What is Malware Analysis in Hindi (Practical) ?

Is article mai hum apko What is Malware Analysis , How to Analysis Malware ke bare mai practically btaya ja raha hai. Yaha hum apko ek bahut hi ache tool ke bare mai bata rahe hai.

Hum apko yaha jis tool ke bare mai bata rahe hai. Agar veh tool apke pass hota hai to aap kisi bhi application ki puri information nikal sakte hai. Yeh tool ka use Malware Analysis mai kiya jata hai.

Malware Analysis jaise ki naam se hi pata chalta hai. Humne apko pahle Computer Viruses mai Trojan, Payload, Worm , Virus ke bare mai btaya hai. Yeh sabhi Malware hote hai.

Aise mai Hackers inka use kisi illegal purpose ke liye jab karte hai to apko pata hona chahiye yeh Malware hai ya nahi. Isi process ko Malware Analysis kaha jata hai.

Note – This article is only for educational purpose. Don’t miss use your knowledge and skills.

How to install Mobile Security Framework (MobSF) ?

Yaha hum Malware Analysis karne ke liye jis tool ka use kar rahe hai uska naam MobSF hai. Yeh tool apko github par mil jata hai. Apko yeh tool 700 MB approx ka milta hai.

Yeh tool Malware Analysis ke liye bahut acha hai. Isliye apko iske bare mai jarur pata hona chahiye. Aap jab iska use karte hai aapko khud bhi yeh bahut pasand ayga.

Sabse pahle apko github se is tool ko download karna hota hai. Aap is tarah kar sakte hai. git clone https://github.com/MobSF/Mobile-Security-Framework-MobSF .

Yeh download karne ke bad iski Read Documentation mai jakar iski requirements ko install karna hota hai.

Read Documentation mai jakar apko Installation ke option mai jakar requirements mai jana hota hai. Vaha apko step by step mil jata hai kaise aap ise install kar sakte hai.

Requirements mai jakar apko sabhi Operating system ke liye btaya gaya hai. Kaise aap is Malware Analysis tool ko install kar sakte hai. Hum yaha apko Kali linux mai bata rahe hai.

Yaha aap dekh sakte hai. Apko sabhi ko is tarah se install karna hai. Java or python install karne mai apko kisi bhi tarah ki koi problem nahi ayegi.

Malware Analysis

Yaha aap dekh sakte hai. Yeh sab install karne mai agar apko bhi is tarah ki error milti hai. Aap bhi aise use delete karke baki ki sabhi requirements ko install kar sakte hai.

Jaise aap image mai dekh sakte hai by default (libjpeg8-dev) ko install karne mai error mili hai. Aise mai humne use delete karke baki sabhi requirements ko install kiya hai.

Malware Analysis

Yeh sab karne ke baad apko yeh command dekar ise setup karna hota hai. (sudo bash setup.sh). Aisa karne ke baad Malware analysis tool run kar sakte hai.

Malware Analysis

Aap ise sudo bash run.sh command ke through run kar sakte hai. Yaha apko link show ho raha hai apko bas ise open karna hota hai. Kuch is tarah.

Malware Analysis

Malware Analysis Using MobSF ?

Jaise ki apko humne install karna btaya hai. Yeh tool install hone ke baad aap iski help se Malware Analysis kar sakte hai. Apko bas apk file ko upload karna hota hai.

Malware Analysis

Yaha aap dekh sakte hai. Humne wibr plus ko upload kiya hai. Aise mai yeh tool apko kisi bhi apk file ki complete information nikal kar deta hai.

Jaise app playstore par available hai ya nahi, Hashes kya hai, Permissions kaisi mangta hai, application ki Android or java files, Konsi file apki privacy ko nuksan pahuchati hai or bhi bahut kuch.

Jaise aap yaha dekh sakte hai. Yeh Malware Analysis tool ne android ki mainfest file ko bhi nikala hai. Android Programming languages jinhe pata hogi veh ache se samjh sakte hai.

Aap jab iska use karte hai aap khud hi samjh jayege. Yeh tool kisi bhi application ki kitni jada information apko nikal kar deta hai. Yeh tool ka use Malware Analysis ke liye kiya jata hai.

Sabhi options ke bare mai bata pana possible nahi hota hai. Aap iska use karke dekh sakte hai. Yeh apko kis tarah ki information deta hai aap khud hi samjh jayege.

Malware Analysis

Agar apko Dynamic Analyzer mai is tarah ki error milti hai. Aise mai aap Genymotion ka use kar sakte hai ya kisi bhi Android platform ka use kar sakte hai.

Malware Analysis

Yaha hum apko genymotion ka use karke bata rahe hai. Genymotion ka use karke aap runtime dekh sakte hai yeh application kaise work kar rahi hai. Apko ise install karna hota hai.

Install karne se pahle aap genymotion ki website par apna account jarur bana len. Account bnane ke baad aap iska use kar sakte hai. Jaise aap image mai dekh sakte hai.

Malware Analysis

Apko genymotion ko run karne ke liye kuch is tarah directory mai jakar yeh command deni hoti hai. Yaha humne Virtual box updated version use nahi kiya hai.

Lekin aap aise run kar sakte hai. Apse account manga jata hai run hone ke baad ek virtual mobile device run ho jayga. Aisa karne par aap dekh payege Dynamic Analyzer mai error solve ho jayegi.

The Conclusion

Main umeed karta hu ki apko Malware Analysis ke use ke bare mai pata chal gaya hoga. Malware Analysis ka use apko CHFI mai jada karna hota hai.

Jaise Maltego, Autopsy ka use kiya jata hai. Aise hi Malware Analysis ka use bhi Computer Hacking Forensic Investigator mai kiya jata hai. Main umeed karta hu ki apko yeh tool jarur acha lagega.

Apko Malwares ke bare mai pahle bhi btaya gaya hai. Yeh tool ka use hum tab karte hai jab hume kisi app ke malware hone ka doubt hota hai.

Jaise apne kisi unsecure website se kisi tarah ki apk file ko install kiya hai. Aise mai aap is tool ki help se yeh pata kar sakte hai veh application safe hai ya nahi isliye apko iske bare mai pata hona chahiye.

Agar apko kisi bhi tarah ki error milti hai to aap comment mai puch sakte hai. Mai apki puri help karuga. Agar apko yeh article acha lagta hai to ise share jarur karen. Humare blog ko subscribe jarur karen.

Sharing is Caring

Thankyou

Be the first to comment

Leave a Reply

Your email address will not be published.


*