How to Hack Website Admin Panel ?

Agar aap bhi Admin panel ya Website Admin panel ko hack karne ke bare mai jana chahte hai tab aap bilkul sahi jagah aye hain. Is article mai hum apko Website ke Admin panel ko crack karne ka method btaya jayga.

Yeh post sirf educational purpose ke liye hai aap iska miss use kabhi mat karen. Yeh attack mai hum jin bhi tools ka use karne vale hai veh sabhi apko mil jayege.

What is Admin Panel ?

Kisi bhi website ke Admin panel ko hack karne se pahle sabse pahle apko yeh pata hona jaruri hota hai Admin panel hota kya hai or kaise kaam karta hai.

Admin panel sabhi websites mai hota hai. Jaha website owner username or password fill karke website mai login hota hai. Veh Admin panel kehlata hai. Hackers se safe rakhne ke liye kabhi bbi common admin url ko nahi rakhna chahiye.

Jaise login.php Admin.php is tarah se Admin panel ko easily find kiya ja sakta hai. Kyoki is tarah ke Admin panel easily kisi bhi tool ke through ya manually find ki ja sakti hai.

Note – This post only for educational purpose. Don’t missuse your knowledge and skills.

Jaise user apni kisi bhi website ke Admin panel mai username or password ko fill karta hai. Veh fill to plane text mai karta hai lekin username or password jab database mai save hote hai veh encrypt ho jate hai. Encryption ke bare mai apko Cryptography ke article mai btaya gaya hai.

Also read

How to Hack Facebook using Batch File ?

Tab napping attack for Facebook hack ?

How to Hack Facebook using Phishing Attack ?

How to Find Admin Panel ?

Kisi bhi Admin panel ko find karne ke bahut se methods hote hai. Aap aisa manually bhi kar sakte hai or tools ka use karke bhi kar sakte hai. Manually apko age bata diya jayga is practical mai apko tools ke through btaya ja raha hai.

Admin panel ko find karne ke apko bahut methods ke bare mai pata hona chahiye. Kyoki yeh jaruri nahi hota hai ki har bar apke targeted website ke Admin panel ek hi method se apko mil jaye.

Hum apko yaha do tools ka use karke Admin panel find karna bata rahe hai. Tools ka use karne vale person script kiddies hote hai aisa nahi hai. Kyoki agar aap bina kisi tool ki working ko samjhe agar tools ka use karte hai tab aap script kiddies kehlate hai.

Jaise maan lijiye apko hum jin bhi tools ke bare mai bata rahe hai yaha hum apko uski working ke bare mai bhi bata denge lekin aap jitna ho sakta hai kisi bhi tool ki coding ke through hi samjhne ki koshish kare.

Practical

Hum apko sbse pahle apko breacher tool ke bare mai btaya ja raha hai. Yeh tool apko kali linux mai inbuilt nahi milta hai. Aap github se ise download kar sakte hai.

Sabse pahle apko yeh command run karni hogi. git clone (toollink) apko jaha tool ko clone karna hai vaha kar sakte hai jaise Desktop par karna chahte hai tab cd Desktop command run karne ke baad git clone (toollink).

Yeh tool kaam kaise karta hai agr apko yeh nahi pata hoga tab aap sirf tools par hi depend reh jayege. Yeh tool jab aap download kar lete hai apko paths.txt ki file milti hai. Jaha par aap dekhege apko list show hogi admin panel ke urls ki .

command

python breacher.py -u (targetwebsiteurl)

Isi file ki url list par apke target website ke admin panel ko find karne ke liye Bruteforce attack kiya jata hai. Yeh tool ki aap coding ko dekh sakte hai or use samjhne ki koshish jarur karen.

Python mai bnaya gaya yeh tool apko tabhi smajh ayaga jab aap python ko padte hai. Is tool ko ya kisi bhi tool ki working ko samjhne ke liye apko Programming language ki knowledge honi chahiye.

Yeh sab hide kuch security reasons ki vajah se kiya gaya hai.

Yeh kaam uniscan ki help se bhi kar sakte hai. Wpscan ki help se bhi kar sakte hai. wpscan apko inbuilt mil jata hai. Lekin uniscan apko install karna hota hai. Uniscan ko install vaise hi kiya jayga jaise breacher ko karna btaya gya hai.

Tool ko install karne ke baad apko simple ek command run karni hoti hai. Aap kisi bhi tool ki help ko bhi check karke dekh sakte hai kaise work karna hota hai.

How to create Word list ?

Word list ko aap download bhi kar sakte hai. Lekin hum apko apni word list bnana bata rahe hai. Jisme chances jada hote hai.

Kyoki aap jo password ki word list create karte hai. Veh apki targeted website ke through password ki list bnana bata rahe hai.

Aisa isliye kiya jata hai kyoki agar aap kahi se download kare word list ka use karte hai tab chances kam rehte hai password crack hone ke.

Lekin agar hacker password ki word list ko targeted website ke through hi create karta hai. Aise mai admin panel crack hone ke chances jada hote hai.

Yeh jo tools ka use kiya gaya hai. Yeh hacker ki targted website mai se hi words ko select karke password ki word list ko crack karte hai.

Kyoki aisa bahut bar hota hai ki users aise password ko rakhte hai jin words ka use unki websites mai hi kiya hota hai.

Hum apko yaha do tools ki help se aisa karna bata rahe hai. Ek apko inbuilt mil jata hai dusra apko install karna hota hai.

Cewl ek aisa tool hai jiski help se targeted website ke words ka use karke hi password ki list create hoti hai.

Cupp tool mai hacker ko information gathering karni hoti hai. Jaise jiski website hai uska name, date of birth, child name apke samne option ate jayege apko bas fill karna hota hai.

Admin panel

Aap dekh sakte hai is tool ki help se kayi method se password ki list ko create kiya ja sakta hai. Yeh sab karne ke baad apko simple command run karni hoti hai.

Admin panel

Aap dekh sakte hai aap jab is tool ka use karte hai apko bahut sare options milte hai. Apki fill ki gyi information se hi password ki list create hoti hai.

Admin panel

How to crack Admin Panel Password ?

Admin panel ko crack karne ke liye vaise to bahut sare tools ka use kiya jata hai. Jaise Websploit, Hydra, Medusa, Burpsuite. Hum apko yaha cheetah tool ke bare mai bata rahe hai.

Burpsuite ek bahut hi acha tool hota hai. Yeh apko age bata diya jayga. Yeh tool par apko bahut posts mil jayegi. Kyoki yeh tool ke sabhi features ko ek article mai bata pana possible nahi hai.

Sabse pahle apko Cheetah tool ko download karna hoga. Yeh tool apko github par bhi easily mil jata hai sath hi apko yaha bhi download link mil jayga. Apki kuch commands ke through ise install karna hota hai.

Admin panel

Tool ko install karne ke baad tool ko run karna hoga. Run karne ke liye command deni hogi. Python cheetah.py

Yeh Command run karne ke baaad aapko Command deni hoti hai. Python Cheetah.py -u (targeted website)

Admin panel

Yeh karne se pahle aap cheetah tool mai jo by default password ki list hai use jarur change karde. Kyoki cheetah tool mai by default bhi ek password ki list hai.

Isliye aap chahe apni password list ko vaha rakhe ya passwords ko copy karke by default file mai passwords ko add karde. Yeh kaam apko Cheetah tool mai hi karna hoga.

Admin panel

Yaha apko passwords ko add karna hota hai. Admin panel ko hack karne ke liye agar aap apni create ki gyi password ki list ka use karte hai tab chances jada rehte hai.

Yeh apko admin panel cracking ka ek method btaya gaya hai. Age ane vali posts mai apko sabhi methods ke bare mai btaya jayga. Aisa nahi hai ki hacker ko hmesha isi method se success mil jati hai. Lekin yeh bhii pata hona chahiye.

The Conclusion

Main umeed karta hu ki apko Admin panel ko crack karne ke bare mai pata chal gaya hoga. Yeh kaam bahut sare tools ki help se kiya ja sakta hai. Lekin sabhi ke bare mai bata pana possible nhi hai.

Agar apko kali linux mai inbuilt sabhi tools ka use sikhna hai tab aap comment mai bata sakte hai. Hum apko sabhi tools ka use kaise kiya jata hai sab kuch apko practically bata denge.

Apko admin panel hack karne ke or methods ko bhi jana chahiye veh apko age ane vali posts mai bata diya jayga. Agar apka kisi bhi tarah ka koi question hai aap comment mai puch sakte hai.

Agar apko humare articles pasand a rahe hai. Aap inhe share jarur karen. Aap hume support karne ke liye hume donate bhi kar sakte hai.

Thankyou

Be the first to comment

Leave a Reply

Your email address will not be published.


*