How to Hack WIFI Using BruteForce attack ?

Is article mai hum apko WIFI Hacking ka ek method ke bare mai bata rahe hai. BruteForce attack ke bare mai apne bhi kabhi na kabhi jarur suna hoga.

Yaha hum apko detail mai bata rahe hai. Kaise Bruteforce attack ka use karke wifi hack kiya jata hai. Kyo BruteForce attack karne mai time lagta hai. Apke sabhi questions ka answer apko yaha mil jayga.

Jaise ki hum sabhi jante hai WIFI Hacking karke jadatar log sirf free wifi hi use karna chahte hai. Lekin Hackers Wifi hacking ko free Wifi ke liye nahi karte hai. Yaha apko Bruteforce attack Practically btaya ja raha hai.

Hackers BruteForce attack se Wifi hack karte hai or bhi methods hai jinke bare mai apko age bata diya jayga. Kisi bhi Wifi ko hack karke hackers apne hacking attacks ko anjam dete hai.

Jaise Facebook Hacking, MITM Attack, DNS Spoofing attack, Same Network mai rehkar kisi Device ko remotely access karna, Trojan ya kisi tarah ka payload Network mai felana.

Note- This Article is only for educational Purpose. Don,t miss use your Knowledge and skills.

What is BruteForce Attack ?

BruteForce attack ke bare mai vaise to sabhi ko pata hi hota hai. Iske bare mai apko pahle bhi btaya gaya hai. Yaha hum apko BruteForce attack ki importance samjhane ki koshish kar rahe hai.

Jaise ki hum jante hai BruteForce attack mai gpasswords ki ek list ko ready karta hai or apne target par is attack ko perform karta hai. Agar password list mai mil jata hai tabhi yeh attack successful hota hai.

BruteForce attack ke liye jadatar Google se kisi tarah ki password ki list ko download karke yeh attack kiya jata hai. Lekin Hackers is attack ko bhi alag tarah se karte hai.

Jaise Hackers apne target se related hi Password ki list ka use karte hai. Wifi Hack karna hai to aise mai Wifi Hacking ki password ki list, Website hacking karni hai to aise mai targeted website ke words ki password list.

Kuch isi tarah se Social accounts ko hack karna hai to victim se related password list jaise Victim name, DOB, Uske is tarah se BruteForce attack ko strongly kiya jata hai.

BruteForce attack ka Wifi Hacking mai bahut use kiya jata hai. Hum jante hai yeh method kabhi kabhi jada time leta hai. Lekin yeh apke processor ki speed par depend karta hai.

Ethical Hacking ki field mai patience ka hona bahut jaruri hota hai. Hackers kisi bhi attack ke liye bahut wait bhi karte hai. Chahe veh Website Hacking ho ya Facebook hacking.

How to Hack WIFI( BruteForce Method) ?

Chaliye ab apko BruteForce attack ka practical ke bare mai btate hai. BruteForce attack ke liye bahut sare tools available hai. Yaha hum Wifite ka use kar rahe hai.

Yeh tool apko github par easily mil jata hai. Sabse pahle apko git clone https://github.com/kimocoder/wifite2 is tarah se is tool ko install karna hota hai.

Yeh sab karne ke baad kuch basic command run karni hoti hai. Jaise pip3 install -p requirements.txt yeh sab apko yaha nahi btaya ja raha hai. Yeh sab pahle hi apko btaya gaya hai.

Kuch is tarah se Bruteforce attack karne ke liye Wifite tool ko use kiya jata hai. Yeh tool sabhi work khud hi automatic hi karta hai. Jaise Handshake capture karna, Death authentication send karna.

BruteForce

Yeh kuch is tarah se apko wifi network show karta hai. Jis bhi Wifi network ko hack karna chahte hai bas use select karna hota hai. Is tarah se BruteForce work karta hai.

BruteForce

Yeh tool apne aap hi handshake ko capture bhi karta hai. Sath hi Bruteforce attack bhi karta hai. Aap upar image mai dekh sakte hai. Handshake kya hota hai apko pahle ke articles mai btaya gaya hai.

Password ki list apko bydefault Wifite tool mai milti hai. Aap agar chahte hai to uski jagah apni password list bhi use kar sakte hai. Password ki list mai or passwords add bhi kar sakte hai, Sath hi password list apni bhi use kar sakte hai.

BruteForce

(Sudo airmon-ng stop wlan0mon) yeh command ke through monitor mode ko off kiya jata hai. Agar aap ise off nahi karte hai aise mai apko WifI network show nahi hote hai.

Apko Github par Wifite name se bahut sare tools mil jayge. Humne apko upar link diya hai aap uska use kar sakte hai.

The Conclusion

Main umeed karta hu ki apko BruteForce attack ke bare mai pata chal gaya hoga. Apko Wifite naam ke bahut sare tools mil jate hai. Lekin apko upar link diya gaya hai aap uska use kar sakte hai.

Aap Yeh attack live Kali Linux chlakr bhi kar sakte hai. Agar aap virtual box ya vmware mai iska use karna chahte hai to apko External Wifi adapter ki jarurt hoti hai.

Bruteforce attack ka use wifi hacking mai bahut jada kiya jata hai. Aise hi Dictionary attack ka bhi use kiya ja sakta hai. Dictionary attack mai dictionary ke sabhi words ki list ka use kiya jata hai.

Jadatar sabhi BruteForce attack ke bare itna jante hai ki password ki list ka use hota hai or time bahut lagta hai. Lekin hum apko yeh btana chahte hai ki aise Social accounts bhi hai jinhe BruteForce attack se hack kiya gaya hai.

Aap google par inke bare mai padh bhi sakte hai. Yeh attack bhi bahut kaam ka hota hai agar ise sahi dhang se kiya jata hai. Hackers sabhi tarah ke attacks ka sahi use karna jante hai.

Agar apko iska use karne mai kisi bhi tarah ki koi problem hoti hai. Aap humse comment mai puch sakte hai. Humari taraf se apki puri help ki jayegi.

Agar apko yeh article acha lagta hai to ise share jarur karen. Yeh wifi hacking ka apko ek method btaya gaya hai age apko or bhi bata diye jayenge.

Humare articles ko sabse pahle padne ke liye humare blog ko subscribe jarur karen. Agar aap mere bare mai jana chahte hai to about us page mai jaan sakte hai.

Sharing is Caring

Thankyou.

Be the first to comment

Leave a Reply

Your email address will not be published.


*