How to Write Your Python Program ?

Is article mai hum apko Python Program likhne ke bare mai bata rahe hai. Jaise apko pahle python ko install karna btaya gaya hai. Aise mai aap apne Python Program ko aise CMD mai to nahi likh sakte hai.

Yaha aap chahe to Notepad ka bhi use kar sakte hai. Yaha hum apko python program likhne ke liye do platforms ke bare mai bata rahe hai. Aap jiska chahe uska use kar sakte hai. Yeh article ko aap dhyan se padhna tabhi aap sab samjh payege.

Hum apko yaha dono ko install karna or kaise aap apne python program ko vaha likh sakte hai yeh sab yaha bata rahe hai. Apko yeh dono softwares ka use karna chahiye. Yaha apko jo bhi software apne python program likhne ke liye acha lagta hai aap uska use kar sakte hai.

Write Your Python Program

Yaha hum apko Python Programming language sikha rahe hai. Jaise ki sabhi programming language ke liye program bnane ke liye alag se platform hote hai. Aise hi yaha hum apko two softwares ke bare mai bata rahe hai.

How to write your python program in Visual Studio Code ?

Yaha sabse pahle apko Visual studio code ko download karke install karna hota hai. Jaise hum kisi bhi normal software ko install karte hai vaise hi aap ise bhi install kar sakte hai. Jaha apko changes karne hoge apko bata diya jayga.

Yaha se apko sabse pahle yeh software ko download karna hota hai. Apko sabhi ko by default hi karna hota hai. Lekin yaha apko yeh options ko select karna hota hai. Kuch is tarah.

Yaha next par click karne ke baad aap yeh software ko install kar sakte hai. Software install hone ke baad apko gitbash ko install karna hota hai. Kyoki apko kabhi kabhi terminal ka use karna hota hai. gitbash ke bina bhi aap python program ko run kar sakte hai.

Sabse pahle apko gitbash ko download karna hota hai. Download karne ke baad aap yeh software ko vaise hi install kar sakte hai jaise hum kisi normal software ko install karte hai. gitbash download

python Program

Gitbash ko download karne ke baad aap yeh software ko install kar sakte hai. Yaha apko ek option milta hai jaha apko Visual studio code ko as git default editor mai select karna hota hai. Kuch is tarah.

Apko yaha ek baat ka dhyan rakhna hota hai pahle apko visual studio code ko install karna hota hai. Agar aap aisa nahi karte hai tab apko yaha next ka option enable nahi milta hai. Yaha next par click karne ke baad apko kuch is tarah option ko select karna hota hai.

Yeh sab karne ke baad aapko age ke sabhi options ko by default hi rakhna hota hai. Software install hone ke baad aap apne python program ko likh sakte hai. Yaha apko gitbash ko visual studio code se link karna hota hai.

Sabse pahle apko visual studio code mai python ko install karna hota hai. Yaha apko extension ke option mai jakar python ko install karna hota hai. Kuch is tarah python install ho jayegi.

python Program

Yeh sab karne ke baad aap apne python program ko likh sakte hai. Apko yaha notepad mai blank file create karke use .py extension se save karni hoti hai. Jaise humne ki hai (freelearn.py). Yeh sab karne ke baad apko python file ko right click karke open with code mai open karni hoti hai.

Yaha aap dekh sakte hai. Humne simple sa program likha hai print(‘freelearningtech’) yaha print function ka use kisi bhi word ko print karvane ke liye kiya jata hai. Program ko run karne ke liye apko right mai option mil jata hai. Aap image mai dekh sakte hai.

Gitbash ko visual studio code se apko link karna hota hai. Yaha apko file ke option mai jakar preferences ke option mai settings ka option mil jata hai. Kuch is tarah. Yaha apko right mai settings json ko open karna hota hai.

Yaha apko kuch is tarah se show hota hai. Jaise humare yaha apko yeh sab show ho raha hai. Aisa ho sakta hai apko yaha kuch or show ho raha hai Apko yaha link de diya jayga apko comma ka use karke gitbash ko yaha link karna hota hai. Kuch is tarah.

python Program

Yaha aap yahi soch rahe hai ki yeh sab apko kaha se milega apko yaha ek link diya ja raha hai apko yaha se copy paste karna hota hai. Kuch is tarah apko site par mil jata hai. https://code.visualstudio.com/docs/editor/integrated-terminal

python Program

Yeh sab karne ke baad aap apne python program ko gitbash terminal par run kar sakte hai. Apko visual studio code ko ek bar close karke dubara se run karna hota hai. Software run hone ke baad apko bash ka option mil jata hai.

python Program

Yaha agar apko is tarah se bash ka option nahi milta hai. Aise mai aap plus ke icon par click karke option ko enable kar sakte hai. Yeh sab karne ke baad aap apne python program ko gitbash ke sath run kar sakte hai.

How to install pyCharm

Jaise apko visual studio code or gitbash ke bare mai btaya gaya hai. Aise hi aap Python Program likhne ke liye pyCharm software ka bhi use kar sakte hai. Yaha aap iske free version ko hi download karen. Kuch is tarah.

python Program

Community version ko download karne ke baad aap yeh software ko install kar sakte hai. Jaise hum kisi normal software ko install karte hai aise hi aap ise install kar sakte hai. Yaha apke samne kuch is tarah open ho jayga.

python Program

Apko yaha create new project par click karna hota hai. Yeh sab karne ke baad apke samne kuch is tarah se open ho jayga. Yaha apko python ke interpreter ka hi use karna hota hai.Apko yaha agar by default milta hai tab aap use kar sakte hai.

python Program

Yaha apko agar python show nahi hota hai aise mai aap system interpreter ke option mai jakar python ko select kar sakte hai. Kuch is tarah apko python ko select karke create par click karna hota hai.

python Program

Create par click karne ke baad apka yeh software open ho jayga. Yaha aap apne python program ko likh kar run kar sakte hai. Apko kuch is tarah se open hone ke baad python ki file ko create karna hota hai.

python Program

First time apko untitled ka folder hi show hota hai. Yaha apko folder par right click karke new ke option mai python file ka option mil jayga. Jaise apko image mai show ho raha hai. Yeh sab karne ke baad aap apna python program likh sakte hai.

python Program

Aap image mai dekh sakte hai. Yaha apko simple python program bna kar btaya gaya hai. Jaise print(‘freelearningtech’) Yaha aap program ko jaise bhi likhte hai program run ho jata hai. print(“freelearningtech”).

Aap yaha print function ke sath agar strings ko dono tarah se bhi use karte hai apka python program run ho jata hai. Kuch is tarah se aap apko jis bhi software mai apne python program ko likhna hai aap likh sakte hai.

The Conclusion

Main umeed karta hu ki apko Python program ko aap kaise likh sakte hai iske bare mai pata chal gaya hoga. Yaha humne apko do softwares ke bare mai bataya hai. Apko jo bhi acha lagta hai aap uska use kar sakte hai.

Yeh article ko aap sahi se agar padte hai tabhi aap yeh sabhi settings ko bina kisi error ke kar sakte hai. Humne apko sab kuch step by step btaya hai. Apko age sabhi tarah ke python program ko yahi software mai run karna btaya jayga.

Apko yaha agar kisi bhi tarah ki error milti hai tab aap comment mai puch sakte hai aap apne kisi bhi tarah ke question bhi comment mai puch sakte hai. Humari taraf se apki puri help ki jayegi.

Apko yaha Ethical Hacking bhi sikhne ko milti hai aap veh bhi sikh sakte hai. Jaise Facebook hacking, whatsapp Hacking, website hacking jaise articles bhi apko yaha mil jate hai. Main umeed karta hu ki aap humare articles ko pasand karege.

Sharing is Caring

Thankyou

Be the first to comment

Leave a Reply

Your email address will not be published.


*