How to use Proxy Server in Hindi ?

Is article mai hum apko proxy server ke bare mai bata rahe hai. How to use proxy server , Why Hackers use proxies in sabhi ke bare mai apko btaya ja raha hai.

Mujhe yeh btate hue bahut khushi ho rahi hai ki aap jo yeh article padh rahe hai yeh humara hundred article hai. Maine is website par 100 articles aaj complete kar liye hai.

Jinho ne bhi meri is website ko support kiya hai un sabhi ka mai dil se thanks karta hu. Main umeed karta hu ki aap age bhi humari is website ko support jarur karenge.

proxy ke bare mai apko pahle bhi btaya gaya hai. Lekin vaha humne apko proxy server ka use karna nahi btaya tha. Yaha is article mai apko inka use karna btaya ja raha hai.

proxy server ka use hackers kisi bhi purpose ke liye kar sakte hai. Jaise illegal Hacking, Carding, Accounts hacking yeh sab hacker par depend karta hai veh kyo inka use karna chahte hai.

Yeh sab apko educational purpose ke liye btaya ja raha hai. Aap inka miss use kabhi mat karen. Yaha hum apko yeh samjhane ke liye bata rahe hai. Kaise hackers inka use karte hai.

Note – This article is only for educational purpose. Don’t miss use your Knowledge and skills.

What is proxy server ?

Proxy server kya hota hai. Jaise ki naam se hi pata chalta hai. Hackers apni identity chupane ke liye inka use karte hai. Jaise VPN ka use kiya jata hai.

Proxy server ko use karne ke liye hackers apni marji se inka use kar sakte hai. Lekin VPN mai ek particular vpn hi use kiya jata hai. Jaise apne kabhi VPN ka use kiya hoga.

Apko pata hi hoga vaha jaise hum kisi US ke vpn ka use kar rahe hai to humne apni marji se IP Address nahi select karna hota hai. Lekin Proxy server mai Hackers apni marji se or sab kaam manually karna hota hai.

Apko Google par bahut sari Proxy server ki list mil jati hai. Lekin unme se live server ko find karna thoda mushkil hota hai. Yeh sab kaam apko manually karna hota hai.

Apko Proxy ke bare mai pahle btaya gaya hai. Aap veh article ek bar jarur padh le. Yeh sab apko isliye btaya ja raha hai. Kyoki apko age Accounts cracking ke bare mai btaya jayga.

Jaise Hotstar, Netflix or bhi premium accounts ko crack karne ke bare mai btaya jayga. Isliye apko yaha Proxy server ke bare mai btaya ja raha hai.

How to configure Proxy Server ?

Hackers inhe manually bhi configure karte hai. Yeh sab kaam Firefox Browser mai kiya jata hai. Firefox ki settings mai jakar apko Network ka option mil jata hai.

Yeh sab apko Burp Suite ke article mai pahle bhi btaya gaya hai. Sabse pahle apko Live Proxy server ko find karna hota hai. Yeh sab karne ke baad aap inhe configure kar sakte hai. Kuch is tarah.

Yaha aap dekh sakte hai is tarah se Proxy ko configure kiya jata hai. Ise single Proxy ka use karna bhi aap keh sakte hai. Aise hi Hackers Proxy chaining ka bhi use karte hai.

How to use Proxy Switcher ?

Proxy Switcher ek software hai jo apko Proxy server ko find karne mai help karta hai. Yeh apko Google par easily mil jata hai. Inhi ka use karke Live Proxy Server ko find kiya ja sakta hai.

Yeh software vaise hi install kiya jata hai. Jaise hum normal kisi software ko install karte hai. Software install hone ke baad jab aap ise run karte hai tab apko kuch is tarah milta hai.

Yaha aap apne hisab se in options ka use kar sakte hai. Yeh software apko Live Proxy server find karne mai help karte hai.

Yaha aap ke liye kuch baten jana bahut important hai. Sabhi Proxy server ka use nahi kiya ja sakta hai. Kuch dangerous bhi hote hai or kuch private bhi hote hai.

Apko Free Proxy ki list Google par mil jati hai. lekin unme se Live Server bahut kaam hote hai. Yeh kab work karte hai or kab nahi yeh bhi nahi kaha ja sakta hai.

proxy server

Yeh software kuch is tarah se proxy server ki list ko find karta hai. Hackers ke pass paid proxy server hote hai veh unhi ka jadatar use karte hai. Lekin aap apni knowledge ke liye inka practical karke dekh sakte hai.

Yaha apko dead Server live, Dangerous, SSL sabhi tarah ki list apko mil jati hai. Aap jab inka use karte hai tabhi aap inhe samjh sakte hai.

How to use Proxifier ?

Aise hi Proxifier software hota hai. Live proxy server ko find karne ke baad Hackers aise softwares ka use karke proxy chaining ya Bouncing karte hai.

Yeh sab apko pahle bhi btaya gaya hai proxy Chaining mai proxy servers ki ek chain bna kar Internet surfing ki jati hai. Aise hi proxy bouncing mai kiya jata hai.

Proxy bouncing mai Hackers time ke sath proxy ko change kar sakte hai. Yeh apko yaha aise nahi btaya ja sakta hai. Aap proxifier ka use kar sakte hai.

proxy server

Yeh software open hone ke baad apko left mai click karke proxy server ko add karna hota hai. Aap jab iska use karte hai. Aise mai apka internet par jitna bhi traffic jata hai inhi server se hokar jata hai.

proxy server

Kuch is tarah se proxy server ko add kiya ja sakta hai. Yaha Check par click karke check bhi kiya ja sakta hai. Yeh software apko live servers ki information bata deta hai.

Is tarah se proxies ko add karke proxy chaining ki jati hai. Yeh sab setup karne ke baad aap kisi bhi tarah ki website ko open karte hai. Veh sab apko yaha show hota hai. Kuch is tarah.

proxy server

Yaha humne live proxy server ka use nahi kiya hai. Yeh sab apko samjhane ke liye btaya gaya hai. Kis tarah se proxies ke sath hackers work karte hai.

Yeh sab karne ke baad apko in server ko band karna bahut jaruri hota hai. Agar aap aisa nahi karte hai or server dead hota hai to aap internet use nahi kar sakte hai.

Apko niche yeh software run milte hai. Yaha se right click karke apko inhe exit karna hota hai. Is tarah se Hackers inka use karte hai.

The Conclusion

Main umeed karta hu ki apko proxy server ke bare mai pata chal gaya hoga. Inka use karne se pahle apko kuch bato ko dhyan mai rakhna jaruri hota hai.

Jaise apko live server ko find karna hota hai. Kuch IP series hai jinhe apko kabhi use nahi karna hota hai. Jaise 6.*.*.*, 101.*.*.*. Yeh sab aap google par dekh sakte hai.

Sath hi inka use karne ke baad apko inhe exit karna bahut jaruri hota hai. Aap inka use kisi tarah ke illegal hacking ko karne ke liye kabhi mat karen.

Agar apka kisi bhi tarah ka koi question hai ya apko kisi bhi tarah ki problem ati hai aap humse comment mai puch sakte hai. Agar apko yeh article acha lagta hai to ise share jarur karen.

Sharing is caring

Thankyou

Be the first to comment

Leave a Reply

Your email address will not be published.


*