How to create a WordPress Menu and Categories ?

Is article mai hum apko WordPress website par Menu, Submenu, Categories or Tags ke bare mai bata rahe hai. Yaha hum apko WordPress Menu or Categories create karke bta rahe hai.

Yeh Website Designing ka free course hai. Aap yaha website designing free mai sikh sakte hai. Humne ise pahle bhi kuch articles ko publish kiya hai. Aap unhe bhi jarur padh le.

Hum yaha apko WordPress Website mai Menu, SubMenu, Categories ke bare mai bata rahe hai. Sath hi apko humari is Website ke bhi Menu or Categories ko dikhaya jayga.

How to Create WordPress Menu ?

Jaise ki hum jante hai kisi bhi Website par Menu ka hona bahut jaruri hota hai. Veh chahe WordPress website ho ya kisi bhi platform par bnayi gayi ho. Menu ka hona jaruri hota hai.

Kyoki WordPress Website par Menu ko create karne se aap user ko yeh show karva sakte hai ki apki website par kis kis tarah ke articles publish kiye jate hai.

WordPress Menu ke bare mai apko WordPress customize Theme vale article mai btaya gaya hai. Lekin vaha apko Sub menu create karna nahi btaya gaya tha.

Jaise humne apni is Website mai Menu ko create kiya hua hai. Aise hi aap bhi Apni WordPress Website mai Menu ko create kar sakte hai. Aisa karna bahut hi easy hota hai.

Sabse pahle apko Appearance mai jakar Menu ke option mai jana hota hai. Vaha apko apke create kiye hue sabhi Menus ke options mil jate hai.

Aap dekh sakte hai yaha humne apni is WordPress Website ke Menu or SubMenu create kiye hue hai. yaha humne Categories ko add kiya hua hai.

Yaha apko apki WordPress par create ki gayi sabhi categories show ho jati hai. Jaise humne Categories ko create karke. Yaha add to menu kiya hai.

WordPress mai Categories create karna bhi apko isi article mai btaya jayga. Categories Create karne ke baad apko add karni hoti hai. Uske baad drag karke aap jis bhi categories ke niche rakhna chahte hai rakh sakte hai.

WordPress mai is tarah se aap Menu or SubMenu ko create kar sakte hai. Humne apni is WordPress website mai bhi Categories ko create karke. Yaha Menu se add kiya hai aap bhi aisa kar sakte hai.

How to create WordPress Categories ?

Jis tarah se WordPress Menu ki website maiimportance hoti hai. Aise hi categories or tags bhi important hote hai. Aapko inhe bhi jarur create karna chahiye.

Chaliye ab hum apko Categories create karne ke bare mai bata rahe hai. Aap kis tarah se WordPress Website mai Categories ko create kar sakte hai.

Sabse pahle apko Posts ke option mai jakar Categories ke option mai jana hota hai. Jaise humne apni website mai categories ko create kiya hai aap bhi vaise hi bana sakte hai.

Yaha kuch is tarah se aapko jo bhi Category create karni hai aap kar sakte hai. Jaise humne yaha pat create ki hai WordPress Name or slug or aap description bhi de sakte hai.

Yaha Name mai to category ka name ata hai slug ke option mai apko url friendly name dena hota hai, Parent category mai agar aap kisi pahle se bani hui category ke niche ise lgana chahte hai tab aap select kar sakte hai.

WordPress Menu

Aap dekh sakte hai kuch is tarah se aap parent category ka bhi use kar sakte hai. Humne apni is freelearningtech website mai Menu or categories ko link kiya hua hai.

Aap bhi agar chahte hai tab aisa kar sakte hai. Apko upar btaya gaya hai. Menu ke option mai jakar apko WordPress categories show ho jati hai. Aap unhe add to menu karke use kar sakte hai.

How to create WordPress Tags ?

Aise hi aap Tags ko create kar sakte hai. Tags ki bhi important apke article ko rank karvane mai hoti hai. Jaise humne apne sabhi articles mai tags ka use kiya hai.

Agar aap tags ka use karte hai. Aise mai apke article sabhi keywords ko search karne par bhi show hote hai jinhe aap tags mai use karte hai.

WordPress Menu

Aap dekh sakte hai. Yeh tags ko aap tab bhi add kar sakte hai jab aap apne articles ko likhte hai. Categories or tags ka option apko tab bhi mil jata hai.

Agar aap pahle se hi tags ko create karke rakhna chahte hai tab bhi aap create kar sakte hai. Kuch is tarah se aap tags ko create kar sakte hai.

WordPress Menu

Yaha se aap tags ko create kar sakte hai. Jis tarah se hum WordPress mai categories ko add karte hai. Aise hi aap tags ko bhi add kar sakte hai.

WordPress Menu

Aap dekh sakte hai humne apni is WordPress website mai bhi tags ka use kiya hua hai. Aise mai Jab bhi koi in tags ko likh kar google par search karta hai tab apka article show hota hai.

Jaise 888Rat, Trojan horse Virus, Session Hijacking is tarah se humne apne sabhi articles mai tags ko use kiya hai. Aap bhi apne sabhi articles mai in tags ka use jarur karen.

Lekin aap jab apna article likhte hai tab aap in tags ko add karen. Yaha apko optional btaya gaya hai aap is tarah se bhi tags ko create kar sakte hai.

The Conclusion

Main umeed karta hu ki apko WordPress Menu, SubMenu, Categories or tags create karne ke bare mai pata chal gaya hoga.

Humne ise pahle WordPress par articles likhe hai. Yeh sab karne se pahle aap unhe ek bar jarur padle. Humne apko WordPress par website create karna shuru se btaya hua hai.

WordPress par aap kisi bhi tarah ki website ko easily bna sakte hai. Hum apko WordPress or PHP or Blogger par bhi website create karna bata rahe hai.

Aap bhi apni wordPress par website create kar sakte hai. Agar main apne experience se apko kahu to aap ke liye website create karna hi sab kuch nahi hota hai.

Aap jab apne liye ya kisi ke liye website create karte hai tab apko apne hisab se sabhi features chahiye hote hai. Yeh sab bhi apko age bata diya jayga.

Yaha humne apko WordPress Menu or Categories ke bare mai btaya hai. App pahle yeh articles ko jarur padhle. How to create a WordPress website, Most Important pages on a website, How to customize WordPress theme.

Agar apka kisi bhi tarah ka koi question hai aap comment mai puch sakte hai. Humari taraf se apki puri help ki jayegi. Aap is website par Ethical hacking or CEH ke sabhi topics bhi padh sakte hai.

Apko yeh article acha lage to ise share jarur karen. Humare articles ko sabse pahle padne ke liye humare blog ko subscribe jarur karle.

Thankyou

Be the first to comment

Leave a Reply

Your email address will not be published.


*