Is article mai hum apko PHP Backdoor ke bare mai bata rahe hai. PHP Backdoor kya hai iska use kyu kiya jata hai apke sabhi swalo ka jvab apko yaha mil jayga.
PHP Backdoor Website Hacking se hi related hota hai. Jaise humne apko website hacking ke pahle bhi bahut articles diye hai. Aise hi PHP Backdoor ka use bhi Website hacking mai kiya jata hai.
Jaise Sql Injection, Command Injection, Cross site scripting, Buffer overflow attacks ka use jaise kisi website ko hack karne ke liye kiya jata hai. Aise hi PHP Backdoor ka use bhi kiya jata hai.
Yaha hum apko yeh practically bata rahe hai. Hum yaha apko apni hi website par yeh attack karke bata rahe hai. Yeh sab apko educational purpose ke liye btaya ja raha hai.
Yaha aap PHP Backdoor kehte hai ya PHP shell ek hi baat hoti hai. Shell upload karne ke baad Hacker Website defacement jaise attack ko karte hai.
Note – This article is only for educational purpose. Don’t miss use your knowledge and skills.
What is PHP Backdoor ?
Jaise ki naam se hi pata chalta hai PHP Backdoor ka use kisi website ko remotely access karne ke liye kiya jata hai. Jaise agar kisi website mai PHP Injection ki vulnerability hoti hai.
Aise mai PHP Injection ke through kisi website mai php Backdoor ko inject karke website ko hack kiya ja sakta hai. Yaha humne yeh attack DVWA or apni isi website par kiya hai.
PHP Backdoor ko create karne ke liye apko tools ki jarurt hoti hai. Yaha hum apko do tools ke bare mai practically bata rahe hai. Weevely and Remot3d.
Agar hackers kisi website mai PHP Backdoor ko upload kar dete hai. Aise mai Hackers website ka complete access le sakte hai. Website Defacement mai bhi iska use kiya jata hai.
How to create PHP Backdoor using Weevely ?
Sabse pahle hum apko Weevely tool ka use karke bata rahe hai. Yeh tool apko pahle se hi install milta hai. Apko terminal mai weevely type karna hota hai.
Yaha aap dekh sakte hai. Humne ek PHP Backdoor ko generate kiya hai. Aise mai yaha apko command deni hoti hai. weevely generate (password) (path) jaise humne diya hai.
Yaha aap image mai dekh sakte hai maine apni hi website par PHP Backdoor ko upload kiya hai. Aise mai aap dekh sakte hai kis tarah se website ka access liya ja sakta hai.
Yaha humne yeh practical karne ke baad is file ko remove kar diya hai. Aise mai aap is website par yeh attack nahi kar sakte hai. Yeh apko samjhane ke liye live btaya gaya hai.
Yaha aap dekh sakte hai humne apko ek file ko bhi open karke btaya hai. Is tarah se hackers kisi website mai php Backdoor ko upload karke hack kar sakte hai.
Yaha humne apko yeh sab apni hi website par karke btaya hai. Lekin aap aise hi kisi website par yeh attack ko perform mat kare. Kyoki aisa karna illegal hota hai.
How to use Remot3d Tool ?
Aise hi Remot3d tool ka bhi use kiya jata hai. Sabse pahle apko yeh tool ko github se clone karna hota hai. git clone https://github.com/KeepWannabe/Remot3d
Yeh tool ko clone karne ke baad aap ise install karke iska use kar sakte hai. Apko sabse pahle setup ko run karna hota hai. Kuch is tarah (sudo bash setup.sh).
Yeh tool install ho jayga. Sabhi payload yeh tool apne aap hi install kar dega . Kuch is tarah se apke samne show ho jayga.
Yeh sab setup hone ke baad aap yeh tool ko run kar sakte hai. (sudo bash Remot3d.sh) command dekar aap yeh tool ko run kar sakte hai. Yeh kuch is tarah se show hota hai.
Yaha apko option select karna hota hai. Jaise yaha apko first option select karna hota hai. Yeh sab karne ke baad apko PHP Backdoor ka name or password dena hota hai. Yaha aap sabhi options ka use kar sakte hai.
Yaha humne ek PHP Backdoor create kiya hai. Humne yaha Freelearn.php name se create ki hai. Yeh hum DVWA mai upload karke bata rahe hai. Yeh file create hone ke baad apko Remot3d ke folder mai hi mil jati hai.
Yaha aap dekh sakte hai humne php file ko hackable/uploads ke folder mai upload kiya hai. Aise mai aap dekh sakte hai yaha backdoor alive show ho raha hai.
Yaha humne apko ek DVWA mai or ek Live apni hi website par yeh attack ko perform karke btaya hai. Hacker aise hi bahut sare methods ka use karke kisi website ko hack karte hai.
The Conclusion
Main umeed karta hu ki apko PHP Backdoor ke bare mai pata chal gaya hoga. Yaha humne apko practically sab kuch btaya hai. Yeh sab kaise kiya jata hai aise apko nahi btaya ja sakta hai.
Yaha kuch security reasons ki vajah se apko website ko deface karna practically nahi btaya ja sakta hai. Lekin yaha hackers ko bas main file ko remove karna hota hai.
Yaha aap samjh sakte hai kisi website ki main file konsi hoti hai jise hum Homepage ka name se jante hai. Hackers usi file ko hi replace karte hai ya coding upload kar dete hai.
Yaha website hacking ke jaise apko pahle practical btaye gaye hai. Aise hi yaha apko btaya gaya hai. Hum jante hai website hacking ko sabhi sikhna chahte hai.
Lekin kuch persons meri hi is website par Bruteforce attack ko perform karte hai. Main bhi yeh baat samjhta hu ki itna weak password nahi fill kiya hoga maine.
Yaha login attempt ki limit bhi set ki gyi hai url hide kiya gaya hai captcha lgaya gaya hai. Lekin mai yeh ache se janta hu ki captcha bypass kaise kiye jate hai kaise hidden url find kiye jate hai.
Aise mai mujhe kabhi kabhi problem face karni padti hai. Limit puri hone ke vajah se mera hi IP Address kabhi kabhi kuch limited time ke liye block ho jata hai. Isliye aap aisa mat karen.
Main umeed karta hu ki aap dubara se is website par kisi tarah ka attack perform nahi karege. Yaha apko sab kuch free mai sikhaya jata hai.
Agar apka kisi tarah ka koi question hai to aap comment mai puch sakte hai. Meri taraf se apki puri help ki jayegi. Humare article ko share jarur karen.
Sharing is caring
Thankyou
Leave a Reply