Most Important WordPress Plugins in Hindi ?

Is article mai hum apko Important WordPress Plugins ke bare mai bata rahe hai. Yeh WordPress Important Plugins ko apko apni WordPress Website mai jarur use karna chhaiye.

WordPress Website par aap additional features ko add karne ke liye bahut tarah ke Plugins ka use kar sakte hai. Lekin yaha hum Apko kuch Important WordPress plugins ke bare mai bata rahe hai.

Yeh sabhi Plugins mai bhi apni websites mai use karta hu or apko bhi inhe jarur use karna chahiye. Apki choice ke hisab se ho sakta hai apko alag plugins important lagte ho.

Yaha hum apko apni Websites ko dhyan mai rakh kar kuch Important Plugins ke bare mai bata rahe hai. Aap bhi apni WordPress Website mai inhe use kar sakte hai.

How to Install Important WordPress Plugins ?

Sabse pahle hum apko yeh bata rahe hai WordPress mai plugins ko kaise install kiya jata hai. Apko chahe kisi bhi plugin ko apni WordPress website mai install karna hota hai aap aise kar sakte hai.

Sabse pahle apko Plugin ke option mai jakar Add new par click karna hota hai. Aap upar image mai dekh sakte hai. Kuch is tarah.

Important WordPress plugins

Yeh sab karne ke baad apko jis bhi Plugin ko install karna hota hai. Aap use search kar sakte hai. Agar apko plugin ka name nahi pata hai tab bhi aap yaha search kar sakte hai.

Jaise apko yoast SEO ya All in One SEO nahi pata hai. Aise mai aap SEO likh kar bhi agar search karte hai tab bhi apko plugin mil jate hai.

Jaise apko Contact Form nahi pata aise mai aap Contact Form likh kar bhi search kar sakte hai.

Apko plugin ko install Now par click karke use bas activate karna hota hai. Yoast SEO ya All in One Seo bhi important WordPress plugin mai se ek hota hai.

Kuch is tarah se Plugins section mai apko sabhi install kiye hue Plugin mil jate hai. Apko aise bhi WordPress ke Important plugin milte hai jinhe bas activate karna hota hai.

Important WordPress Plugins ?

WordPress Important plugins apko bahut mil jate hai. Sabhi ke bare mai bata pana possible nahi hai. Hum apko yaha kuch Plugins ke bare mai bata rahe hai jo apki Website mai jarur hone chahiye.

Yoast SEO

Yoast SEO ya All in ONE SEO kisi bhi WordPress Website ke liye bahut important plugin hota hai. Apko jo bhi acha lagta hai aap uska use kar sakte hai.

Yeh ek WordPress Important Plugins mai se ek hai. Yeh Plugin apko SEO Friendly article likhne mai bahut help karta hai. Apko iska use jarur karna chahiye.

Yeh aap image mai dekh sakte hai. Hum apko live isi article ka jo aap padh rahe hai isi ka SEO Score dikha rahe hai. Yoast Plugin apko bahut help karta hai.

Aap jaise jaise apna article likhte hai yoast SEO use fetch karta rehta hai. Yeh apko apki mistakes ke bare mai live hi batata rehta hai. Yaha aap dekh sakte hai apko sabhi ko green karna hota hai.

Humare sabhi articles ke sabhi SEO features green hote hai. Yeh plugin apko Readability ka bhi score btata hai. Jaise aap niche image mai dekh sakte hai.

Important WordPress plugins

Humare article mai kabhi Translation words nahi hote hai. Aisa karne ke piche ek reason hai. Kyoki jab mai apne articles ko proper hindi words mai likhta tha tab mere articles ko copy karke translate karke use kiya jata tha.

Yeh WordPress ka bahut important plugin hai apko ise jarur use krna chahiye. Yeh sab kya hai kaise kaam kiya jata hai. Apko age bata diya jayga.

Email subscribers

Jaise ki naam se hi pata chalta hai Email Subscriber apne humari Website mai bhi ise jarur dekha hoga. Apko ise bahut fayda hota hai. Iski kuch basic settings apko karni hoti hai.

Yeh bhi WordPress ka ek Important plugins mai se ek hota hai. Agar aap ise use karte hai to apke visitors ko subscribe karna hota hai. Jaise youtube mai hota hai.

Aise mai jab aap new article publish karte hai tab apke new article ki notification visitors ke mail mai chali jati hai. Isliye aap bhi apni website mai iska use jarur karen.

Apko kuch is tarah se basic settings yaha karni hoti hai. Yeh sab karne ke baad apko dashboard mil jata hai. Kuch is tarah.

Important WordPress plugins

Yeh sab karne ke baad apko Email subscriber ka section mil jata hai. Iske baad aap ise widgets mai jakar form select karke laga sakte hai. Yeh apki website par kuch is tarah show hota hai.

Important WordPress plugins

Google Translator

Apko apni Website mai Translator bhi jarur use karna chahiye. Jaise humari is website mai Translate karne ke liye words hi nahi hai. Lekin agar aap english mai apni website bnate hai tab ise jarur use karen.

Yeh bhi WordPress ke Important Plugins mai se ek hai. Kyoki aisa karne se apke visitors alag alag country se jab visit karte hai tab veh translate karke bhi apke articles ko read kar sakte hai.

Limit Login attempts ?

Jaise ki name se hi pata chalta hai Limit Login attempts. Yeh plugin apko easily mil jata hai. WordPress ke important Plugins mai ise isliye rakha gaya hai. Kyoki yeh apki website ko secure rkhta hai.

Agar aap apni Website mai iska use karte hai. Aise mai apki website ke admin panel par Bruteforce attack nahi kiya ja sakta hai. Apko yaha limit set karni hoti hai.

Jaise agar aap apni Website mai 5 limit set karte hai. Aise mai agar Bruteforce attack hota hai tab Hacker ka IP address block ho jata hai. Isliye apko iska use jarur karna chahiye.

Important WordPress plugins

Yeh Important Plugin install hone ke baad apko WordPress ke settings ke option mai show ho jata hai. Jaise ki hum jante hai hackers website ko hack karne ki try karte rehte hai.

Isliye aap apni Website ko yeh plugin ki help se secure rakh sakte hai. Aise or bhi work hote hai. Jaise captcha ko lgana admin panel ke url ko hi change kar dena.

Recaptcha Plugins ?

Apne iske bare mai kabhi na kabhi jarur suna hoga. Aap is website par bhi ise dekh sakte hai. Jaise aap humare kisi bhi article par comment karte hai tab apko im not robot par click karna hota hai.

Yeh kaam aap bhi apni website mai kar sakte hai. Apko Captcha plugins easily mil jate hai. Apko inhe activate karke kuch basic settings karni hoti hai.

Jaise maan lijiye apki Website par apne login attempts plugin ko use kiya hai. Aise mai hacker agar Proxy ya apna IP address change kar ke Bruteforce attack ko karte hai.

Important WordPress plugins

Aapko kuch basic settings yaha karni hoti hai. Yaha apko Website link mil jata hai. Apko vaha se keys ko copy karke paste karna hota hai. Sath hi yeh decide karna hota hai ki aap captcha kaha use karna chahte hai.

Aise mai veh attack work karne lag jata hai. Isliye agar aap Recaptcha plugin ka agar use karte hai tab yeh attack nahi hota hai. Kyoki jin tools ki help se Bruteforce attack kiya jata hai.

Veh inhe bypass nahi karte hai. Lekin aisa nahi hai ki inhe bypass nahi kiya ja sakta hai. Yeh bhi bypass hote hai. Aap jab Ethical Hacking ki field mai ate hai apko pata chal jayga.

Aap yaha bhi Ethical Hacking sikh sakte hai. Maine bhi bahut sare articles likhe hai aap unhe bhi padh sakte hai. Jaise Facebook Hacking, whatsapp Hacking, Wifi Hacking etc.

The Conclusion

Main umeed karta hu ki apko WordPress ke yeh Important Plugins ache lage honge or aap bhi inhe jarur use karege. Yeh abhi apko sabhi nahi btaye gaye hai.

Agar apko sabhi ke bare mai btaya gaya to yeh article bahut bada ho jayga. Apko age inke bare mai or bhi btaya jayga. Yaha humne apko kuch WordPress ke important plugins ke bare mai btaya hai.

Aap inhe apni website mai jarur use karen. Yeh sabhi apki website ko secure bhi bnate hai sath hi aapko fayda bhi dete hai. Aaj humare 100 se jada articles is website par complete ho gaye hai.

Apne humare articles ko padha hai. Main umeed karta hu ki apko mere articles se bahut kuch sikhne ko mil raha hoga. Apko age bhi is website par bahut knowledge de jayegi.

Aap humare articles ke notification pane ke liye humare blog ko subscribe kar sakte hai. Yeh website main apni sari knowledge or apna experience aapke sath share karne ke liye bnayi hai.

Agar aapko yeh article acha lage to ise share jarur karen. Sath hi humari website ko un sabhi ke sath share jarur karen jo yeh sab sikhna chahte hai lekin fees afford nahi kar sakte hai.

Sharing is caring

Thankyou

Be the first to comment

Leave a Reply

Your email address will not be published.


*