Is article mai hum apko Information gathering tool ke bare mai bata rahe hai. Yeh Sabhi Information gathering tool apko Kali Linux or parrot os mai pahle se install milte hai.
Yaha apko inke bare mai pahle theory isliye btaya ja raha hai. Kyoki age apko inhi tools ka use kiya jayga. Yeh sabhi Information gathering tool hote hai.
Information gathering karna kyu important hai apko footprinting ke article mai pahle bata diya gaya hai. Agar aap Footprinting ache se karte hai to Hacking success ful hone ke chances badh jate hai.
Yaha hum apko sabhi ke bare mai basic information de rahe hai. Age apko inhi ka use practically bhi bata diya jayga. Website Hacking, system Hacking mai inka use kiya jata hai.
Note- This article is only for educational purpose. Don,t miss use your knowledge and skills.
Information gathering tools
Yaha hum apko kuch Information gathering tool ke bare mai bata rahe hai. Yeh sabhi ka use karna bahut hi easy hota hai. Lekin yeh sab useful hota hai isliye apko btaya ja raha hai.
Hackers kisi bhi tarah ki hacking ko karne se pahle apne target ki information ko collect karte hai. Jaise Password Wordlist create karne ke liye bhi information collect ki jati hai.
Yeh sab apko educational purpose ke liye btaya ja raha hai. Aap inka miss use kabhi mat karen. Information gathering tool Ethical Hackers or Black Hat hackers dono hi karte hai.
Hum apko yaha jitne bhi Information gathering tool ke bare mai bata rahe hai. Yeh sabhi ka use apko age practicals mai bataya jayga. Aap bas inka miss use kabhi mat karna.
Dmitry
Dmitry ek Information gathering tool hai jiska use Hackers kisi domain ke IP Address ko open ports ko pata karne ke liye karte hai. Yeh tool apko pahle se hi install milta hai.
Yeh tool subdomains, emails, Ports ki information gathering karne ke liye use kiya jata hai. Aap inka use kar sakte hai. Dmitry ki help mai sab kuch btaya gaya hai.
SPARTA
Sparta ek Information gathering tool hai yeh apko pahle se hi install milta hai. Yeh tool bahut sare tools ka use ek sath karta hai. Jaise Bruteforce attack , Nmap.
Yeh tool apko target ki bahut tarah ki information collect karke deta hai. Jaise ports, Services, IP Address Information. SPARTA ki help se windows pc ko bhi remotely hack kiya ja skata hai.
Yeh sab apko age bata diya jayga. Kis tarah se open ports ki help se Devices ko remotely access kiya jata hai. Sparta bahut acha Information gathering tool hai.
Recon-ng
Recon-ng ka use bahut ache se hackers kar sakte hai. Yeh ek advanced Information gathering tool hai. Yeh tool ki help se Hackers bahut tarah ki information collect kar sakte hai.
Yaha is tool ke advanced features use karne ke liye api key ki jarurt hoti hai. Yeh keys kaise use ki jati hai kaise inhe add kiya jata hai. Yeh sab apko age bata diya jayga.
Nmap
Nmap ke bare mai apne bahut suna hoga or jadatar sabhi iske bare mai jante bhi hai. Yeh tool ka use open ports, IP Address , Services ki information collect karne ke liye kiya jata hai.
Yeh tool apko Graphical mode or command mode dono mai mil jata hai. Aap agar Information gathering tool ka use karna ache se samjh jate hai to apke Hacking attacks success hone ke chance badh jate hai.
Netdiscover
Netdiscover ek Information gathering tool hai jo apko pahle se hi install milta hai. Yeh tool ki help se bahut tarah ki information ko collect kiya ja sakta hai.
Jaise IP address rang, Files scan , Mac address scan yeh sabhi ke practical apko age dekhne ko mil jayege. Apko yaha sabhi tools ka proper use bata diya jayga.
P0F
P0F bhi ek Information gathering tool hai inme se kuch tools ka use karna to bahut easy hai. Lekin kuch tools ka use advance level par kiya jata hai. P0F ka use bhi aap kar sakte hai.
Yaha apko sabhi tools mai kuch chije common milti hai. Jaise port scanning lekin apko sabhi ke bare mai isliye btaya ja raha hai. Kyoki har bar ek hi tool aap ke liye useful nahi hota hai.
IKE-SCAN
Yeh tool ka bhi use Information Gathering mai kiya jata hai. Yaha IKE ka matlab hai Internet key Exchange yeh kya hai iska use kyu kiya jata hai yeh sab apko age bata diya jayga.
Yaha apko tool ke bare mai basic btaya ja raha hai age apko sabhi tools ka use proper bata diya jayga. Maltego ka bhi use Information Gathering mai kiya jata hai. Yeh apko pahle bata diya gaya hai.
IKE server ka use websites karti hai yeh sabhi ki information collect karne ke liye IKE-SCAN ka use kiya jata hai. Yeh apko age bataya jayga.
The Conclusion
Main umeed karta hu ki apko yeh sabhi Information gathering tool pasand ayege or aap inka use jarur karenege. Hum apko ek baat clear karden. Kisi bhi target ki information ko collect karna jaruri hota hai.
Aisa nahi hai ki Information gathering tool bas itne hi hote hai aise bahut sare tools hote hai. Kabhi kabhi yeh tools bhi kaam nahi ate hai aise mai kya karna chahiye yeh sab bhi apko age bata diya jayga.
Yaha apko kisi tarah ki illegal hacking ke bare mai nahi btaya ja raha hai. Hum apko yaha Ethical Hacking ke bare mai bata rahe hai. Yeh sab apki knowledge ko bdhane ke liye btaya gaya hai.
Hum jante hai jadatar sabhi log facebook hacking, whatsapp hacking, Wifi Hacking tak hi jana chahte hai. Lekin agar aap Ethical Hacking ki filed mai deeply ate hai tab aap yeh sab bhi kar sakte hai.
Ethical Hacking ko sikhne ke liye agar aap serious hote hai tabhi aap kisi bhi tarah ki Hacking ko kar sakte hai. Isliye aap Ethical Hacking ki filed ko facebook ya whatsapp hack karne ke maksad se select mat karen.
Agar apko yeh article acha lagta hai to ise share jarur karen. Humare articles ko sabse pahle padne ke liye blog ko subscribe jarur karen. Aap mere bare mai About Us page mai padh sakte hai.
Sharing is Caring
Thankyou
Leave a Reply