How to Customize WordPress Theme ?

Is article mai hum apko WordPress Theme Customize ke bare mai bata rahe hai. How to Customize WordPress Theme. Humne pahle ke article mai jaha chora tha use age ke yeh steps hote hai.

Customize WordPress Theme ke bare mai btane se pahle hum apko ek baat clear kar rahe hai. Yaha hum jis Theme ka use kar rahe hai veh alag hai Aap jis Theme ka use karte hai veh alag ho sakti hai.

Aise mai Customize WordPress Theme ke liye options bhi alag alag ho sakte hai. Yaha apko idea ho jata hai kis tarah se Themes ko Customize kiya jata hai.

Agar apne humare pahle ke articles ko nahi pada hai to aap sabse pahle unhe jarur pad le. Humne apko WordPress par website bnana starting se btaya hai.

Also Read

How to Hack Social Media Passwords ?

FACEBOOK HACKING (How To Hack Facebook)?

(Whatsapp Hack) How to hack Whatsapp (2020)?

How to Customize Theme ?

Aap chahe kisi bhi Theme ko use karte hai WordPress par Customize karne ke liye sabse pahle apko Customize ke option mai jana hoga. Kuch is tarah.

Customize WordPress Theme

Customize ke option mai jane ke baad aap apni WordPress theme ko apne hisab se Customize kar sakte hai.

Yaha apko jo bhi Options show hote hai. Aap un sabhi ka use kar sakte hai. Humne Website ke name ko hide kiya hua hai. Kyoki yeh dusri live ready kar rahe hai.

Site Identity mai aap Website ke name ko change kar sakte hai. Yaha site icon ko bhi aap Upload kar sakte hai. Jo apko Browser mai show hota hai.

Customize WordPress Theme

Yeh sab karne ke baad apko customize WordPress Theme mai Logo customize karne ke option mil jata hai. Aap apna logo yaha se laga sakte hai.

Yeh sab karne ke baad aap apne Social accounts ko add kar sakte hai. Social accounts ka option Sabhi WordPress Theme mai apko mil jata hai. Aap inhe Plugins ki help se bhi add kar sakte hai.

Customize WordPress Theme

Yeh sab karne ke baad aap WordPress Theme par Post Settings ko bhi customize kar sakte hai. Yaha aap upr image mai dekh sakte hai.

Jaise feature image show honi chahiye ya nahi, Post ki Categories show hogi ya nahi, Tags ko show karna chahte hai ya nahi, Author or Date ko show karna chahte hai ya nahi.

Customize WordPress Theme

Aap Menu ko bhi yaha se create kar sakte hai. Yeh kaam aap WordPress Theme ke Appearance mai jakar bhi kar sakte hai. Kuch is tarah se Menu ko add kar sakte hai.

Customize WordPress Theme

Yeh sab Settings karne ke baad Aap widgets ko bhi add kar sakte hai. Apko sabhi WordPress Theme mai Widgets customize karne ka option mil jata hai.

Customize WordPress Theme

Yaha se aap apni marji se Widgets ko add kar sakte hai. Custom HTML ka use karke aap apne amazon jaise Affilate Links ko bhi add kar sakte hai.

Customize WordPress Theme

Yeh Widgets apko apki Theme par Publish karne ke baad kuch is tarah se show ho jate hai. Yaha aapko Categories create karni hogi. Yeh sab apko age bata diya jayga.

Customize WordPress Theme

Homepage settings mai aap static page ko show karva sakte hai. Jaise jab apki website ko open kiya jata hai tab latest post show honi chahiye ya koi static page.

WordPress theme mai last mai Footer customize ka option apko mil jata hai. Yaha Copyright ko bhi Free Themes mai remove kiya ja sakta hai. Lekin yeh aap par depend karta hai.

Yeh Copyright ko remove karne ke option WordPress free themes par isliye nahi hota hai. Kyoki jab bhi koi visitors yaha apki website par visit karta hai. Theme achi lagne par veh bhi ise use kar sake.

Customize WordPress Theme

Yeh humari is Website ki WordPress Theme customize ka option hai. Aap dekh sakte hai Sabhi Themes mai lagbhag same hi option milte hai. WordPress par Website create karna bahut hi easy hota hai.

The Conclusion

Main umeed karta hu ki apko WordPress Theme ko Customize karne ke bare mai pata chal gaya hoga. Yeh sab options lagbhag same hi hote hai.

Aap easily kisi bhi WordPress Theme ko Customize kar sakte hai. Yeh sab karne se pahle agar apne pahle ke steps complete nahi kiye hai to pahle humare pahle ke articles ko jarur padh le.

Agar apko Ethical Hacking, Networking, CCNA, CHFI yeh sab bhi sikhna hai aap isi Website par sikh sakte hai. Yaha apko aaj ke time mai use hone vali sabhi Computer Courses ki Knowledge free di jati hai.

WordPress Theme Customize karne se pahle aap In articles ko jarur padh le. How to Create a WordPress Website ? , How to do Some WordPress Settings ? , Best Free WordPress Themes for Blog (2020)? , Most Important Pages on a Website ?.

Yeh sabhi article ko padne ke baad hi aap is article ko samjh payge. Agar apko Website create karne mai kisi bhi tarah ki koi problem ati hai aap comment mai puch sakte hai.

Agar apko mera yeh article acha lage to ise share jarur karen. Aap humari Website ko un sabhi ke sath share jarur karen jo IT Field mai kuch karna chahte hai.

Lekin Courses ya kisi Institute ki fees ko afford nahi kar sakte hai. Yaha apko sabhi Knowledge free mai di jati hai. Humare Blog ko subscribe jarur karen.

sharing is caring

Thankyou.

Be the first to comment

Leave a Reply

Your email address will not be published.


*