Some Basic Forensic tools in Hindi ?

Is article mai hum apko Forensic tools ke bare mai bata rahe hai. Yeh sabhi Forensic tools ka use Forensic investigation mai kiya jata hai. Yeh sabhi bahut chote tools hai.

Jaise apko pahle bhi Maltego, Autpsy, ftk imager ke bare mai btaya gaya hai. Aise hi in sabhi tool ka use bhi Forensic Investigation mai kiya jata hai. Yeh sabhi ke bare mai apko jarur pata hona chahiye.

Yeh sabhi Forensic tools ka use CHFI mai kiya jata hai. Jaise CEH ya Ethical Hacking sikhne ke baad aap jab CHFI sikhte hai tab apko yeh sabhi ka use kahi na kahi karna padta hai.

Note- This article is only for educational purpose. Don’t miss use your knowledge and skills.

Also Read

How to Hack Whatsapp using QRL Jacking ?

Tab napping attack for Facebook hack ?

How to Hack Facebook using Phishing Attack ?

Forensic Tools

Forensic tools vaise to bahut tarah ke hote hai. Yaha hum apko kuch utilities ke bare mai bata rahe hai. Jinka use Forensic investigation mai kiya jata hai. Jaise History view , Cookies view , Cache view

History View Forensic tools ?

Jaise ki hum jante hai Forensic investigation mai victim ke bare mai information collect karne ke liye yeh pata lgaya jata hai ki victim apne computer par kya kya search karta hai.

Aise mai History ko dekhne ke liye in sabhi Forensic tools ka use kiya jata hai. Yeh sabhi apko nirsoft ki website par mil jate hai aap sabhi ko vaha se download kar sakte hai.

Yaha sabhi tarah ke browser ki history ko dekhne ke liye alag alag utilities apko mil jati hai. Hum apko yaha sabhi ke bare mai practically bata rahe hai.

Yaha aap image mai dekh sakte hai Internet explorer ki history apko show ho rahi hai. Aise hi aap Chrome Browser ki history ko bhi dekh sakte hai.

Forensic tools

Yaha apko Chrome browser ki history ka view show ho raha hai. Yeh utilities bahut hi kaam size ki hoti hai. Lekin aap inka use agar sahi tarike se karte hai to yeh apke bahut kaam ati hai.

Forensic tools

Yeh Mozilla Firefox browser ki history ka view hai. Aise hi aap sabhi browser ki history ka view kisi computer mai dekh sakte hai.

Yeh sabhi Forensic tools ka use tab kiya jata hai. Jab hume kisi aise Computer ki investigation karni hoti hai jiska use kisi na kisi crime mai kiya jata hai.

Cookies view tool

Jaise apko History ko dekhne ke liye Forensic tools ke bare mai btaya gaya hai. Aise hi kisi browser ki cookies ko bhi dekhne ke liye utilities hoti hai jinka use kiya jata hai.

Yaha aap image mai dekh sakte hai. Internet explorer browser ki cookies show ho rahi hai. Jaise ki apko pahle btaya gaya hai Cookies ka use karke hackers kaise Facebook account ko bhi hack karte hai.

Forensic tools

Yaha aap dekh sakte hai Mozilla Firefox browser mai saved sabhi cookies show ho rahi hai. Aise hi Hackers in cookies ka use karke kisi tarah ki social media hacking bhi kar sakte hai.

Cache view Forensic tools

Jaise History or Cookies ko dekhne ke liye Forensic tools ka use kiya jata hai. Aise hi cache view karne ke liye bhi Forensic tools ka use kiya jata hai.

Yeh Cache memory kya hai apko pahle bhi btaya gaya hai. Hum jab bhi kisi bhi website par visit karte hai agar hum dubara se usi website par visit karte hai.

Aise mai veh website pahle se jada speed se open hoti hai. Yeh sab cache memory ki vajah se hi hota hai. Yeh sab apko hardware ke articles mai btaya gaya hai.

Forensic tools

Aap inka use karke kisi bhi browser ki cache ko bhi dekh sakte hai. Yaha aap kisi bhi utilities ka use karte hai properties ko bhi check kar sakte hai.

Forensic tools

Aise hi aap Firefox browser ki bhi cache value ko dekh sakte hai. Yeh sabhi utilities apko google par easily mil jati hai. Aap jab inka use karte hai tabhi aap inhe samjh sakte hai.

Operating system Forensic tools

Jaise apko kisi browser ki information ko nikalna btaya gaya hai. Aise hi aap kisi Operating system ki bhi information nikal sakte hai.

Jaise windows mai last search kya kiya gaya hai, Last activity kya hai, Saved wifi ke passwords kya hai. Yeh sabhi information bhi nikali ja sakti hai. Yeh sabhi apko nirsoft website par mil jayege.

Forensic tools

Aap dekh sakte hai yeh sabhi Forensic tools ka use karke yeh sab bhi show ho gaya hai. maine apne computer par kya kya files ko kab kis time open kiya hai.

Forensic tools

Yaha aap image mai dekh sakte hai maine google youtube par kya kya search kiya hai. Yeh sabhi information show ho rahi hai isi tarah in Forensic tools ka use kiya jata hai.

Forensic tools

Aise hi kisi computer ke saved wifi password ko bhi dekha ja sakta hai. Hum jante hai saved wifi passwords ko Command prompt ke through bhi dekha ja sakta hai.

Forensic tools

Aise hi aap eventlog ko bhi dekh sakte hai. Jaise mai kis time kis wifi network se connected tha mac address kya hai. Yeh sab information bhi dekhi ja sakti hai.

The Conclusion

Main umeed karta hu ki apko yeh sabhi Forensic tools ke bare mai pata chal gaya hoga. Yeh sabhi tools apko nirsoft ki website par mil jate hai.

Aise hi bahut tarah ke Forensic tools hote hai jinka use Forensic investigation mai kiya jata hai. Yeh sabhi ka use aap kisi tarah ki illegal activity ko karne ke liye mat karen.

Main umeed karta hu ki apko yeh sabhi Forensic tools pasand ayege. Yeh sabhi ka use jab aap karenege tab aap khud dekh payege yeh apko kitni information dete hai.

Sabhi ke bare mai bata pana possible nahi hota hai. Humne apko sabhi ka ek view diya hai. Yeh sab aap jarur use karke dekhe. Apko yeh sabhi ke bare mai CHFI mai btaya jata hai.

Agar apka kisi bhi tarah ka koi question hai to aap comment mai puch sakte hai. Humari taraf se apki puri help ki jayegi. Main umeed karta hu ki apko humara yeh article acha lagega. Humare blog ko subscribe jarur karen.

Yeh sabhi ka use Hackers Footprinting mai bhi karte hai. Jaise apko pahle Footprinting ke bare mai btaya gaya hai. Aise hi Information gathering ke liye yeh Forensic tools ka use kiya jata hai.

Sharing is caring

Thankyou

Be the first to comment

Leave a Reply

Your email address will not be published.


*