How to Send a Free Secure Mail ?

Secure Mail kasie send kiya jata hai iske bare mai bata rahe hai. Jaise How to Send a Free Secure Mail , How to send a Password protected mail, How to send a encrypted mail, How to send a self destruct mail.

Yeh sab apko yaha practically btaya ja raha hai. Sabse pahle apko yeh jana jaruri hai ki hume Secure Mail send karne ki jarurt kyu hoti hai. Jaise ki agar aap kisi ko mail karna chahte hai or mail mai kuch aisi information hai jo kisi ko nahi pata lagni chahiye.

Aise mai hum Secure Mail ko send karte hai. Yaha Secure mail bhi kafi tarah ke hote hai. Jaise password protected mail, Self destruct mail, Encrypted mail. Yaha aap jaise chahe vaise mail send karte hai.

Hume kabhi kabhi gmail ke through kisi person ko ais information send karni hoti hai jo kisi unknown person ko pata nahi lagni chahiye. Jaise atm pin, Bank account information, Employee information or bhi bahut kuch.

Aise mai hum Secure mail send karke Hackers se apni important information ko safe rakh sakte hai. Hum apko sabhi tarah ke mails send karna bata rahe hai. Yeh sab aap ke liye bahut useful hoga.

Three Ways to send Secure Mail ?

Yaha is article mai hum apko aise three methods bata rahe hai. Jinka use karke aap kisi ko secure mail send kar sakte hai. Yeh sabhi methods aapke bahut kaam ate hai.

How to send Password Protected Secure Mail ?

Sabse pahle apko password protected secure mail send karna btaya ja raha hai. Yaha aap yeh kaam gmail ke hi feature ka use karke kar sakte hai. Apko yaha kisi tarah ki third party sites ka use nahi karna hota hai.

Yaha lock icon par click karne ke baad aap sms code ke through ek Secure mail ko send kar sakte hai. Apko yaha settings karni hoti hai. Jaise expire kitne time mai hona chahiye user ke number par sms send hona chahiye.

Yaha aap dekh sakte hai aap yaha apne hisab se setting kar sakte hai. Apke through send kiya gaya mail kitne time baad expire hona chahiye or OTP Code number par bhi send karva sakte hai.

Yeh sab setting karne ke baad aap secure mail ko send kar sakte hai. Yaha aap dekh sakte hai sabhi settings apko show ho jati hai. Yeh sab karne ke baad jab aap send ke button par click karte hai apse number manga jata hai.

Yaha apko number dena hota hai. Number apko usi person ka dena hota hai jiske pass apko Secure mail send karna hota hai. Yeh sab karne ke baad destination Gmail par apka mail send ho jata hai.

Destinations ke pass kuch is tarah se mail send hota hai. Yaha aap dekh sakte hai kisi tarah ka data nahi show ho raha hai. Send passcode par click karne ke baad ek otp number par ata hai uske baad hi mail ko open kiya ja sakta hai.

Yeh sab maine apne hi Gmail accounts or apne hi number par kiya hai. Yaha aap ek baat ka dhyan jarur rakhe jise mail send karna hai uska number de ya apna number bhi de sakte hai. Kuch is tarah se yeh mail open ho jata hai.

How to send Encrypted Secure Mail ?

Jaise apko Password Protected Mail send karna btaya hai. Aise hi aap Encrypted mail bhi send kar sakte hai. Yaha hum flowcrypt ka use karke apko bata rahe hai. Yeh Chrome ki extension hai jise apko sabse pahle install karna hota hai.

Secure Mail

Yaha apko sabse pahle Gmail ko flowcrypt ka access dena hota hai. Access dene ke baad aap apna password set kar sakte hai. Yaha aap enryption ka type bhi set kar sakte hai. Yeh Third party sites hai isliye in par trust nahi kiya ja sakta hai.

Secure Mail

Yeh sab settings karne ke baad aapke Gmail account mai Flowcrypt ka icon show ho jata hai. Yaha se aap encrypted Secure mail ko send kar sakte hai. Kuch is tarah se apko icon mil jata hai. Password ko aap hmesha strong hi rakhe.

Yaha apko Compose ka icon show ho jayga. Yeh sab karne ke baad aap kisi ko bhi encrypted secure mail send kar sakte hai. Jaise hum normal mail send karte hai aise hi apko yaha bhi show ho jata hai.

Secure Mail

Yaha aap dekh sakte hai ek password set karne ka option show ho raha hai. Yeh apko dikhane ke liye weak password set kiya gaya hai. lekin yaha apko strong password ko hi set karna hai. Yeh sab karne ke baad aap mail send kar sakte hai.

Secure Mail

Kuch is tarah se destination par mail send ho jata hai. Yaha jab user link par click karta hai use password pucha jata hai. Yaha apko vahi password dena hota hai jise set kiya gaya hota hai. Kuch is tarah.

Secure Mail

Yeh sab karne ke baad mail Decrypt ho jata hai. Yaha se aap Encrypted reply bhi kar sakte hai. Yeh sab third party websites or browser extensions hai isliye in par blind trust nahi kiya ja sakta hai.

Secure Mail

How to send Self distructed Mail ?

Aise hi self distructed mail bhi aap send kar sakte hai. Self distructed mail send karne par mail read karne ke baad apne aap hi delete ho jata hai. Yaha hum Privnote ka use karke apko bata rahe hai. Snapmail ab apko nahi milti hai.

Secure Mail

Yaha aap jo bhi note ko self distructed bnana chahte hai yaha likh sakte hai. Kuch is tarah yaha likhne ke baad apko create note par click karna hota hai. Apko ek link create hokar mil jata hai. Kuch is tarah.

Yeh link apko jise bhi send karna hai aap kar sakte hai. Yaha aap chahe mail ke through send kare, Chahe facebook ke through chahe whatsapp par send karne ke baad yeh mail kuch is tarah se show ho jata hai.

Secure Mail

Kuch is tarah se mail send karne ke baad aap jab ise send karte hai destination address par jab user link ko pahli par click karke open karta hai. User ko apka send kiya gaya message show ho jata hai. kuch is tarah.

Secure Mail

Yaha aap dekh sakte hai ek message show ho raha hai jaha likha hua hai. This note was destroyed aise hi yeh bas ek baar hi show hota hai. Agar user dubara se link ko open karta hai tab message destroy ho jata hai. Kuch is tarah se secure mail send kiya jata hai.

Aap image mai dekh sakte hai. Yeh sab aap jab khud karke dekhte hai tabhi aap yeh sab samjh sakte hai. Aise hi aap ek or website ka use bhi kar sakte hai. https://1ty.me/ Yeh website ka bhi use aap self distructed secure mail send karne mai kar sakte hai.

The conclusion

Main umeed karta hu ki apko secure mail ke bare mai pata chal gaya hoga. Yaha humne apko self distructed mail, Password protected mail or encrypted mail ko send karna practically btaya hai.

Yeh sab apke liye bahut useful ho sakta hai. Hacking attacks se apni information ko safe rakhne ke liye aap yeh sab ka use kar sakte hai. Yaha apko sab kuch free mai btaya jata hai. Apko yaha 140+ hacking articles mil jayege.

Jaise Facebook Hacking, Bluetooth hacking, IOT Hacking apko yah CEH ke sabhi modules ke bare mai deeply knowledge mil jati hai. Aap humare veh articles ko bhi padh sakte hai. Main umeed karta hu ki aap yeh sab ka practical jarur karke dekhege.

Agar apka kisi bhi tarah ka koi question hai tab aap comment mai puch sakte hai. Meri taraf se apki puri help ki jayegi. Agar apko yeh article acha lage to ise share jarur karen. Humare blog ko subscribe jarur karen.

Sharing is Caring

Thankyou

Be the first to comment

Leave a Reply

Your email address will not be published.


*