How to use Burp Suite in Hindi ?

Is article mai hum apko What is Burp Suite, How to use Burp Suite. Yeh kyu use kiya jata hai. Ise kaise Configure kiya jata hai. Yeh sab ke bare mai apko btaya ja raha hai.

Hum yaha apko Burp suite ke bare mai parctically bata rahe hai. Kyoki ane vale articles mai apko website hacking ke articles provide kiye jayege. Isliye aapko sabse pahle Burp Suite ke bare mai jana jaruri hai.

Yaha hum apko Burp Suite ka crack version bhi provide karva rahe hai. Aap iska use kisi bhi tarah ki illegal hacking ke liye kabhi mat karen. Aap crack version kahi se bhi download kar sakte hai.

Burp Suite Kali Linux mai apko inbuilt hi milta hai. Lekin veh free edition hota hai. Yaha hum apko Windows mai configure karke bata rahe hai.

Note – This article is only for educational Purpose. Don’t miss use your Knowledge and skills.

What is Burp Suite ?

Sabse pahle yeh jante hai ki Burp Suite kya hai. Yeh ek software hai or yeh agar aapko ache se ata hai tab aap Bug bounty bahut ache se kar sakte hai.

Yaha Burp Suite mai bahut sare features hai . Jaise spider, intruder, Repeater , Proxy , decoder or bhi bahut kuch. Sabhi ke bare mai yaha aise bata pana possible nahi hai.

Hum apko jaise jaise iska use hota jayga vaise hi apko ane vale articles mai sabhi ke bare mai apko detail mai bata diya jayga. Agar aap Burp Suite ko ache se sikhte hai tab aapko bahut fayda hota hai.

Meri najar mai Burp Suite sabse best software hai. Jise website penetration testing mai bahut use kiya jata hai. Yaha aap iske bare mai jitni knowledge gain kar sakte hai jarur karen.

Yaha bhi apko Burp Suite ke bare mai bahut sari Knowledge apko mil jayegi. Lekin aap iski jitni practice karege apki skills utni hi badhti jati hai.

How to use Burp Suite with firefox ?

Chaliye ab hum apko Burp Suite ko use karne ke bare mai btate hai. Vaise to jadatar sabhi ko iska use karna ata hai. Lekin jinhe iske bare mai nahi pata hai un ke liye isko install karna btaya ja raha hai.

Yaha hum jis version ka use kar rahe hai. Uska Download link apko mil jayga. Sabse pahle Burp loader ko run karna hoga. Kuch is tarah.

Burp Suite

Yaha apko do files milti hai Burp loader ko run karna hoga. Yeh use karne ke liye java ka install hona jaruri hota hai. Main apko kuch files btauga ane vale article mai jo apke Windows mai install hmesha honi chahiye.

Yaha run par aap jab click karte hai Burp suite start ho jata hai. Apko yaha thoda sa wait karna hoga. Aap yaha license key ke option par pahuch jayege.

Yeh sab karne ke baad apko burp loader se key ko copy karke paste karna hoga. Next par click karne ke baad apke samne kuch is tarah se option show hote hai.

Burp Suite

Yaha apko Manual activation par click karna hoga. Aap jaise hi manual activation par click karte hai. Apke samne kuch is tarah option hote hai.

Burp Suite

Yaha apko Copy request ko copy karke activation request mai paste karna hota hai. sath hi apko activation response se copy karke paste response mai paste karna hoga. Yeh sab karne ke baad apka Burpsuit open ho jayga.

Burp Suite

Apke samne yeh software kuch is tarah se open hoga . Yeh sab karne ke baad apko ise Firefox ke sath Configure karna hota hai.

Download Link

How to Configure with Firefox ?

Sabse pahle apko Firefox ko open karna hoga. Apko options mai jakar Network settings mai jana hota hai. Yeh apko options mai last mai mil jati hai.

Yaha Network settings mai jakar apko localhost ki ip address or port number set karna hota hai. Kuch is tarah se aap ise kar sakte hai. Yaha apko is image mai btaya gaya hai.

Burp Suite

Yaha Network setting karne ke baad aap ok par click karde. Yeh sab karne ke baad apko Burp suite ka certificate install karna hota hai. Apko Browser mai type karna hoga (burp:8080) kuch is tarah.

Yaha aap CA Certificate dekh sakte hai. Apko yaha click karke Burp suite ka certificate ko install karna hoga. Yeh Certificate apko option mai jakar Privacy & security ke option mai milta hai.

Burp Suite

Yaha apko View Certificates par click karna hoga. Yaha apko download kiye gaye certificate ko import karna hota hai.

Apko Import karne ke baad apka Burp suite Firefox ke sath working ke liye ready hota hai. Yeh sab setting karne ke baad aap Firefox par kisi bhi tarah ki website ko open karte hai.

Apki request Burp Suite se hokar jati hai. Yeh software sab kuch capture karta hai. Yaha apko Burp suite mai Proxy ke option mai jakar intercept ko on off karna hota hai.

Yeh jab aap iska use karte hai aap khud hi samjh jayege ki off karne par request milti hai ya on karne par. Mai apko strongly recommended karta hu. Aap is par jarur practice karen.

The Conclusion

Main umeed karta hu ki apko Burp Suite ke bare mai pata chal gaya hoga. Hum jaise jaise is par practical late rahenege apko iske sabhi Functions ke bare mai bata diya jayga.

Aap is software ka use jarur karen. Hackers iski help se badi badi websites mai bhi bugs find karte hai. Jaise Facebook, Youtube. Yeh sab apki practice or apki skills par depend karta hai.

Aap is software ki help se apni skills ko bahut badha sakte hai. Starting mai apko jarur thodi problem face hoti hai. Lekin agar aap ek bar iska use karna sikh jate hai. Aap Bug bounty bhi kar skate hai.

Vaise to bahut sare Software hai website penetration testing ke liye lekin yeh bahut hi acha software hai aap iski jitni practice kar sakte hai jarur karen.

Agar apka kisi bhi tarah ka koi question hai aap comment mai puch sakte hai. Humari taraf se apki puri help ki jayegi. Agar apko yeh post achi lage ise share jarur karen.

Thankyou

Leave a Reply

Your email address will not be published.


*