How to do Some WordPress Settings ?

Is article mai hum apko WordPress settings ke bare mai bata rahe hai. Yaha hum apko WordPress settings detail mai bata denge.

Agar apne humara pahle ka article abhi nahi dekha hai to aap sabse pahle veh dekh le. Vaha humne WordPress ko install karna btaya hai. Veh article dekhne ke baad WordPress settings ko aap kar sakte hai.

Yaha hum apko WordPress ki kuch basic settings jo jaruri hai karni hai veh bata rahe hai. Sath hi hum apko sabhi settings ke bare mai bata denge. Hum yeh maan kar chalte hai ki apne WordPress install kiya hai.

How to create a WordPress Website ?

WordPress Settings ?

Sabse pahle apko WordPress Settings mai jakr General ka option milta hai. Kuch is tarah se apko show hota hai.

Yaha aap kuch basic Settings dekh sakte hai. Yaha aap apni Website ka name change kar sakte hai. Site url or WordPress url ka use hum tab karte hai jab hume apni website ko live lana hota hai.

Yaha domain fill kiya jata hai. Iske baad Administration Email Address hota hai. Membership mai aap yeh decide kar sakte hai ki apki website par kin kin persons ko allow kiya jayga.

Yaha aap Site language decide kar sakte hai. Sath hi aap Timezone or Time format ko bhi apne hisab se kar sakte hai. Yeh timing apke published kiye article par show hota hai. Kuch is tarah.

WordPress Settings

Yeh sab karne ke baad aap Save changes par click kar sakte hai. Iske baad Writing ki settings ati hai. Veh aap by default rakh sakte hai. Yaha hum apko bata rahe hai.

Yeh WordPress settings ka use aap tab kar sakte hai jab apko apni website par mail ke through kisi tarah ka article post karna hota hai. Yaha aap category ko select kar sakte hai.

Aisa karne se jab aap apna article email ke through post karte hai. Veh article apki usi category mai hi publish hota hai.

Iske baad WordPress ki Reading Settings ati hai. Jo kuch is tarah hoti hai. Yeh sab basic settings hai. Hum apko bata denge jo aap ke liye karni jaruri hoti hai.

WordPress Settings

Yaha Reading ki WordPress settings mai aap Homepage ko static kar sakte hai. Jaise jab koi apki website ko open kare tab use ek hi page show hoga apki latest post ki jagah.

Aap yah yeh bhi decide kar sakte hai ik page par apki kitni posts show honi chahiye. Sath hi aap Full Text or summary ko bhi set kar sakte hai.

Aisa karne se aap jo article publish karte hai veh full show hoga ya Readmore ka option hoga. Search engine Visibility ko aap kabhi click mat karen.

Aisa karne se aap Search Engine ko mana karte hai ki veh apki website ko Index mat kare. Google ke Crawlers aise apki website par nahi ate hai.

WordPress Settings

Yaha aap Discussion settings mai comments ki setting kar sakte hai. Jaise Pingback comment ko allow karna hai ya nahi. Pingback comment veh hote hai jaha aap apne kisi ek article ko kisi dusre article ke sath link karte hai.

Yaha aap Comment kon kon kar sakta hai yeh bhi decide kar sakte hai. Sath hi comment karne vale ko kis kis tarah ki information fill karna jaruri hai yeh bhi bata sakte hai.

Comment karne vala apne comment mai kitne links ko add kar sakta hai yeh bhi set kar sakte hai. Comments ko blocklist karna bhi yaha kar sakte hai or bhi kafi settings hai sabhi ko bataya nahi ja sakta hai. Aap yaha padh kar use check kar sakte hai.

Yaha iske baad WordPress ki Media Settings ati hai. yaha aap Thumbnail ka size, Medium size or large size ko apne hisab se decide kar sakte hai. Aap chahe to app ise by default bhi rakh sakte hai.

Iske baad WordPress ki Permalink ki settings ati hai. Yeh Important hai aap ise jarur set karle. Yeh kuch is tarah se show hoti hai.

WordPress Settings

Yaha apko by default Day and name par milta hai. Yaha aap post name par check karke ise save kar sakte hai. Aisa karne se aapke artciles ke url SEO Friendly hota hai.

Jaise aap humare sabhi articles ke url ko dekh sakte hai. Chahe veh Facebook hacking ho ya Spamming ho sabhi ke url par apko date nahi milti hai.

Aisa aap yaha se set kar sakte hai. Aap bhi Permalink ki setting mai jakar post name par hi ise set karke save karden. Aisa karne se aap jab bhi koi article publish karte hai apka title hi apka url ban jata hai.

Humne apko WordPress settings ke bare mai bata diya hai. Yeh sabhi basic settings hai jo kisi bhi WordPress website ke liye jaruri hoti hai.

Humne apko yeh bhi bata diya hai konsi settings ko karna jaruri hota hai or kis settings ko aap by default rakh sakte hai. Yeh sabhi basic settings hai. Aap ise WordPress Install karne ke baad jarur karle.

The Conclusion

Main umeed karta hu ki apko WordPress settings ke bare mai pata chal gaya hoga. Hum apko next article mai themes ke bare mai bata denge.

Sath hi apko yeh bhi bata diya jayga aapko kaisi themes ko select karna chahiye taki apki website ko ranking mil sake. Yeh sab SEO karne ke liye jaruri hota hai.

Hum apko ane vale articles mai sab kuch bat denge. Hum apko free themes ki help se hi ek achi website banana sikha denge. Kyoki hum jante hai. Themes ka price jada hota hai.

Sabhi starting mai free themes ka hi use karna chahte hai. Kyoki starting mai sabhi paid themes ko afford nahi kar sakte hai. Main bhi aap hi ki tarah hu jisne 5 Month pahle hi apni website ko bnaya hai.

Maine apne bare mai about us page par btaya hua hai. Main umeed karta hu ki apko padh kar thoda motivation milega. Maine bhi apki tarah bahut problems ko face kiya hai.

Agar apka kisi bhi tarah ka hacking Website aap menu mai dekh sakte hai aap kisi bhi tarah ka question puch sakte hai. Humari taraf se apki puri help ki jayegi.

Agar apko humare yeh articles ache lag rahe hai tab inhe share jarur karen. Humare articles sabse pahle padne ke liye aap blog ko subscribe kar sakte hai.

Sharing is caring

Thankyou

1 Comment

Leave a Reply

Your email address will not be published.


*