How to Hack Social Media Passwords ?

Is article mai hum apko Social Media accounts ke passwords hack karne ke bare mai bata rahe hai. How to Hack Social Media Passwords. Yaha kisi tarah ka practical apko nahi btaya ja raha hai.

Yeh article ko agar aap dhyan se padte hai or samjhte hai tab apko bhi samjh mai a jayga. Hackers kis tarah se ek sath bahut sare Social Media accounts ke passwords crack karte hai.

Humne apko pahle bhi How to hack social Media accounts vale article mai btaya hua hai. Hackers kaise kisi ke Social Media accounts ke password ko hack karte hai.

Lekin phir bhi sabhi ko abhi clear nahi hua hai. Isliye yeh article ko bnana pad raha hai. Yaha hum apko Completely explain kar denge kis tarah se Hackers bahut sare Social Media accounts ko hack karte hai.

Yeh article sirf educational purpose ke liye hai. Aap iska miss use kabhi bi mat karen. Aagar aap inka miss use karte hai tab apko Problem ho sakto hai.

Aap aye din News mai dekhte honge ki itne facebook accounts hack hue, itne youtube channels hack hue, itne Instagram accounts hack hue. Abhi recently Bahut sare Zoom accounts hack hue hai.

Aise mai kisi normal user ko pata bhi nahi chal pata hai kaise unke Social media accounts hack ho jate hai. Yeh sab kaise kiya jata hai apko yaha Detail mai bata diya jayga.

Note- This article is only for educational Purpose. Don’t miss use your Knowledge and Skills.

Hack Social Media Passwords ?

Yaha hum apko ek ek karke kuch Methods ke bare mai bata rahe hai. Yeh sab apko educational purpose ke liye btaya ja raha hai. Aap iska miss use kabhi bhi mat karen.

Phishing attack

Phishing attack ke bare mai jadatar sabhi ko pata hota hai. Yaha hum apko Phishing attack se bata rahe hai Hackers kaise Internet ke through bahut sare Social Media accounts ko hack karte hai.

Aap yahi soch rahe honge ki yeh to ek bahut hi common attack hai. Aise mai Phishing attack ki help se yeh sab kaise ho sakta hai. Chaliye hum apko samjhate hai.

Phishing attack ka use Social Media accounts ke password hack karne ke liye bahut jada use kiya jata hai. Jadatar sapko sbhi jagah yahi milta hai ki aap link bnaye victim ko send karen.

Lekin agar Phishing attack ko bhi sahi tarah se kiya jaye to yeh bhi bahut useful hota hai. Hum apko niche kuch Phishing websites dikha rahe hai.

Yeh aap dekh sakte hai Facebook ki Phishing website hai or internet par live hai. Url aap dekh sakte hai. Aise hi apko ek or website dikhai ja rahi hai.

Jaise apko humne do Websites dikhayi aisi bahut sari websites hai. Aap phishtank ki website par dekh sakte hai. Ab aap maan lijiye ek hacker ne Facebook ki Phishing website ko ready kiya hai.

Aise mai hacker Gmail accounts ko extract kar lete hai uske baad veh bulk mai emails ko send karte hai. Yeh apko pahle btaya gaya hai. How to send bulk emails in gmail.

Ab yeh website internet par bhi live hoti hai. Aise mai aap iske backlinks create kar dete hai. Ab jaise backlinks bnaye jate hai. Ab kisi normal user ko jise phishing attack ke bare mai nahi pata hai veh login kar leta hai.

Hackers Phishing attack bhi kayi tarah se karte hai. Jaise Tabnapping attack, Beef framework ki help se, Homograph attack ke through etc.

Payloads and Trojans

Payloads and Trojan Virus ke bare mai apne bahut bar suna hoga. Sabhi jante hai ki inka use karke hackers kisi ke mobile device ko remotely access kar sakte hai.

Payloads or Trojans ka use bhi kayi tarah se kiya jata hai. Iska use social Media accounts ko hack karne mai bahut jada kiya jata hai. Jaise ki kaha jata hai Hackers ki thinking vaha se shuru hoti hai jaha normal user ki khatam hoti hai.

Yeh bat kahi na kahi sach bhi hai. Kyoki ek hacker kuch aisa jante hai jo Normal users nahi jante hai. Chaliye ab hum apko btate hai Hackers inki help se kaise social Media accounts ko hack karte hai.

Hackers Yeh sab karne ke liye apni websites bhi bnate hai sath hi jaha se aap softwares ko download krte hai unme bhi Payloads ko bind kar dete hai. Kuch Is tarah.

Social Media

Chaliye ise example ke through samjhte hai. Jaise maan lijiye apne search kiya IDM Crack download. Yeh sabse jada search kiya jata hai.

Aise mai Hackers IDM ke sath jo crack dete hai uske sath kisi tarah ka payload bind kar dete hai. Aise mai normal user ne to IDM crack download kiya or use run kiya hota hai.

Lekin realty yeh hai ki uske Computer ka remotely access Hacker ko mil jata hai. Aise mai Social Media accounts ke passwords bhi hack ho jate hai.

Isliye yeh kaha jata hai ki kabhi kisi unsecure website se kuch bhi download nahi karna chahiye. Apko agar doubt hota hai tab aap Virus total ki website par use upload karke dekh sakte hai.

Aise mai yeh question ata hai ki Antivirus to ise detect kar lega. Lekin antivirus ko bhi bypass kiya ja sakta hai.

Adwares and Click bait

Adwares or Click bait ke bare mai apne kabhi na kabhi jarur suna hoga. Hackers inka use bhi Social Media accounts ke passwords hack karne ke liye karte hai.

Yeh kya hota hai kaise work karta hai. Yeh sab apko btaya ja raha hai. Apne kabhi na kabhi yeh jarur dekha hoga jab aap kisi website par hote hai achanka se popup open ho jata hai.

Jaise aap kisi website par hai jaha Website Designing ke articles hai. Vaha popup ata hai ki vaha likha hota hai. You have get a free course Download this.

Social Media

Aise mai normal user to Website Create karna sikhna chahta hai veh use Download kar leta hai. Aise mai veh agar Payload ya Trojan hota hai tab bhi Hackers ko remotely access mil jata hai.

Is tarah ke bahut sare Methods hote hai jinka use hackers karte hai. Yeh sab apki social engineering skills par depend karta hai. Aise hi Hackers Click bait ka use bhi karte hai.

Click bait ka matlab hota hai ki apko show kuch or karvaya jata hai or apse Download kuch or karvaya jata hai. Jaise maine ek article likha How to create a WordPress Website .

Aise mai agar mai vaha Website create karne ke bare mai na bta kar apko kuch or topic par btata hu tab yeh Click bait mana jata hai.

Aise hi Hackers show karvate hai ki aap ise download karke yeh sikh sakte hai. Lekin reality mai veh kisi tarah ka Computer Virus bhi ho sakta hai.

Fake Mail

Fake mail ke bare mai apko pehle bhi btaya gaya hai. Hackers Fake mail send karke kayi tarah se Social Media accounts ko hack karte hai.

Youtubers ke accounts ko promotion ke fake mail send karke. Kisi normal user ko Facebook account ko facebook ke through fake mail send karke. Yaha email spoofing ka use kiya jata hai.

Hackers fake mail send karke Instagram accounts, Gmail accounts, Kisi ke mobile phones or bhi bahut tarah ke hacking attacks ko kar sakte hai. Yeh sab hacker per depend karta hai veh kis intention se kis attack ko karta hai.

Social Media

Yaha hackers Fake mail ke through kisi tarah ki Hacking ko karne ke liye kuch attacks ka ek sath use karte hai.

Jaise Social Media account ko hack karna hota hai. Facebook aise mai hackers Email spoofing, How to send email in inbox, Phishing attack, Homograph attack, social engineering ka ek sath use karte hai.

Ab aap khud soch sakte hai hackers kisi ek attack ko success karne ke liye ek hi attack ko kitni tarah se kar sakte hai. Yeh apko kuch hi examples btaye gaye hai.

How we safe Social Media accounts from Hackers ?

Hackers se social Media accounts ko safe rakhne ke liye apko pahle inke methods ko samjhna bahut jaruri hota hai.

  • Phishing attack se bachne ke liye aap doubt hone par website url ko Phishtank website par upload karke dekh sakte hai.
  • Trojan ya Payload se safe rehne ke liye aap doubt hone par virus total jaisi websites par file ko upload karke dekh sakte hai. Kisi unsecure website se kuch bhi Download mat karen.
  • Adwares se bachne ke liye aap kabhi bhi aise kisi popup ke through mili hui file ko download mat karen. Unsecure websites ko use mat karen.
  • Fake mail se safe rehne ke liye aap khud se type karke hi original website ko open karen. Mail ke through diye gye link par click mat karen.

The Conclusion

Main umeed karta hu ki apko yeh pata chal gya hoga Hackers kis tarah se bahut sare Social Media accounts ko hack karte hai or apko pata bhi nahi chal pata hai.

Yeh article hum bnana nahi chahte the. Lekin pichle kuch dino se humare pass isi se related questions a rahe the. Isliye yeh article bnana pada. Hackers ke aise sabhi methods ko btana possible nahi hai.

Agar apko isi article mai sab kuch btaya jaye to yeh article bahut hi bada ho jayga. Yaha humne apko kuch examples ke through sab kuch samjhane ki koshish ki hai.

Main umeed karta hu ki aap aapke man mai yeh question nahi ayga ki Hackers kaise user ko pata lgaye bina hi unke Social Media accounts ko hack kar lete hai.

Agar apka kisi bhi tarah ka koi question hai aap comment mai puch sakte hai. Apko yeh post agar achi lage to ise share jarur karen. Aap mere bare mai about us page par padh sakte hai.

Thankyou

Be the first to comment

Leave a Reply

Your email address will not be published.


*