Is article mai hum apko Send Bulk Emails in Gmail ke bare mai bata rahe hai. Jaise How to send Bulk Emails in Gmail. Hum apko yeh sab with practically bata rahe hai.
Yaha hum apko ek baat pahle hi clear kar rahe hai. Kyoki apke time ki hum value karte hai. Hum apko yaha Email extract karna bata denge. Email validation ko practically bata denge.
Lekin kaise kisi Email ko inbox mai send kiya jata hai. Yeh apko yaha nahi btaya jayga. Lekin apko proff diya jayga. Kyoki ise pahle humne ek Spamming or Scam page par article likha hua hai.
Hum yeh ache se jante hai yaha agar apko bulk Email ko Gmail mai send karne ka practical bata diya to iska use Spamming mai kiya ja sakta hai. Yeh sab apko educational purpose ke liye btaya ja raha hai.
Note – This post is only for educational Purpose. Don’t miss use your knowledge and skills.
How to extract Email ?
Jaise ki apko Spamming ke article mai btaya gaya hai. Hackers kis tarah se Scam page ko create karke Gmail par send karte hai. Aise mai Gmail accounts ka to hona jaruri hota hai.
Yeh method jo apko btaya ja raha hai yeh aap Email scraping bhi samjh sakte hai. Iska use ache ke liye bhi kiya ja sakta hai. Yaha Bulk gmail account ko send karne ke liye collect kiya jata hai.
Yaha aap jis bhi Website se Emails ko extract karna chahte hai or jis bhi city ke chahte hai, Jis tarah ke persons ka chahte hai, or jis bhi Email provider ka chahte hai use Google par kuch is tarah likh sakte hai.
Apko yaha jaise 10 results hi show hote hai. Aap agar settings mai jakar 100 searches par set kar dete hai to apko yaha 100 results show ho jate hai. Yeh Bulk Emails ko Gmail par send karne ka Free method hai.
Aise mai question yeh ata hai ki itne sare Gmail accounts ko kaise extract kiya jaye. Yaha aap kisi Email extractor extension ka bhi use kar sakte hai. Kisi software ka bhi use kar sakte hai.
Hum yaha shanes tool ka use karke bata rahe hai. Yeh website ka link apko mil jayga, ya aap google par shanes tool likh kar bhi search kar sakte hai. Yha apko ise drag karke Bookmark mai rakhna hoga.
Yeh sab karne ke baad aap shanes tools par click karte hai vaha apko Email scraping ka option mil jata hai. Aap vaha se Emails ko extract kar sakte hai. Lekin aap iska use kisi illegal purpose ke liye kabhi mat karen.
Yaha iska use freelancers Email accounts ko iktha karne ke liye karte hai. Jaise apne dekha hoga. Apke pass mails ate rehte hai.
How to Validate for Send Bulk Emails in Gmail ?
Yaha hackers ne Gmail accounts ko extract kar liya Yeh ek free method hai to yaha kuch limitations hai. Hackers yaha paid tools ka use karte hai. Is tarah se Hackers kisi bhi website se Emails nikal sakte hai.
Yeh sab karne ke baad emails ko validate kiya jata hai. Yeh apko practically dikhaya jayga. Lekin apko yeh tool or kaise kiya gaya yeh nahi btaya ja sakta.
Kyoki hum jante hai iska use Bulk Emails ko gmail mai send karne ke liye kiya ja sakta hai. Hum yaha kisi bhi tarah se spamming ko support nahi karte hai.
Aap dekh sakte hai is tarah se Emails ko Bulk emails gmail mai send karne se pahle Validate kiya jata hai. Yeh free software ka use apko samjhane ke liye kiya gaya hai.
Yaha naam nahi btaya ja sakta hai. Aap samjh sakte hai Spamming mai use kiye jane vale methods illegal hai. Yeh sab apko smjhane ke liye btaya ja raha hai.
Emails ko bulk mai Gmail par send karne ke liye Email accounts ko validate karna jaruri hai. Kyoki kayi bar kuch persons ne jo email ko fill kiya hota hai. Veh working mai nahi hote hai ya temporary hote hai.
How to Send Bulk Emails in Gmail ?
Jaise ki apko pahle Email spoofing mai btaya gaya hai. Vaha Email to send hota hai Inbox mai. Lekin sath hi ek notification bhi milta hai report as spam ka.
Yaha iska use vaise to Email marketing mai kiya jata hai. Lekin hackers inka use Bulk Emails ko Gmail mai send karne ke liye karte hai. Aisa karna illegal hai.
Jaise maan lijiye Hacker ne paypal ya amazon ka scam page bnaya hai. Aise mai use gmail account mil gaye, Gmail accounts ko bulk mai send karne ke liye validate bhi kar liya.
Yaha last step ata hai ki jo emails hacker bulk mai Gmail par send karne vale hai veh inbox mai jaye na hi kisi spam folder mai na hi koi report spam ka notification show kare.
Yeh kaise kiya jata hai apko yeh to nahi yaha btaya ja sakta hai. Lekin apko niche proff dikhaya ja raha hai. Is tarah se emails bulk mai gmail par send hote hai.
Yaha humne ek hi Gmail account ko send karke apko btaya hai. Yeh sab apko samjhan ke liye kiya gaya hai.
Hackers kuch is tarah se bulk mai gmail par emails ko send karte hai. Yaha apko yeh lag raha hoga ki maine aise apne kisi gmail se kisi dusre gmail par send kiya hai.
Lekin aap apni jagah sahi hai. Lekin maine directly aise send nahi kiya hai. Maine yaha apne hi gmail accounts ka use kiya hai. But bich mai kuch or bhi kiya hai.
Aap niche image mai dekh sakte hai Humne apne dusre Email se yaha koi Email send khud nahi kiya hai.
Yaha jo is website ko bahut pahle se follow kar rahe hai. Veh jante hai baki aap about us page mai jakar bhi padh sakte hai.
Yaha is tarah se hackers bulk mai Emails ko gmail account par send kar sakte hai. Yeh sab apko samjhane ke liye btaya gaya hai.
The Conclusion
Main umeed karta hu ki apko Spamming karne ka dusra step samjh mai a gaya hoga. Yeh sab apko practically btaya ja sakta tha lekin security reasons ki vajah se nahi btaya gaya hai.
Apko pata chal gaya hoga Hackers kis tarah se Emails ko bulk mai gmail par send karte hai. Yaha humne sabhi free resources ka use karke apko btaya gaya hai.
Lekin Hackers jab spamming ya Bank account jaise illegal kaam karte hai tab veh yaha Paid services ya paid software ka use karte hai. Aap spamming jaise illegal work kabhi mat karen.
Agar apka Send Bulk Emails in gmail ya Spamming se related kisi bhi tarah ka koi question hai. Aap comment mai mujhse puch sakte hai. Aap about us page mai mere bare mai jaan sakte hai.
Aisa nahi hai ki yeh sab apko practically nahi btaya ja sakta hai. Lekin har kisi ka btane ke purpose alag hota hai. Yaha spamming ki baat ho rahi hai isliye nahi btaya gaya hai.
Agar ap first time is blog par visit kar rahe hai. Humare blog ko subscribe jarur karle taki apko articles publish ki notification mil jaye. Humare articles ko share jarur karen.
Thankyou
Leave a Reply