Agar apke man mai bhi yeh question ata hai. How to write SEO Friendly Blog post ya Seo Friendly post kaise likhi jati hai tab aap bilkul sahi jagah hai.
Hum apko is article mai SEO Friendly blog post kaise likhi jati hai iske bare mai detail mai btayege. Yeh bhi apko bata diya jayaga main apni posts ko kaise likhta hu.
Kaise jo posts meri google par keyword search karne par top 500 mai bhi nahi ati thi. Kaise veh top 30 mai laya hu or kaise pahle page par bhi jaldi ayegi yeh sab apko is artcile mai btaya jayga.
Hum apko is article mai veh sab kuch bata denge jo kuch bhi pata hai. Yaha hum apko ON Page SEO ka use karke SEO Friendly post likhna bata rahe hai. Hum apko kuch tips denge or practically btayege kaise SEO Friendly blog post ko likha jata hai.
Steps for SEO Friendly blog post
Keyword Research
SEO Friendly blog post likhne ke liye sabse pahle apko keyword research karni hogi. Yeh kaam ahref tool ki help se bhi kar sakte hai.
Agar aap chahe to google ke keyword planner tool ki help se bhi aap aisa kar sakte hai. Hum Google ke keyword planner tool ka use karte hai.
Apko sabse pahle low competition vale keyword par hi work karna hota hai. Aise keyword jinki searches jada ho lekin low competition ho . Aap kuch is tarah se keyword research kar sakte hai.
Aap dekh sakte hai is tarah se keyword planner tool mai keyword ko search kar sakte hai. Agar aap low competition vale keyword par kaam karte hai tab aapki posts rank hoti hai.
Agar mai apko apne experience ke base par kahu to aap tab tak SEO Friendly blog post nahi likh sakte hai jab tak aap khud try nahi karte hai.
Main apko apni posts ka proff dikhata hu kaise meri posts jo search karne par top 300 mai bhi nahi thi veh 30-60 tak pahch gyi hai.
Yeh kaam maine 10-15 din mai kiya hai post pahle likhi gayi thi update baad mai kiya gaya tha. Main apko yeh sab bata dunga maine kya mistakes ki thi jo meri posts rank nahi ho rahi thi
Aap dekh sakte hai yeh posts kaise rank ho rahi hai or yahi posts 10 din pahle search karne par top 300 mai bhi nahi thi. Yeh post kaise rank ki hai yeh apko bataya ja raha hai.
Sabse pahle keyword research karni hogi aap agar new blog start kar rahe hai tab aap hmesha low competition vale keyword ko hi select karen jaise maine ki hai.
How to Select Heading ?
Chaliye ab hum apko btate hai Heading ko kaise likha jata hai. Sabse pahle aap apna keyword select karte hai. Hum apko yaha Whatsapp hacking keyword ka example lekar bata rahe hai .
Sabse pahle apko apne keyword ko heading mai jarur dena hoga. Jaise humne apni post mai diya hai . Heading ko sahi tarah se likhna SEO Friendly blog post mai ata hai.
Aap yahi soch rahe hai ki Whatsapp hack keyword to sahi hai. Lekin How to hack Whatsapp ko kyo heading mai diya gaya hai.
Chaliye hum apko btate hai. Aap Whatsapp hacking keyword ko jab keyword planner mai search karte hai sath hi aap How to hack Whatsapp ko search karte hai.
Aise mai aap dekh payege ki yeh dono jinhe apne search kiya hai. Yeh related keyword hai isliye ise heading mai diya gaya hai.
Yeh karne se apki post rank isliye hogi. Kyoki jab bhi koi person How to hack Whatsapp , Whatsapp hack, Whatsapp hacking ko search karta hai tab humari post show hogi.
Yeh apko dekhna hoga ki aap kis topic par post ko likhte hai. Jaise Facebook hacking ke article mai bhi humne yahi kiya hai. Sabhi posts ko aise hi likha gaya hai. Yeh sab ON-Page Seo mai ata hai jiski help se SEO Friendly blog post likhi jati hai.
How to select Meta Description ?
Meta Description ka bhi bahut dhyan rakhna hota hai. Jab bhi aap kisi bhi topic par post likhte hai apko Meta Description jarur dena chahiye.
Yeh sab apko SEO ke article mai btaya gaya hai. Aap vaha se theory ek bar jarur padhe.
Yeh bhi SEO Friendly blog post ko likhne ke liye jaruri hota hai. Meta description mai aap apne keyword ko jarur fill karen.
Lekin dhyan rahe aap apne keyword ko do bar se jada kabhi mat fill karen. Jaise Whatsapp hacking mai do bar diya gaya hai.
How to write SEO Friendly blog post Paragraphs ?
Aap yahi soch rahe hone ki Paragraphs ka kya role hai SEO Friendly blog post ko likhne ke liye. Chaliye hum apko btate hai. Yeh bhi bahut important hota hai.
Paragraphs apko small likhne hote hai. Apne jarur dekha hoga hum apne paragraphs ko hmesha small rakhte hai. Aisa isliye kiya jata hai kyoki apke article ki readability ko maintain kiya jaye.
Aap jitne bhi paragraphs apne article mai rakhte hai koshish kijiye ki sabhi Paragraphs mai apka keyword jarur ho jaise yeh hai SEO Friendly blog post.
Aap dekh sakte hai humne sabhi article mai jitne bhi Paragraphs hai sabhi mai apna keyword ka use kiya hai. Keyword ka use agar aap kisi paragraph mai nhi kar pate hai.
Aise mai aap kisi paragraph mai apne keyword ko do bar use bhi kar sakte hai. Aisa karne se aap SEO Friendly blog post likh sakte hai.
Ek baat ka dhyan rahe aap jab bhi kisi sentence ko likhte hai dot ke baad jab next line start karte hai. Next word ka first word ka first alphabet capital hi hona chahiye. Aisa karne se apke article ki Readability bani rehti hai.
How to use images for SEO Friendly blog post ?
Images ko post mai add karna bahut hi important hota hai. Jaise aap jab bhi koi article read karte hai aapko image nahi milti hai tab aap bore hone lagte hai. Aise hi aapke visitors bhi images ke nahi hone par bore hone lagte hai.
Aap agar apni posts mai images ka use karte hai aise mai apki images ke through bhi traffic milta hai. Jaise hum bhi kafi bar aisa karte hai jab bhi Google par search karte hai images ko bhi check karte hai.
Apko images ka use alt tag ke sath karna bahut jaruri hai. Jaise Website hacking ki post mai jab image ka use kiya ja raha hai. Vaha alt tage par website hacking jarur dena chahiye. Apko hmesha apni hi images ka use karna chahiye ya aap edit karke use kar sakte hai.
Aisa karne se jab apki post rank hoti hai apki website par google ke through bhi organic traffic milta hai. Images ka use bhi sahi tarike se karna bahut jaruri hai.
Jaise maan lijiye apka koi keyword hai or veh keyword par posts jo pahle se hi ki gyi hai vaha 3 images ka use kiya gaya hai. Aise mai apko 3 se jada images ka use krna hota hai. Aise hi article bhi apko apke competitors se jada words ka bhi likhna hota hai.
How to use Links for SEO Friendly blog post ?
Links ka use bhi apko apne sabhi articles mai jarur karna chahiye. Yaha hum apko do tarah ke links ke bare mai bata rahe hai. Internal Linking or External Linking.
Internal Linking mai aapko apni hi website ke kisi article ko kisi dusre article se link karna hota hai. Yaha Internal linking aise hi nhi ki ja sakti hai. yaha bhi Keyword ka use kiya jata hai.
Jaise maan lijiye ek article hai Website hacking ka or ik article hai DOS Attack ka or Website hacking ke article mai DOS Attack word ko use kiya gaya hai.
Yaha aap DOS Attack word ke sath DOS Attack ke article ko link kar sakte hai. Aap aisa bhi kar sakte hai Also Read ki heading bna kar vaha bhi apni kuch posts ka link de sakte hai kuch is tarah
External Linking ka use bhi jarur karna chahiye apko Yaha aap apne kisi word ke sath kisi dusri website ko link kar sakte hai. Aisa karne se apki website ka ek trust ban jata hai.
Jaise apko kisi person ke bare mai btana hai. Aise mai aap person ke name ko wikipedia ke sath bhi link kar sakte hai. Apko ek bat ka hmesha dhyan rakhna hota hai.
Agar apke competitors 5 Internal link or 3 External link diye hai. Aise mai apko unse jada links apne article mai dene hote hai. Aisa karne se apke article rank hote hai. SEO Friendly blog post ke liye aisa karna jaruri hota hai.
Consecutive Sentences
Apko kabhi bhi Consecutive Sentences ka use nahi karna chahiye. Apke man mai yeh swal a raha hoga Consecutive Sentences kya hota hai. Chaliye hum apko btate hai.
Jaise apne ek Sentence likha hai or apka Sentence start hota hai facebook word se aise mai agar aap dursa Sentence bhi Facebook se start karte hai tab veh Consecutive Sentences mana jata hai.
Isliye apko SEO Friendly blog post likhne ke liye kabhi Consecutive Sentences ka use kabhi nahi karna chahiye. Aisa karne se apke article ki Readability kharab hoti hai.
Subheading Distribution
Aap yahi soch rahe honge yeh kya hota hai. Kyoki yeh sab apko pahle nahi btaya gaya hoga. Lekin yeh bhi ek important part hota hai. Chaliye hum apko iske bare mai batate hai.
Aapko kabhi bhi apne kisi bhi article mai 300 words se jada paragraph nahi likhna chahiye. Jaise maan lijiye apne ek heading di hai Wifi Hacking aise mai Wifi Hacking heading ke niche aap paragraph likh sakte hai.
Lekin 300 word se jada hote hi apko ek or heading jarur deni hoti hai. Jaise maine Wifi hack heading likhi or niche 5 paragraphs diye hai or veh 290 words hai. Aise mai jab bhi 300 words se jada hote hai tab ek or heading deni hoti hai.
Translation words
Apko apne sabhi posts ko SEO Friendly blog post bnana hota hai ki apki post translate ho jaye. Jaise humari post translate nahi hoti hai kyoki proper hindi words mai nhi likhi jati hai.
Hindi mai nahi likhne ke reason hai kyoki humari posts ko translate karke dusri websites par upload kiya jata tha. Isliye proper hindi mai nahi likhi jati hai.
Lekin aap apni Post mai translation words ka use jarur kare. Aisa karne se apke visitors bhi badte hai or other countries se bhi traffic milta hai. Aap apne sabhi articles ko is tarah se SEO Friendly bnaye ki article ko kisi bhi language mai translate kiya ja sake.
The Conclusion
Main umeed karta hu ki apko SEO Friendly blog post kaise likhi jati hai iske bare mai pata chal gaya hoga. Agar aap bhi aisa karte hai apki bhi posts google par rank hoti hai.
SEO Friendly blog post likhne ke liye apko 200+ factors par kaam karna hota hai. Kyoki google apke articles ko 200+ factors ko dhyan mai rakh kar ranking deta hai. Lekin sabhi factors ko sahi se use karna bahut mushkil hota hai.
Isliye google apki kisi bhi post ko kuch hi factors par decide karta hai ranking dene ke liye. Agar aap apni post ko is tarah se likhte hai. Apki posts Google par jaldi rank hoti hai.
Agar apka SEO se related ya kisi bhi tarah ka koi question hai aap comment mai puch sakte hai. Humne bhi apne articles ko 10-15 days mai google par rank kiya hai or organic traffic generate kiya hai. Aap bhi aisa kar sakte hai.
Thankyou
I really appreciate your help with my project!