How to Create Target Base Password WordList ?

Is article mai hum apko Password WordList ke bare mai bata rahe hai. Jaise How to Create Wordlist, Why we need Password Wordlist. Apke sabhi questions ka answer apko yaha mil jayga.

Password Wordlist apko bahut sari mil jati hai. Aap google par jitni chahte hai utni password list download kar sakte hai. Lekin veh bahut badi bhi hoti hai.

Aise mai itni badi password list ko agar Hackers use karte hai tab bhi password nhi milta hai. Yeh sab ke liye Hackers apne target se related hi Wordlist ko create karte hai.

Yeh sab apki knowledge ko bdhane ke liye btaya ja raha hai. Aap apni knowledge or apni skills ka miss use kabhi mat karen.

Note- This article is only for educational purpose. Don’t miss use your knowledge and skills.

Why we Need password Wordlist ?

Password list ki jarurt Bruteforce attack ke liye hoti hai. Jaise Website ke admin panel ko crack karne ke liye, Kisi Social Media accounts ke liye, RAR password crack karne ke liye.

Aise mai yeh question ata hai ki password ki list jab hume google se mil jati hai to hume khud ki kyo bnane ki jarurt hoti hai. Facebook par ab Bruteforce attack work nahi karta hai.

Jaise maan lijiye google se koi password list download karte hai 50 MB ki ab usme passwords koi bhi ho sakte hai.

Lekin hum agar target base password wordlist create karte hai tab password humare target se related hi hote hai.

Yaha hum apko yeh sab practically bata rahe hai kis tarah se target base Password wordlist ko create kiya jata hai. Yaha bahut methods hai or commands hai.

Sabhi ke bare mai bata pana possible nahi hoga. Hum apko yaha kuch examples ke through bata rahe hai kis tarah se inka use kiya jata hai.

Aise mai agar Hackers Password Wordlist ko hi target base create karte hai to Bruteforce attack ke success hone ke chance bhi bad jate hai. Isliye inka use kiya jata hai.

How to create Password WordList ?

Yaha hum apko three tools ke bare mai bata rahe hai. Aap inka use kisi bhi illegal purpose ke liye kabhi mat karen. cupp, cewl or crunch apko sabhi ke bare mai btaya ja raha hai.

Sabse pahle apko github se cupp tool ko download karna hoga. Aap yeh is tarah bhi kar sakte hai git clone https://github.com/Mebus/cupp yeh download ho jayga.

Apke samne iski help open ho jayegi. Aap apni requirements ke hisab se kisi bhi option ka use kar sakte hai. Apko command deni hoti hai (python3 cupp.py -i) .

Password WordList

Yaha apse Target ki information mangi jati hai. Jaise Hackers Footprinting ke through target ki jo bhi information collect karte hai veh yaha fill ki jati hai. Aise mai password Wordlist target base hi create hoti hai.

Password WordList

Aise hi aap sabhi options ka yaha use kar sakte hai. Yeh simple hai aap jab inka use karte hai apko sab samjh mai ane lag jayga. Yeh password list apko cupp ke folder mai hi create hokar mil jati hai. Kuch is tarah.

Password WordList

How to use Crunch and Cewl ?

Jaise app cupp tool ki help se target base password wordlist ko create kar sakte hai. Aise hi yeh kaam Crunch or CEWL ki help se bhi kiya ja sakta hai. Yeh dono apko pahle se install milte hai.

Password WordList

Yaha apko kuch is tarah se commands deni hoti hai. Aap help mai iski sabhi commands ko dekh sakte hai. Yaha 3 or 7 ka matlab alphabets se hai, age name diya gaya hai.

Yeh apko password wordlist create hokar mil jati hai. Aise hi bahut commands ka use kiya jata hai. Sabhi ke bare mai bata pana possible nahi hoga.

Password WordList

Aise hi yaha agar apko pata hai ki password 8 words ka hai or pahle ke 4 alphabets agar pata hote hai. Kuch is tarah se password ki wordlist ko create kiya ja sakta hai.

Password WordList

Aap dekh sakte hai. Yaha pahle ke 4 alphabets apke hai baki random generate hue hai. Is tarah se target base Password Wordlist ko create kiya jata hai.

Aise hi aap words ke bhi combination ki password list ko create kar sakte hai. Apko Crunch or CEWL tool mai aise bahut sare options milte hai. Aap jab inka use karte hai tabhi apko pata lag jayga.

Password WordList

Aise hi CEWL ka bhi use kiya jata hai. Yeh bhi apko pahle se hi install milta hai. Yaha aap help mai dekh sakte hai apko sabhi options show ho jate hai. Hackers apne hisab se is tarah Password list ko create karte hai.

The Conclusion

Main umeed karta hu ki apko Password ki Wordlist ko kaise create kiya jata hai yeh pata chal gaya hoga. Yeh sab Hacking mai hi use hota hai isliye apko btaya ja raha hai.

Hackers isi tarah se Password ki Wordlist ko create karke hi Bruteforce attack ko karte hai. Isliye apko kabhi apni information unsecure website par kabhi fill nahi karni chahiye.

Yeh sab apko educational purpose ke liye btaya gaya hai. Aap inka miss use kabhi mat karen. Yeh sab aap practically jarur karke dekhe tabhi aap sikh sakte hai.

Password ki Wordlist ko kisi Website ke words ka use karke bhi create kiya ja sakta hai. Jaise Target agar koi website hoti hai to targeted website mai jitne bhi words hai unka use bhi kiya ja sakta hai.

Is tarah se Password crack ho jate hai. Yeh sab se safe rehne ke liye aap apne kisi bhi tarah ka password aisa kabhi mat rakhe jo information internet par apki hoti hai.

Agar apka kisi bhi tarah ka koi question hai to aap comment mai puch sakte hai. Apko yeh article acha lage to ise share jarur karen. Humare blog ko subscribe karna mat bhulen.

Sharing is Caring

Thankyou

Be the first to comment

Leave a Reply

Your email address will not be published.


*