About Us

Yeh sab aap ek bar jarur padh le apko acha lagega or motivation bhi milega.

Hello Dosto Mai yaha apko apne bare mai bata raha hu. Main kon hu kaha rehta hu kya kaam karta hu. Mai kaise yeh sab sikh paya . Kitna time laga mujhe yeh sab sikhne mai. Yeh sab aapko yaha bata raha hu.

Yeh apko isliye bata raha hu kyoki mai janta hu ki bahut sare log aise hote hai. Jo life mai kuch karna chahte hai or bar bar fail hone ki vajah se tut jate hai.

Yaha mai apko apni life ke bare mai sab kuch bata raha hu. Main umeed karta hu ki apko yeh sab jaan kar acha lagega apko motivation milega.

Mera naam nikhil mehta hai. Meri age 25 hai. Mai sirsa haryana se hu jo shehr hai aap jante honge. Sirsa mai It field ki itni knowledge nahi hai or na hi log jante hai.

Aap is website ke menu mai jitni bhii chije dekhte hai veh sabhi maine sikhi hai. Or sabhi janta hu mai ache se or yeh sab mujhe kisi ne sikhaya nahi hai. Jaise jaise aap ise age padege aap samjhte jayege.

Mai IT Field mai sirf apne interest ki vajah se hu . Main akela hu meri koi team nahi hai. Aap jitne bhi articles padte hai mai khud hi likhta hu sabhi.

Aisa nahi hai ki mai kisi se articles likhva nahi sakta hu ya phir mujhe kisi tarah ki jobs ya business ke offers nahi mile hai sab mila. Lekin maine sabhi jobs ko reject kiya hai.

Apko yakeen nahi hoga shayd aaj se 7 saal pahle maine It Filed mai starting ki thi . Sabse pahle main DTP sikha tha jisme adobe photoshop, Corel Draw, Pagemaker tha.

DTP sikhne ke baad mujhe Autocad mai interest hua phir maine Autocad 2d or 3d dono sikha. Yeh sab karne ke baad maine Government ka one year diploma kiya jise hum ADCA ke naam se jante hai.

Yeh sab jab sikh raha tha tab mai Bcom mai tha lekin mai college nahi jata tha. Kyoki mera interest Computers mai tha . Rat bhar jagta tha sota nahi tha sirf sikhne ke liye.

Yeh sab karne ke baad maine C sharp sikhna chaha. jise asp.net or vb.net bhi kehte hai. Vaha mujhe kisi ne kaha ki mujhe C se starting karni chahiye. Phir maine C sharp ko chor diya or C se starting ki.

Maine kabhi bhi koi course ko Certificate ya job lene ke liye nahi kiya hai. Yaha mere pass Global Certficates bhi hai or India ke kuch famous institutes ke bhi certificates hai.

Lekin veh sab mere ghar hai mai apne ghar se dur Ludhiana Punjab mai hu is time. Iske baad maine C sikhi kisi sir ke ghar par, Vahi maine c++ sikhi, Vahi maine Java sikhi.

Yaha tak sab sikhne ke baad mujhe sirsa city mai kuch jada courses nahi mile. Vaha aaj bhi Networking, CCNA, Ethical Hacking, Digital Marketing jaise institutes nahi hai.

Apni graduate kisi tarah puri karne ke baad maine sirsa chor diya or 4 saal se mai bhr hu sabse pahle mai gurgaon gya jiska naam gurugram ho gya hai.

Vaha maine Hardware and Networking, Ethical Hacking, Or PHP sikha Guragon se mai daily Delhi jaya karta tha vaha mai 1 saal tak raha apne sabhi courses pure hone ke baad.

Main apne ghar chala gya lekin mai abhi bhi satisfy nahi tha. Kyoki ghar se niklne se pahle maine yeh socha tha ki mai sab kuch sikhuga. Lekin dhire dhire samjh ane laga ki Computer line mai itna kuch hai ki sab kuch nahi sikha ja sakta hai.

Main Gurgaon se ane ke baad lagbhag 1 saal tak apne ghar par raha hu. Kyoki Institutes par sikhne ke baad mai itna smajh gya tha ki vaha sirf utna btaya jata hai jitna bta kar apki job replacement karvai jaye.

Ghar par ek saal raha tab maine kuch Time Govt College mai job bhi ki lekin job mai jakr mai apni filed se alag ho gya tha or 3 hi month mai job chor di.

Mai apne passion ko kabhi nahi chorna chahta tha. Ghar par rehkar maine apni knowledge ko share karne ke liye Youtube channel khola jo aapko yaha link bhi milta hai. Tech tuts name

Vaha mai hacking ke practical videos upload karta tha. Lekin jaise sabke sath hota hai Community guidelines ki strike do ayi or meri uploading band ho gyi.

Tab mujhe bhi feel hua failiure jaisa. Lekin mai ruka nahi apne ghar par wifi lagvaya or Aj ke time mai jitne bhi courses hai veh sabhi Youtube Google se uthaye.

Rat bhar puri puri playlists ko download laga kar rakha or din mai study ki. Uske baad mujhe CEH, CHFI , OSCP, CCNA, MCSA yeh sab ke exam crack karna chaha.

Maine ek saal tak rat bhar din mai jagkar apni nind ko kaam karke sabhi ki ek sath tyri ki or ek saal ke baad maine exam diye or sabhi global certificates liye. Yeh sab apko yakeen nahi hota to jaise hi ghar jauga apko yahi upload karke show kar duga.

Yeh sab karne ke baad bhi mujhe satisfaction nahi mila phir jaise ki hume pata hai india mai sabse jada IT Sector banglore mai hai. Mai bhi vahi chala gya vaha ek aisi jagah hai.

Yaha naam nahi luga vaha apko aise aise IT Ke Professional milte hai jo kahi nahi milte hai. Vaha lagbhag ek saal tak mai raha. Vaha Security related chije sikhi, Vahi maine Android sikha.

Vaha maine aisi aisi chijo ke bare mai pada jo maine kabhi nahi suni thi vaha ek saal rehne ke baad mujhe Jobs ke offers mile lekin maine mana kar diya. Kyoki job karna mera goal kabhi tha hi nahi.

Yeh sab karne ke baad apne ghar par maine blogging start ki Youtube ne allow nahi kiya to maine blogger par apni free website create ki yeh site bnana maine khud sikha.

Blogger par site bnane ke baad ek rule hai apko adsense approval 5,6 months tak nahi mil pata hai. Jaise ki hume pata hai itna time mehnat karne ke baad koi bhi demotivate ho jata hai.

Main bhi aise hi hua. Phir maine books motivational books ko padna start kiya vaha maine sabr karna sikha har chij ke liye patience sikh liya.

Uske baad maine dubara se blogger par website bnayi dubara mere sath vhi hua mai proper hindi mai articles likhta tha to log mere articles ko copy karke English mai translate karke apni website par upload karne lage.

Mai yaha kisi ka nam nahi le raha hu lekin yeh sab maine face kiya. Mujhe bhi bura laga maine itni mehnat se articles likhe or kaise koi copy kar sakta hai.

Uske baad maine yeh website bnayi. yaha maine proper hindi mai koi article isliye nahi likha kyu ki vo dubara translation na ho. Yeh sab translate nahi hoga isliye mera article copy karke koi convert nahi kar sakta hai.

Yaha maine apni is website ko 10 din mai adsense se approve karva liya. Meri is website par 80+ articles hai. or sabhi maine khud likhe hai maine ek word bhi kahi se copy paste nahi kiya.

Main aaj repairing ka kaam karta hu. Lcd/Led, Laptop, printer, MotherBoard, UPS, Projector yeh sab. Mai aaj bhi apne ghar se bahar hu. Sirf sikhne ke liye.

Main apne articles kabhi kisi se isliye nahi likhvata hu kyoki jise likhvauga vo apne hisab se likhega . Mai apne hisab se apne experience ke hisab se articles ko likhta hu.

Yeh website maine isliye bnayi hai kyu ki mai janta hu har koi paid courses afford nahi kar sakta hai. India mai 70-80% log aise hai jo sikhna chahte hai lekin kisi institute ki fees ko afford nahi kar sakte hai.

Lekin mai apko yaha kisi tarah ki Certificate to provide nahi kar sakta hu abhi but apko itni knowledge de sakta hai. Jo aap kisi institute par lakho rs kharch karne par milegi.

Agar future mai kabhi maine apni kisi bhi tarha ki branch kholi to mai apko Certificates bhi free mai provide karvauga.

last mai apse ek baat jarur kehna chahuga . fail aap bahut bar honge lekin fail ek full form hai jo maine suni hai ik video mai fail- (fir auga isme likhle) aisa hi mai hu chahe kitni bhi bar fail kyo na ho jau kuch der ke liye demotivate hota hu lekin dubara try karta hu.

Yahi hu mai main akela hu koi team nahi hai 7 Saal se is field mai hu or apni puri knowledge apko free mai dunga bas aap support karen. Or is website ko un logo tak phchaye jo sikhna chahte hai lekin paise nahi de sakte hai.

Thankyou.