How to use SendBlaster for sending Emails?

Is article mai hum apko SendBlaster ke bare mai bata rahe hai. How to use SendBlaster, How to send Emails using SendBlaster. Yeh Software ko use kaise kiya jata hai practically btaya ja raha hai.

SendBlaster ka use kyu kiya jata hai. Yeh sab apko isi article mai pata chal jayga. Yeh article educational purpose ke liye hai. Aap iska use ache work ke liye hi karen.

Yeh Software ek Email Marketing software hai. Aap iska use karke Email Marketing kar sakte hai. Lekin iska use kisi bhi tarah se spamming jaise illegal kaam ke liye kabhi mat karen.

Humne apko How to send Bulk emails in Gmail ke article mai btaya hai. Kis tarah se emails ko inbox mai send kiya jata hai. Aisa hi kuch SendBlaster ki help se kiya jata hai.

Lekin vaha humne iska use nahi kiya tha. Yaha apko apni kuch information bhi fill karni hoti hai. Agar aap iska use karke kisi bhi tarah ka illegal work karte hai. Apko Problem ho sakti hai.

Note- This article is only for educational Purpose. Don’t miss use your knowledge and skills.

Also Read

How to Hack Social Media Passwords ?

FACEBOOK HACKING (How To Hack Facebook)?

(Whatsapp Hack) How to hack Whatsapp (2020)?

What is SendBlaster ?

Sendblaster ek software hai jo Email Marketing mai use kiya jata hai. Apne kabhi na kabhi jarur dekha hoga apke pass mails ate hai kisi product se related ya kisi Website se related.

Yeh sab work email marketing mai kiya jata hai. Aise hi SendBlaster ka use kiya jata hai. Hum apko yaha free edition use karke bata rahe hai. Yeh paid software hota hai.

SendBlaster SMTP server ka use karke Emails ko direct kisi ke Gmail account par inbox mai send karta hai. Yaha apko apne bhi Gmail account ko iska access dena hota hai. Kuch is tarah.

Yaha humne apne hi ek Gmail account ko iska access diya hai. Lekin jis Gmail account par mail send karna hota hai use aise access ki jarurt nahi hoti hai.

How to use Send blaster ?

Chaliye ab hum apko iske use ke bare mai bata rahe hai. SendBlaster ko aap Google se easily download kar sakte hai. Yaha bhi apko iski website ka link mil jayga.

SendBlaster ko vaise hi install karna hota hai. Jaise hum dusre software ko install karte hai. Yeh software install hone ke baad apse language puchta hai sath hi Free edition or upgrade ka option ata hai.

SendBlaster open hone ke baad apko jis Gmail account ko iska access dena hai. Sabse pahle Gmail ki security mai jakar less secure apps ko on karna hota hai.

SendBlaster

Yeh open hone ke baad apko Messages ke option mai jakar Send ke option par click karna hota hai. Apke samne kuch is tarah se yeh open ho jayga.

SendBlaster

Yaha apko kuch is tarah information fill karni hoti hai. Username mai apko vahi gmail account dena hota hai jaha apne less secure apps ko allow kiya hota hai.

Agar aap less secure apps ko off karke connection test karte hai tab apko error mil jati hai. SendBlaster ko Gmail account ka access dena padta hai.

Yaha Compose message mai humne apna Mail set kiya hai jo bhi hum send karna chahte hai. Aap template use kar sakte hai sabhi options ka use kar sakte hai.

SendBlaster

Yaha se Emails ki list ko import kar sakte hai. List ko import karne ke baad apko Manage lists ke option mai sabhi Emails mil jate hai.

SendBlaster

Emails ki list ko SendBlaster mai import karne ke baad Send mai jakar Emails ko send kiya ja sakta hai.

How to send Email using Sendblaster ?

SendBlaster

Yaha send par click karke apki di gyi list par apka ready kiya gya mail send ho jata hai. Humne apko yaha apne mail par ek send karke dikhaya hai.

Is tarah se apko apki list ki gyi email ki information mil jati hai. Yaha apko SendBlaster bata deta hai kis Gmail account par mail send ho gya hai.

SendBlaster

Aap dekh sakte hai SendBlaster kis tarah se Emails ko directly inbox mai send karta hai. Yeh sab use aap Spamming ke liye kabhi bhi mat karen.

Yeh sab apko educational purpose ke liye btaya gaya hai. Is tarah se email marketing bhi ki jati hai. Hackers bhi inka miss use karte hai. Lekin aap kabhi bhi inka miss use mat karen.

SendBlaster Email Marketing Software

The Conclusion

Main umeed karta hu ki apko SendBlaster ke bare mai pata chal gaya hoga. Yeh kya hai or kaise ise use kiya jata hai. Aap iska use Email Marketing ke liye kar sakte hai.

Yeh sabhi ka use spamming mai bhi kiya jata hai. Isliye apko iske bare mai btaya gaya hai. Kisi bhi tarah ke Email ko directly inbox mai send karne ke bahut methods hai.

Yaha humne apko ek method btaya hai. Dusra humne How to send Emails in Gmail mai use kiya tha. Aise bahut tarah ke methods ka use kiya jata hai. Yeh sab apko educational purpose ke liye btaya gaya hai.

Aap SendBlaster ya aise kisi bhi software ka use illegal work karne ke liye kabhi mat karen. Humne apko yaha dikhaya hai Email send karke .

Gmail bhi koi notification nahi deta hai Report as spam , Ya Spam folder mai bhi mails nahi jate hai. Yeh sabhi ache ke liye use kiya jata hai. Lekin Hacking ki field mai inka miss use bhi kiya jata hai.

Agar apko SendBlaster ko use karne mai kisi bhi tarah ki koi problem ati hai. Aap humse comment mai puch sakte hai. Aap hume yeh bhi bata sakte hai apko kis tarah ke articles chahiye.

Agar apko yeh article acha laga to ise share karna mat bhulen. Humare blog ko subscribe karke aap humare articles ko sabse pahle padh sakte hai. Mere bare mai aap about us page par jaan sakte hai.

Sharing is Caring

Thankyou

Be the first to comment

Leave a Reply

Your email address will not be published.


*