What is Maltego and How to use Maltego ?

Apne kabhi na kabhi Maltego ka naam jarur suna hoga. Hum apko aaj isi tool ke bare mai practically bata rahe hai. Jaise What is Maltego and How to use Maltego.

Hum apko is article mai Maltego ke bare mai detail mai bata rahe hai. Yeh tool ko jab aap first time use karte hai tab shayad apko iska use smajh mai nahi ayga.

Lekin hum apni taraf se apko easy language mai Maltego ke bare mai batane ki puri koshish karenge. Yeh tool ka use aap illegal purpose ke liye mat karen.

Note – This article is only for educational Purpose. Don’t miss use your Knowledge and skills.

Also Read

How to hack Facebook using Cookies Hijacking ?

What is Paste Jacking and How to do it ?

( Trojan Horse Virus) How to Create Virus ?

What is Maltego ?

Maltego ek aisa tool hai jo Forensic mai use hota hai. Yeh tool bahut hi acha mana jata hai information gathering ke liye. Apko isme bahut tarah ke features mil jate hai.

Jaise kisi website ke bare mai information collect karna, Email ke bare mai information gathering karna, Kisi person ke bare mai , Kisi number ke bare mai or bhi bahut kuch.

Kisi bhi attack ko perform karne se pahle information gathering kitni important hoti hai yeh apko Footprinting mai bataya gaya hai.

Maltego ka use karne se pahle aap ek bar Footprinting ke article ko jarur padh le. Maltego information gathering ke liye bahut hi acha tool hota hai.

Aap jab iska use karenge aapko khud hi pata chal jayga yeh kitna acha tool hai. Lekin aap maltego ka use illegal purpose ke liye kabhi mat karen.

Yeh tool hacker ke target ki jitni bhi information internet par hoti hai veh sab apko ek graph ke form mai show karta hai. Aap iska use jarur karen.

Maltego ke sabhi features ke bare mai ek bar mai bata pana possible nahi hai. Hum apni taraf se puri koshish karenge apko jada se jada Maltego ke bare mai bata paye.

How to use Maltego ?

Chaliye ab jante hai Maltego ko use kis tarah se kiya jata hai. Hum apko yaha Maltego ke kuch features ke bare mai bata rahe hai.

Sabse pahle apko google se maltego ka setup download karna hoga. Yeh vaise hi install hota hai jis tarah se hum baki softwares ko install karte hai.

Maltego ke install hone ke baad jab aap use open karte hai. Apko kuch information fill karni hoti hai.

Maltego

Kuch is tarah se Maltego apke samne open hota hai. Apko yaha login karna hota hai. Yaha login karne ke liye pahle apko account bnana padta hai.

Yeh bahut hi simple hai aap maltego par account bana len. Uske baad yaha software mai login karlen. Yeh sab karne ke baad aap ise use kar sakte hai.

Account create karne ke baad yeh tool apke samne kuch is tarah se open hota hai. Yaha aapko sabhi features mil jate hai.

Kuch is tarah se software open hone ke baad apko yaha ek blank graph lena hota hai. Graph ka bnana jaruri hai. Aap dekh sakte hai left corner par ek icon hota hai. Graph ka aapko use click karna hota hai.

Maltego

Graph kuch is tarah se open hota hai. Apko left side par sabhi options mil jate hai. Aap kaisi information yaha collect kar sakte hai yeh sab apko left side par mil jata hai.

Yaha apko kuch settings ke bare mai btaya ja raha hai. Yaha aap normal or stealth mode ka bhi use kar sakte hai. Normal mode mai information collect normally hoti hai.

Stealth mode mai jab aap information collect karte hai tab Internet par pata nhi hota hai kiski information collect ki ja rahi hai. Yeh option apko sabse upr dekhne ko mil jata hai. Kuch is tarah

How to Collect Information ?

Maltego ki help se aap alag alag tarah ki information collect kar sakte hai. Jaise apko kisi website ke bare mai information gathering karni hai. Aap kuch is tarah se kar sakte hai.

Jaise humne yaha left mai Website ko drag karke graph mai rakha hai. Aapko bhi isi tarah se bas select karke graph par lana hota hai.

Yeh sab karne ke baad apko btana hota hai aap kis website ki information collect karna chahte hai yeh batana hota hai. Yaha icon par double click karke aap bata sakte hai.

Maltego

Yaha aap bata sakte hai is tarah se Maltego software mai information fill karne ke baad yeh tool apko Google.com ki jitni bhi information Internet par hogi sab apko show kar dega.

Apko bas icon ko select karke right click karna hota hai. Apke samne option a jate hai like all transforms. Yeh transforms kis tarah ke hai yeh apko upar menu mai Transforms ke option mai mil jata hai.

Aap dekh sakte hai kuch is tarah se yeh targeted website ki information collect karke apko show kar deta hai. Aap chahe to jo information apko mili hai uske age bhi click karke or information gain kar sakte hai. Kuch is tarah.

Maltego

How to get information of IP Address ?

Aap IP Address ki bhi information ko collect kar sakte hai. Jis tarah se website ko drag and drop karke Graph mai laya gya tha aise hi IP Address ko aap la sakte hai.

Aap dekh sakte hai is tarah se maltego ki help se IP Address ki bhi information ko collect kiya ja sakta hai.

Is tarah se aap sabhi features ka use kar sakte hai. Maltego apko bahut sare features deta hai. Sabhi ke bare mai apko bata pana possible nahi hai.

Aap yaha hash signature ki bhi information le sakte hai. Jaise apko antivirus ke article mai bataya gaya hai kis tarah se sabhi virus ke signature hote hai.

Aap yaha kisi image ki information ko bhi collect kar sakte hai. Yeh tool apko image ki bhi information provide karke deta hai. Agar veh image internet par hoti hai.

How to get information of Documents ?

Aap maltego ki help se kisi aise document ki information bhi collect kar sakte hai jo internet par hote hai. Jaise humne yeh apko internet se hi kisi document ki information collect karke bataya hai.

Aap dekh sakte hai is tarah se kisi document ki information apko Maltego tool provide karta hai. Aise bahut sare features hai jinka use aap kar sakte hai.

Agar sabhi ke bare mai apko bataya gaya tab yeh article bahut badha ban jayga. Hum apko jada se jad information dene ki koshish kar rahe hai.

Aise hi aap kisi url ki information ko bhi collect kar sakte hai. Yeh bhi apko karke dikhaya ja raha hai. Aap kisi bhi information ko jab collect karte hai or collect hokar jab koi information apko maltego deta hai.

Aise mai aap uski age bhi information collect kar sakte hai. Yeh kuch is tarah se humne yaha graph ko fit to screen kiya hai yeh option apko maltego ke right side corner par mil jata hai.

Maltego

Yaha humne pahle ek url ki information ko collect kiya uska bad jo information maltego ne collect ki usme se IP address ki information ko collect kiya uske baad DNS Server ki information ko collect kiya.

Aap jab iska use karte hai aapko khud hi smajh mai ane lag jayga Maltego software information gathering ke liye kitna acha mana jata hai. Information gathering ki importance bahut jada hoti hai.

Is tarah se maltego ka use information gathering ke liye kiya jata hai. Yeh apko kuch features ka bataya gaya hai. maltego ke or bhi features hai aap unhe bhi jarur khud se try kar sakte hai.

The Conclusion

Main umeed karta hu ki apko Maltego software ke bare mai detail mai pata chal gaya hoga. Humne apni taraf se puri koshish ki hai apko jada se jada information dene ki.

Aap is software ka use kisi bhi tarah ke illegal hacking ko karne ke liye kabhi mat karen. Yeh software ka use Forensics mai information gathering ke liye jada kiya jata hai.

Aise or bhi bahut sare softwares hai jo apko jane bahut jaruri hote hai. Agar aap aisi or articles chahte hai aap comment mai hume bata sakte hai.

Apka kisi bhi tarah ka koi question hai ya Maltego ko use karne mai kisi bhi tarah ki problem hoti hai aap humse puch sakte hai. Humare articles ko share karna mat bhulne.

Thankyou.

Be the first to comment

Leave a Reply

Your email address will not be published.


*