What is Seo and Importance of SEO?

Is Article mai apko What is SEO and Importance of SEO ke bare mai betail mai btaya jayga. Yeh bhi btauga kaise aap apni Posts ko SEO friendly likh sakte hai. Kis tarah se google searches ke through website par traffic bhi ata hai. Apko SEO ke bare mai detail mai btaya jayga.

What is SEO?

SEO ka pura naam Search engine optimization hota hai. SEO ka use karke kisi bhi Website ko google ke pahle page par laya ja sakta hai. Website ki kisi post ko google par rank karvaya ja sakta hai

Website ko bnana aaj ke time mai asan hai. Kyoki Blogger, wordpress, Drupal ka use karke Website ko bina coding ke asaani se bnaya ja sakta hai. Lekin Website ko rank karvana thoda mushkil hota hai.

Website ko Programming Language PHP, Asp.net jaisi Programming Language ka use karke bnaya ja sakta hai. Lekin yeh aap par depend hota hai ki aap kitni mehnat karte hai

SEO

Apni Website ko rank karvane ke liye agar aapko sach kahe to Website ke liye aap jo bhi Post likhte hai. Aap un Posts ka SEO karte hai taki apki Post google par search karne par logo ke through dekhi ja sake. SEO mai bahut sari terms hoti hai

hum apko sabhi ke bare mai btayege. Jaise ON page seo, Off page seo ,Backlinks, Keyword density in sabhi ke bare mai apko bataya jayga. Google kisi bhi website ko rank karne se pahle 200 factors ko check karta hai. Lekin 200 factors ko follow karna bahut hi jada mushkil hota hai.

Importance of SEO

SEO ki importance website mai bahut hoti hai. Jaise Website ko design karna taki SEO Friendly ho, Website par post likhne se pahle hi SEO ki starting ho jati hai

Jaise website ka design bhi SEO Friendly hona chahiye. Aap jo bhi theme ka use karte hai. Veh mobile optimize honi chahiye sath hi ap jo bhi Posts likhte hai. Un sabhi ko SEO Friendly likhna jaruri hota hai

Aap Website bhi bana lenge or Social media par share karke traffic jo apke pass ayga veh bahut important hota hai. Ab aap sochege ki google par to pahle se hi bahut sari websites hai

Aise mai fr apki Website kaise google ke pahle page par ayegi. Iske bare mai apko detail mai btaya jayga. Aap humse jude rahe SEO ko puri tarah se sikhne ke liye ise pahle meri Website blogger par thi or google Searches ke through meri posts par traffic ata tha.

Kyoki maine sabhi posts ka SEO kiya hua tha. Lekin hacking related posts ki vajah se adsense approved nahi hua. Isliye mujhe apni website ko CMS par bnana pada or sabhi Hacking ki posts ko delete karna pada.

Why SEO is Important ?

Yeh isliye bhi jaruri hai kyu ki jab hum google par kuch bhi search karte hai. Tab hum pahle ya dusre page tak ki Website ko dekhte hai. Aise mai hum jab apni Website ko Goggle par pahle page par late hai. Tabhi humari Website par traffic badta hai isliye SEO karna jaruri hota hai.

Jaise aap jab bhi kisi bhi Topic par koi post ko likhte hai. Apko SEO ko dhyan mai rakhkar Post ko likhna hota hai. Jaise Keywords, Heading, Paragraphs, images.

Aisi bahut ci bato ko dhyan mai rakh kar agar Post likhte hai. Tab jada chances hote hai ki apki Website Google par rank karne lag jayegi.

What is Search Engine and How it Works in SEO?

SEO ke bare mai age badhne se pahle apko yeh jana jaruri hai ki Search Engine kya hai or yeh kaise kaam karta hai. Kisi bhi Website ko open karne ke liye apko kisi na kisi Search engine ki jarurat hoti hai. Bina Search Engine ke aap kisi Website ko Open tak nahi kar sakte hai

Jaise maan lijiye apke pass kisi website ka link Facebook par ata hai. Tab aap us link par click karte hai. Aise mai facebook apko kisi na kisi search engine par hi redirect karta hai.

Jaise Google, Yahoo, Mozilla, Bing etc yeh sabhi Search engines hote hai. Google par jitni bhi websites hoti hai or use jis kisi Website par apna jada time spend karta hai. Google Watch time ke through un websites ko acha samjhta hai .

Ek Search engine par sabhi Website Index hoti hai. Jaise Google par sabhi Websites apko dekhne ko mil jati hai. Google ke Bots Google par crawl karte rehte hai. Bots aise Program hote hai. Jinhe kisi specific kaam ke liye bnaya jata hai or veh automatic apna kaam karte hai.

Bots Ethical hacking mai bhi hote hai Bots ka use Hackers bhi karte hai. Bots continue search engine par Crawl karte rehte hai or Website ko index karte rehte hai. Is tarah se google par sabhi websites index hoti hai or time to time update hoti rehti hai taki User un websites ko open kar sake.

SEO sikhne ke liye kya jruri hai ?

Sabse pahle apko SEO ke basics ke bare mai pata hona chahiye. Jaise Website kaise bnayi jati hai or Website ki theme ko SEO friendly kaise bnaya jata hai. Taki aap apni Website ko Google par rank karva sakte hai or sath hi apko apne Website par kuch pages ko bnana jaruri hota hai.

Jaise sitemap, About Us, Terms and Condition, Privacy Policy in sabhi pages ko bnana jaruri hota hai or sath hi Menu ko sahi tarah se bnana jaruri hai.

Jaise topic, Sub Topic, aap is ke liye drop Down menu ko bana sakte hai. Aap apni website ka SEO karne se pahle SEO Friendly theme ko sabse pahle design jarur karen.

Apko Search Engine ke bare mai pata hona chahiye. Search engine kis tarah se kaam karte hai Search Engine kis tarah se apki website ko index karte hai.

Aap Google analytics or Google Webmaster Tools ka use karke Search Engine ko apki Website ke bare mai bata sakte hai. Taki Google apki Website ko index kare taki Google searches mai apki Website ko bhi rank karvaya ja sake. Apko Google ke kaam karne ke algorithm ko samjhna jaruri hai. Algorithm ke bare mai apko Cryptography mai btaya gaya hai.

Yeh sikhne ke liye apko Keywords ke bare mai pata hona chahiye. Keywords apki Post ka veh single word hota hai. Jise search karne par Google apki Post ko dikhata hai.

Isliye apko Keyword Research karna ache se ana chahiye. Aap yeh sab kaam bina tools ka use karke nahi kar sakte hai. Keyword ko rank karvane ke liye apko bahut sari baton ka dhyan rakhna jaruri hota ha.i Jinke bare mai apko age btaya jayga.

On-page SEO

Apko On-page ke bare mai ache se pata hona jaruri hai. ON-Page mai apko bahut sari chijo par kam karna hota hai. Jaise Keyword Researching, Permalinks, Meta Description , Headings, Internal Linking, External Linking. inke bare mai apko age bata diya jayga.

Off-Page SEO

Off-page ki importance On-Page se kam hoti hai. Lekin yeh bhi jaruri hota hai. Kyoki dono milkar kaam karte hai. Isliye apko Off-page ke bare mai bhi pata hona jaruri hota hai. Jaise Guest Post, Backlinks etc.

Serp

Iska pura naam Search Engine result page hota hai. Jab Google par kuch bhi type karke search karte hai tab jo pages apko show hote hai. Unhe SERP kaha jata hai

Serp par do tarah ki lists ke hisab se Websites ko show kiya jata hai Organic and inorganic.

Organic Serp mai hum free mai apni website ko google ke pahle page par la sakte hai. Aisa karne ke liye apko SEO karna hota hai. Iski help se aap google ko bina paise diye hi apni Website ko google ke pahle page par la sakte hai.

Inorganic Serp mai apko Google ko paise dekar apni Website ko Google ke pahle page par lana hota hai. Ise koi fark nahi padta hai ki apki Website par Visitors kitne hai ya apki Website kis tarah ki hai ya phir kis topic par hai.

Aap Google ko paise dekar apni website ko pahle page par la sakte hai. Isme google apse PPC ke hisab se paise leta hai. Jise pay per click bhi kaha jata hai iske bare mai apko age bata diya jayga.

What is On-page SEO

Aap apni Website ko Google par rank karvane ke liye SEO mai karte hai. Veh On-page mai hota hai. Jaise apki Website ki theme SEO Friendly ho or Mobile Optimize honi chahiye.

Yeh sabhi On-Page mai hota hai. Keyword Research karna apko apke topic ke hisab se ek keyword select karna hota hai. Yeh On-page mai hota hai. Post title ko ache se define karna jis topic par aap post likhte hai usi se milta hua apko Post ka title rakhna hota hai

SEO

SEO Terms

Acha content likhna bahut jaruri hota hai. Aapko copy kiya hua content kabhi nahi likhna chahiye. Aap plagiarism checker ke through yeh dekh sakte hai ki apka likha hua content 100% unique hai ya nahi.

Agar apka Content unique hai tab aapki Website jarur rank hogi. Isliye kaha jata hai ki Content is a king Meta Description mai apko apke post ke bare mai thoda sa likhna jaruri hota hai. Taki Google ko yeh pata lag jaye ki apki Post kis topic par hai.

Page speed ka bhi apko dhyan rakhna jaruri hota hai. Kyoki aaj ke time mai kisi ko apna time kharab karna pasand nahi hota hai. Isliye jitni speed se apki website open hogi utna hi acha traffic apki website par ayga.

Agar aap High quality images ka use karte hai tab apki website ka page slow load hoga. Isliye apko jada high quality images ka use nahi karna chahiye. Internal linking or External Linking On-page mai ate hai . SEO karne se apko apki Website par organic Traffic milta hai.

Apko On-page ki sabhi terms ke bare mai btaya gya hai. Aap unhe jarur padhe agar aap bhi aisa karte hai tab apki website bhi google par rank hog

Apki website par bhi google ke through visitors jarur ayege. Apko sabhi terms ke bare mai dhyan se padhna hoga or unhe smjhna hoga tabhi aap apki website google par rank karva sakte hai

Post Title

Post Title ko ache se rakhna bahut jaruri hota hai. Jis bhi Keyword ko aap rank karva rahe hai. Veh keyword apki post ke title mai jarur hona chahiye . Apki Post ka title jada bada nahi hona chahiye

Jaise agar apki Post Networking par hai. Aise mai apka Title itna hi hona chahiye (What is networking and its Types) aapko apni Post ka title soch samjh kar hi rakhna chahiye. Tabhi apki post google par rank hogi.

Permalink

Permalink apke post ka link hota hai. Apko apke post ke link mai bhi keyword ka use jarur karna chahiye. Jis keyword par aap post ko rank karvana chahte hai.

Jaise(what is seo ) apko apni post ke hisab se permalink ko rakhna hota hai. Or Permalink mai is,am,are jaise words ka use kabhi nahi karna chahiye.

Meta Description

Aap jab post likhte hai tab post ka description bhi jarur likhe or apko Description is tarah se likhna hai ki user jab use padhta hai. Tab veh apki Post ko jarur padhe apko Description aisa kabhi nahi likhna hai. Jiska apki post se koi link hi nahi ho apki Post jis topic par hai.

Apko description bhi usi se related hi dena hota hai . Description dene se google ko bhi aap apni post ke bare mai btate hai ki apki Post kis topic par hai. Isliye meta description ka use jarur kare.

Keyword density

Apko post mai Keyword ka use sahi tarah se karna jaruri hai. Aap jis bhi topic par post likhte hai. Aap usi topic se related hi keyword ka use kare keyword planner tool ki help se aap keyword find kar sakte hai.

Keyword ko apki post mai kabhi jada use mat kare. Ise keyword stuffing kaha jata hai aisa karne se google apki post ko rank nahi deta hai .

Jaise maan lijiye apko Computer Hardware par post likhni hai or apka keyword hardware hai. Aise mai agar apki post ke words 2000 hote hai. Tab aap keyword ko 20-22 se jada kabhi use mat kare.

Vaise to keyword density 5% se kam hi honi chahiye. Lekin aap kabhi 2-3% se jada keyword density ka use mat kare tabhi apki post ko google achi rank dega

Keyword density ka matalb hota hai. Jaise maan lijiye apki post 2000 words ki hai tab agar aap 20 bar keyword ka use karte hai. Aise mai keyword density 2-3% hi rehti hai. ise nikalne ke formula hota hai.

Veh apko likh kar nahi btaya ja sakta. Hum apko idea de sakte hai 500 words mai keyword ko 5-6 bar hi use kare. Ise jada kabhi use mat kare aisa karne se apki post jarur rank hogi.

Note- Agar aap Keyword density 5% se jada rakhte hai tab yeh black hat seo mai ata hai. Jise google kabhi bhi rank nahi deta hai .

Headings

Apko apni Post mai Headings ka use jarur karna chahiye. Apko Topics ke hisab se Headings or sub headings ka use karna chahiye. Jaise H1 tag, H2 tag, H3 tag. Is tarah se apko sabhi headings ka use karna chahiye taki apki post ka SEO sahi tarah se kiya jaye

Image Optimization

Image Optimization mai do baton ka dhyan rakhna jaruri hota hai . Image ka size bhi kam hona chahiye taki page ko load hone mai jada time na lage or aapko images khud hi use karni chahiye ya phir aap edit karke images ka use kar sakte hai. Alt attribute ka use bhi jarur karen image mai alt attribute mai apko keyword ka use hmesha karna chahiye.

Internal Linking

Yeh karne se apki posts ki rank badhti hai. Aap ik post ko kisi dusri post ke sath link jarur karen. Jaise maine ki hui hai aap bhi aisa kar sakte hai. Aisa karne se apke visitors bhi badhte hai. Internal Linking veh hoti hai jaha hum apni hi website ki kisi ek post ko kisi dusri post ke sath link karte hai.

Jaise humne Whatsapp hacking ko Facebook hacking vali post ke sath link kiya hua hai . Aisa karne se agar apki ik post achi rank hoti hai. Tab usi post ke through baki ki posts bhi rank hone lagti hai. Aise mai user apki Post ke through apki hi kisi dusri post par bhi redirect ho sakte hai

Aap aisa bhi kar sakte hai. Jaise apne pahle kisi topic par post likhi hui hai or apki kisi dusre post mai bhi apko uske bare mai btana hota hai. Tab aap thoda sa bta kar Read More ke sath Internal Linking kar sakte hai.

External  Linking

External Linking mai aap apni Website ko kisi dusri website ke sath link kar dete hai. Jaise apni Website ko kisi dusri website ke sath link kiya hua hai. Taki agar user apki kisi website par jata hai tab use vaha apki dusri website ka link milta hai. Tab user us website par redirect ho jata hai.

Page Speed

Apko apki Website ki Page Speed par bhi pura dhyan dena hota hai. Kyoki jitna kam time apki Website ko load hone mai lagta hai. Utna hi apko Fayda hota hai. Isliye apko High quality images ka kbhi use nahi karna chahiye or apko hmesha light theme ka hi use karna chahiye.

Social Sharing

Aap apni post ko Social Media par jarur share karen. Kyoki Social Sites ki Ranking achi hoti hai. Apne kabhi na kabhi jarur dekha hoga ki apke pass m.facebook.com ke through visitor ata hai ya i.facebook.com ke through visitor ata hai.

Aisa isliye hota hai kyo ki google Social Media sites par bhi keywords ko find karta hai or Search result mai dikhta hai. Isliye apko apni post ko Social Media par jarur share karna chahiye.

Attach The Video

Apko apni Post se related video ko bhi apki Post mai jarur add karna chahiye. Aisa karne se apki video par bhi views ate hai or apke blog par bhi visitors ate hai.

Kyo ki yeh jaruri nahi hota hai ki sabhi ko likha hua hi padna pasand hota hai. Kuch log videos ko suna jada pasand karte hai. Isliye apko apni post mai Videos ko jarur add karna chahiye.

Bold Keyword

Aap apni post ko jis keyword ka use karke rank karvana chahte hai. Us keyword ko Bold jarur kare. Aisa karne se aap google ko ik tarah se inform karte hai ki aap kis Keyword par apni post ko rank karvana chahte hai. Apka keyword jitni bar bhi use hota hai use Bold jarur karen.

Post Length

Vaise to ek Normal Post ki length 1000 words ki hoti hai. Lekin agar aap chahte hai ki aap apni post ko Google ke pahle page par rank ho jaye tab apko apke competitors se jada words ki post likhni hoti hai.

Jaise maan lijiye apko SEO par post likhni hai or pahle se likhi hui Posts 2000 Words ki hai. Aise mai apko 2000 se jada words ki post likhni hoti hai. Tabhi apki Post google par Rank hoti hai.

Sitemap

Yeh aap apni Website mai jarur rakhe agar apki website mai sitemap submit hota hai. Aise mai google ko asani hoti hai. Apki website ke sabhi pages ko crawl karne mai jab bhi Google ke bots apki website ko crawl karte hai tab sabse pahle apki website ke sitemap ko hi find karte hai.

Kyoki sitemap mai apki website ke sabhi pages ke links hote hai. Isliye apko apki website ka sitemap jarur submit karna chahiye. Sitemap generator ka use karke aap apni Website ka Sitemap bna kar google mai submit kar sakte hai or Google ko permission dete hai ki veh apki Website ko crawl kare.

Off-Page SEO

Post ko Publish karne ke bad Rank Karvane ke liye jin tariko ka use kiya jata hai. Use Off-Page SEO kaha jata hai. Off-page mai search Engine Submission, Blog Comments, Guest Post, backlinks hote hai.

Off-Page ki itni importance nahi hoti hai jitni On-Page ki hoti hai. Lekin phir bhi kisi post ko Rank karvane ke liye Off-page ka use kiya jaata hai. Chaliye iske bare mai detail mai jante hai.

Search Engine Submission

Sabse pahle apko apni Website ko sabhi Search Engine mai submit karna hota hai. Jaise Google, Yahoo, Bing. apko jitne bhi search Engine ke bare mai pata hai.

Aap sabhi par apni website ko jarur submit karen. Aisa karne se search engines ko pata chal pata hai ki apki website bhi google par hai or sath hi apki website ko index kiya jata hai or traffic bhi badhta hai.

Social Media Sites

Apko apni post ko regular basis par social media par jarur share karna chahiye. Jaise facebook, instagram, whatsapp. Aap jaha chahe vaha apni post ko jarur share kare. Aisa karne se apki website par traffic badhta hai Yeh kaam karne ke liye aap buffer extension ka use kar sakte hai.

Guest Post

apko apki website ke topic se related Websites par Guest post bhi jarur karni chahiye. Aisa karne se apko dofollow ya nofollow link bhi milta hai or apki website par traffic bhi ata hai.

Dofollow backlink ki value jada mani jati hai. Isliye aap Guest post jarur karen aap google par search kar sakte hai. Apko bahut sari websites mil jayegi jo guest post karne ke liye allow karti hai.

Discussion sites

Aap question answer jaise websites par bhi jarur apni post ko share kare. Jaise quora ek bahut achi website hai is tarah ki or bhi bahut sari websites hai.

Aap kisi bhi website par apne topic se related question ko search karke vaha answer post kar sakte hai. Sath hi apki post ka link bhi de sakte hai.

Aisa karne se apki website par traffic bhi ata hai. Or apko ek backlink bhi mil jata hai. Isliye aap Discussion sites ka jarur use karen.

Backlinks

Jab apki website par ane ka rasta kisi dusri website ke through ban jata hai. Us raste ko backlink kaha jata hai. Jaise apki do websites hai or app apni dono websites ko ik dusre se link karte hai.

Aise mai apki dono websites ka backlink ban jata hai. Apko Backlink bnane ke liye guest post ka use karna hota hai. Aap jadatar dofollow backlinks ko hi bnaye do tarah ke backlinks hote hai.

Dofollow or nofollow google dofollow backlinks ko jada priroty deta hai. Isliye apko hamesha dofollow backlinks hi bnane chahiye. Dofollow backlinks ko google bhi acha samjhta hai. Or apki website ko searches mai lata hai

Comments Blog

Aap apni website ko kisi dusre ki website par comment karke bhi backlinks ki bana sakte hai. Apne kabhi na kabhi jarur dekha hoga. Jab aap kisi post ko padte hai. Aise mai vaha comment box mai website ka option bhi diya gaya hota hai.

Aap bhi vaha apni website ka link de sakte hai. Aisa karne se apki website par traffic bhi badhta hai or sath hi backlink bhi ban jata hai. Lekin apko yeh bat dhyan mai rakhni chahiye.

Apki post se related post par hi aap apni website ka link de tabhi apko organic traffic milta hai. Jaise apki Post SEO par hai tab aise mai aap SEO ki hi post par comment kare.

The Conclusion

Main umeed karta hu ki apko SEO ke bare mai ache se pata chal gaya hoga. Apko yeh bhi pata chal gaya hoga ki kisi bhi Website ke liye SEO kitna important hota hai.

Main umeed karta hu ki apko apke sabhi question ke ans mil gaye hoge hum jante hai ki SEO mai abhi kafi kuch hai. Apko ane vali Posts mai sab kuch ache se samjha diya jayga.

Agar apka ise related ya kisi bhi tarah ka koi Question hai tab aap Comment box mai puch sakte hai. Post ko sabse pahle dekhne ke liye humare blog ko jarur subscribe karen. Agar apko meri yeh post achi lagti hai tab aap ise share jarur karen.

Thankyou

1 Comment

Leave a Reply

Your email address will not be published.


*