t miss use your knowledge and skills.

What is Access Data FTK Imager ?

Yeh kisi drive ke delete kiye hue data ko deeply fetch karta hai. FTK Imager software apko aise nahi mil pata hai.

FTK Imager ko download karne ke liye apko iski official site par use karne ka purpose btana hota hai. Iske baad apko email ke through download ka link milta hai.

Yeh software ki help se hum delete kiye gaye data ko restore kar sakte hai. Yaha hum apko ek pen drive ke delete kiye gaye data ki information nikal kar bata rahe hai.

Hum apko jarur yeh software ko use karne ke liye kahege. Yeh software aap ke liye bahut hi useful ho sakta hai. Aise to bahut sare softwares hai jo data recovery ke liye use kiye jate hai.

Lekin yeh software deeply recovery karta hai. Is software ka use Forensic investigation mai kiya jata hai. Isliye iske bare mai apko btaya ja raha hai.

Also Read

How to hack Facebook using Cookies Hijacking ?

Tab napping attack for Facebook hack ?

How to Hack Facebook using Batch File ?

How to use FTK Imager ?

Yeh software ko download karne ke baad aapko ise vaise hi install karna hoga jaise hum dusre softwares ko install karte hai. FTK Imager software kuch is tarah se open hota hai.

FTK Imager ko open karne ke baad apko drive select karni hoti hai. Yaha humne apni pen drive ko blank kiya hua hai. Kuch is tarah se aap iska use kar sakte hai.

Sabse pahle apko yaha is option ko select karna hota hai. Apke samne kuch is tarah se open hota hai. Yaha apko drive btani hoti hai.

Yaha apko physical drive ko select karna hota hai. Apko next par click karna hota hai iske baad apko pen drive select karni hoti hai. Pen drive ko select karne ke baad apko image add karni hoti hai.

Yaha apko add par click karna hota hai. Add par click karne ke baad apko format btana hota hai aap image ko kis format mai save karna chahte hai. Kuch is tarah FTK Imager mai work kiya jata hai.

FTK Imager

Yaha apko image type dena hota hai. Humne yaha E01 type ko slecet kiya hai. Iske baad apko case number ki information fill karni hoti hai. Kuch is tarah.

FTK Imager

FTK Imager mai case ki information ko kuch is tarah fill kiya jata hai. Yeh sab karne ke baad apko path dena hota hai jaha aap image ko save karvana chahte hai.

FTK Imager

Yaha apko yeh information fill karni hoti hai. Humne yaha Desktop par files ko save karvaya hai. Yeh files apki USB Drive ke size ke hisab se banti hai.

Kuch is tarah se image create hone lag jati hai. Yaha apko thoda time wait karna hota hai. Kuch is tarah se apko information mil jati hai.

How to import image file ?

Yaha apko images mil gyi hai yaha apko Text file ko open karne par pen drive ki information mil jati hai. Is tarah se FTK Imager information deta hai.

FTK Imager

Aap dekh sakte hai is tarah se information FTK Imager deta hai. Jaise hume 8 files mili thi yaha. Apko ek file ko hi import karna hota hai. Baki dusri files apne aap import ho jati hai.

Yaha hume E01 file ko hi import karna hota hai. File ko import kuch is tarah se kiya jata hai.

FTK Imager

Yaha image file ko select karke aap import kar sakte hai. Yeh sab karne ke baad apko file ka path dena hota hai. Kuch is tarah.

FTK Imager

Kuch is tarah se file ko select karke jab aap finish par click karte hai. Apko deleted files ki information mil jati hai.

Yaha ise pahle humari pen drive mai windows ki files thi to hume yaha windows ki files mili hai. Yeh kuch is tarah se Import hoti hai.

FTK Imager

Aap dekh sakte hai is tarah se deleted files mil jati hai. Yaha hex values bhi show ho jati hai. Jaise hum jante hai computers 0 or 1 ke format mai samjhte hai.

Apko yaha veh values bhi show hoti hai. Yaha se aap in files ko right click karke export bhi kar sakte hai. Aisa hi ek or software hai veh bhi aap use kar sakte hai.

Lekin FTK Imager use jada better hai. Aap apni knowledge ke liye use use bhi kar sakte hai. Veh software k name encase imager hai. Aap iska bhi use karke dekh sakte hai.

Download link

The Conclusion

Main umeed karta hu ki apko FTK Imager ke bare mai pata chal gaya hoga. Hum umeed karte hai yeh software apko pasand ayga.

Aise bahut sare hardware or software hai jinka use Forensic investigation mai kiya jata hai. Jinke bare mai apko age bata diya jayga.

Hum apko ane vale articles mai or bhi bahut kuch information dene ki koshish karege. Aap humare in articles ko unke sath share jarur karen. Jo yeh sab sikhna chahte hai.

Agar apko kisi bhi tarah ki koi problem hoti hai. Software download ke liye ya use ke liye aap humse comment mai puch sakte hai.

Yeh sabhi software ke bare mai apko isliye bataya ja raha hai. Kyoki forensic investigation mai har bar ek hi chij work nahi karti hai.

Isliye apko kisi ek task ko perform karne ke liye bahut methods ka pata hona chahiye. Aisa kayi bar hota hai .

Jaise hacker facebook ya whatsapp hacking mai ek method ke work nahi karne par kisi dusre method ka use karte hai. Aise hi CHFI mai bhi hota hai.

Main umeed karta hu ki apko yeh article acha lagega . App humare articles padne ke liye blog ko subscribe jarur karen.

Thankyou

Be the first to comment

Leave a Reply

Your email address will not be published.


*