Best Free WordPress Themes for Blog (2020)?

Is article mai hum apko kuch Free WordPress Themes ke bare mai bata rahe hai. Yaha hum apko Best Free WordPress Themes for Blog , Sath hi Theme ko install karna btaya ja raha hai.

Yaha hum apko Kuch Free WordPress Themes ke bare mai bhi bata rahe hai. Sath hi apko yeh bhi bata diya jayga jo mistakes maine ki veh aap kabhi mat karen.

Hum apko yaha Free WordPress Themes ka use karke hi ek achi website bnana bata denge. Themes ko kis tarah se select kiya jata hai. Ek Theme ki kitni importance hoti hai.

How to Select Themes ?

Kisi bhi website ko create karne ke liye Theme ki jarurt hume hamesha padti hai. Lekin aise mai question yeh ata hai ki Free WordPress Themes to bahut sari hai hum kise use karen.

Yaha hum apko Theme ka use karne se pahle apko yeh bata rahe hai ki aap Theme apni pasand se koi bhi use karle. Lekin kuch features hona usme jaruri hota hai.

  • Aap jis bhi Theme ka use karte hai veh light weight honi chahiye Jise open hone mai jada time nahi lagna chahiye. Yeh mistake maine ki hai aap kabhi mat karen.
  • Aap jis bhi Theme ka use karte hai Vaha agar AMP Inbuilt hota hai to better rehta hai. AMP kya hai yeh apko age bata diya jayga. Ya aap AMP ko khud bhi plugin ki help se install kar sakte hai.
  • Apko Free WordPress Themes bahut dekhne ko mil jayegi. Lekin aap yeh jarur dekh le uski rating kaise hai. Sath hi features ko jarur check karke use karen.
  • Yeh baat ka bhi apko dhyan rakhna hota hai aap jis bhi Theme ka use kar rahe hai veh SEO Friendly honi chahiye. Fast Load honi chahiye page speed achi honi chahiye.
  • Apko koi bhi theme select karne se pahle yeh jarur dekh len ki apko usme kitne editing ke option milte hai. Jaise Footer edit karne ka, Header edit karne ka, Menu edit karne ka. Aap yeh sab plugin ki help se bhi kar sakte hai.

Best Free WordPress Themes ?

Yaha hum apko kuch Free WordPress Themes ke bare mai bata rahe hain jo hume achi lagti hai. Jinhe mai use bhi karta hu or age ane vale blogs mai bhi apko yeh themes ka hi use milega.

Color Mag

Color Mag ke bare mai apne kabhi na kabhi jarur suna hoga. Is website par bhi color mag Theme ka hi use kiya gaya hai. Yeh theme mai kafi problems hai.

Lekin yeh ek Free WordPress themes mai se ek hai. Yeh theme ek starting purpose ke liye achi theme hai. Lekin humne yaha images mai mistake ki hai kuch sath hi AMP install nahi kiya hai.

Vaise iska look acha hai aap starting mai iska use kar sakte hai. Bas aap AMP ko use jarur karen. Images jada heavy mat upload karen. Yeh mistake mujhse bhi hui hai.

Lekin apko jald hi isme sabhi features dekhne ko mil jayege sath hi iski page speed ko bhi increase kar diya jayga. Aap demo par click karke dekh sakte hai.

Free WordPress Themes

Demo | Download

Iconic One

Iconic One ek Free WordPress Theme hai. Jo mujhe bahut achi lagti hai. Age ane vali websites mai iska use mai jarur karuga. Yeh ek light weight theme hai.

Iconic One ko use karna bahut hi easy hai. Iska simple sa clean or neat interface apko dekhne ko mil jata hai. Yeh Theme ka bhi aap Use kar sakte hai.

Yeh Free WordPress Themes mai se ek hai. Iconic one ka pro version bhi ata hai. Lekin aap starting mai iska free version hi use karen. Aap niche Demo par click karke ise dekh sakte hai.

Free WordPress Themes

Demo | Download

Ribosome

Ribosome bhi ek Free WordPress theme hai. Aap iska bhi use kar sakte hai. Yeh apko wordpress par mil jati hai. Age apko niche apko Theme install karna btaya gaya hai.

Aap chahe kisi bhi tarah ki Theme ko use kare. Ya apki koi bhi choice ho. Aap demo theme ka speed test jarur karle. Aise mai apko idea ho jata hai.

Aap Theme ko proper customize karna agar jante hai tab aap ise apne hisab se use bhi kar sakte hai. sath hi aap iski speed ko bhi increase kar sakte hai.

Google apko khud hi apki Theme mai problem bata deta hai jab aap analyze karte hai. Iska demo aap niche dekh sakte hai.

Free WordPress Themes

Demo | Download

News Viral

Yeh bhi ek Free WordPress Theme hai. Aap iska bhi use kar sakte hai. Lekin yeh theme ki loading speed upar btayi gyi Themes se thodi kaam hai.

Agar aap themes ko customize karna jante hai tab ise bhi kiya ja sakta hai. Yeh bilkul free themes hai. Apko yeh WordPress par mil jati hai.

Humne yaha Ocean WP ya Astra ke bare mai nahi btaya hai. Uske bare mai jadatar sabhi ko pata hota hai. Yaha Humne kuch aisi Free WordPress themes ke bare bare mai btaya hai.

Jinhe humne use kiya hai. Aap is Theme ka Demo niche dekh sakte hai. Apko inme se jo bhi Theme achi lagti hai aap uska use kar skate hai. Yeh sabhi Free WordPress Themes hai.

Demo | Download

How to install Free Themes in WordPress ?

Chaliye ab hum apko yeh batate hai Free Themes ko aap WordPress par kaise install kar sakte hai. Sabse pahle apko Appearance mai jakar Themes ke option mai jana hoga.

Free WordPress Themes

Yaha se Aap search karke bhi in Free WordPress Themes ko install kar sakte hai. Sath hi upload Theme bhi kar sakte hai agar apke pass koi Download ki gyi Theme hai.

Yeh sab karne ke baad Apko jis bhi theme ko use karna hai aap vaha Cursor leker jate hai. Apko install or preview ka option milta hai. Apko install karke bas activate karna hota hai.

Yeh sab karne ke baad aap apni website ko jab visit karte hai. Apko apki install ki gyi Theme show ho jati hai. Yaha apko editing karni hoti hai.

Free WordPress Themes

Yaha hume Website ke name ko hide isliye kiya hai. Kyoki yeh hum ek new Website ko ready kar rahe hai. Aise mai apni new Website ko abhi reveal nahi karna chahte hai.

The Conclusion

Main umeed karta hu ki apko yeh Free WordPress Themes achi lagegi. Aap bhi apni Website ko create kar sakte hai. Yeh bahut hi easy hota hai.

Aap website designing sikh kar Freelancer bhi work kar sakte hai. Yaha hum apko Blogger or PHP mai bhi Website ko create karna bata denge.

Yeh sab karne se pahle aap Humare pahle ke Articles padh sakte hai. How to Create a WordPress Website. How to do Some WordPress Settings.

Agar apko kisi bhi tarah ki koi problem ati hai aap humse comment mai puch sakte hai. Aap yaha Ethical Hacking bhi sikh sakte hai. Humare articles ko share jarur karen.

Thankyou.

Be the first to comment

Leave a Reply

Your email address will not be published.


*