Is that possible to find exact location using Trace IP ?

Apne kabhi na kabhi jarur search kiya hoga How to trace ip , How to know location, IP Logger, How to trace location using ip address.

Is tarah se apne bhi bahut bar search kiya hoga. Apko bahut sari websites or youtube par videos bhi mili hongi. Jaha kisi ke Ip ko trace karke dikhaya jata hai.

Lekin agar hum apko yeh kahe ki aap kuch bhi karle kisi ki exact location ko ip ki help se trace nahi kar sakte hai. Aise mai apko shayd humari baat par believe nahi hoga. Lekin yeh sach hai.

Hum apko is article mai detail mai bata denge. Kyo kisi ki location ko IP address ki help se trace nahi kiya ja sakta hai.

Hum is article mai apke sabhi doubts ko clear kar denge. Main umeed karta hu ki apko yeh article acha lagega.

Why we not Trace location using IP ?

Hum apko detail mai bata rahe hai kyo ip ki help se kisi ki exact location ko trace nahi kiya ja sakta hai. Aapko yeh to pata hi hoga Google par jab aap myip ya whatismyip likhte hai apko IP Address show hota hai.

Lekin apne shayd kabhi notice nahi kiya hoga. Apko jo ip address show hota hai veh kuch time baad change ho jata hai.

Aap khud ise try karna aap abhi apne browser par myip likhe or jo bhi apko IP Address show hoga use notepad mai save karle.

Aise hi aap kuch time lagbhag ik hour ke baad apne device ka net ko band karke on kare. ya hotspot use kar rahe hai tab bhi hotspot ko off karke on karna.

Yeh sab karne ke baad aap dubara se browser type karna apko last ke digit change mil jayege. Jaise videos mai btaya jata hai ki yeh public ip hai ise trace kiya jata hai.

Lekin real mai aapka public IP bhi change ho jata hai. Kyoki veh ek static IP address nahi hota hai veh dynamic IP address hota hai.

Yeh sab aap Ip Address ke article mai padh sakte hai. Ab aap khud soch sakte hai jo Ip address kuch time baad change hi ho jata hai to aise mai exact location ko kaise trace kiya ja sakta hai.

Aisa isliye hota hai kyoki apko jo Ip address show hota hai veh ISP ka hota hai or apko vahi ip allot hota hai jo us time free hota hai jab aap internet se connect hote hai.

Aise mai jab aap internet band kar dete hai apko jo IP Address alot hua hota hai veh kisi or ko alot ho jata hai. Is tarah se ISP Ip address ka use karte hai.

Grabify use for trace ip ?

Grabify ke bare mai apne kabhi na kabhi jarur suna hoga jiski help se kisi ke ip address ko nikala jata hai.

Apko bahut sare videos or articles mil jayege jaha grabify ya ip logger ki help se pahle ip address ko find kiya jata hai uske baad ip ki help se location ko trace kiya jata hai.

Hum apko yeh baat clear kar de ki Ip address tak to sahi hota hai. Lekin exact location ko IP ki help se trace nahi kiya ja sakta hai. Grabify se kuch is tarah IP Ko find kiya jata hai.

Yaha aap kisi bhi tarah ka link de sakte hai. Jaise yaha humne apni hi website ka link diya hai. Yeh sab karne ke baad aapko Grabify ka link mil jata hai.

trace ip

Yaha aap dekh sakte hai apko grabify ka link mil gaya hai. Yaha se aap is link ko copy karke jab apne victim ko send karte hai. Tab jaise hi veh is link ko open karta hai apko yahi IP Address mil jata hai. Kuch is tarah.

Yaha apko is tarah se victim ka IP Address mil jata hai. Lekin yeh static nahi hota hai iske last ke digits change ho jate hai. Hum yaha kisi youtube channel ya website ki burai nahi kar rahe hai.

IP Logger

Aise hi IP Logger ka use bhi kiya ja sakta hai. Lekin vaha se bhi aap IP Address ko nikal sakte hai bas. Ek baat ka dhyan rakhe apko bots ko hidden karna hota hai.

trace ip

IP Logger ki website kuch is tarah se open hoti hai. Yaha bhi apko IP address to mil jata hai lekin aap trace nahi kar sakte hai.

trace ip

Yaha bhi apko grabify ki tarah hi ek link mil jata hai. Jis tarah se grabify ka use kiya jata hai vaise hi IP Logger ka bhi use kiya jata hai. Apko logged ips mai victim ke IP Address mil jate hai.

trace ip

Yaha apko jo ip address or jo location mil rahi hai veh ISP ki location hai. Aap dekh sakte hai apko yaha new Delhi show ho raha hai. Lekin mai Delhi mai nahi hu .

Apko Grabify or IP Logger ki help se IP address ko find karke uske baad apko IP Ki help se longitude or langitude ko find karke location ko trace karke dikhaya jata hai.

Lekin aisa bilkul nahi hota hai apko reason bata diya gaya hai. Kyoki apka public IP Address bhi change ho jata hai. Aisa nahi hai ki agar IP change ho jata hai tab aap kisi bhi tarah ka illegal hacking kar sakte hai. Jaise bank account hacking ya carding.

Apka public IP address change jarur hota hai lekin ISP Provider ke pass record hota hai ki konsa IP address kitne time ke liye or kise alot kiya gaya hai yeh record ISP apne pass rakhta hai.

The Conclusion

Main umeed karta hu ki ab apke sabhi doubts clear ho gaye honge. Kyo Ip address se kisi ki location ko trace nahi kiya ja sakta hai.

Yaha hum kisi youtube channel ya website ki burai nahi kar rahe hai. Hum bas apko reality bata rahe hai.

Ip address ke bare mai detail mai aap padh sakte hai apko IP ki classes ke bare mai btaya gaya hai. Aap ek bar jarur padhe apko samjh mai a jayga.

Kaise IP address ka use kiya jata hai or kis series ke ip address ko kinhe alot kiya jata hai. Networking ki knowledge ka hona jaruri isliye hi kaha jata hai agar aap Ethical hacker bana chahte hai.

Kyoki networking ke topics ka bhi use Ethical Hacking mai kiya jata hai. Isliye aap networking ko bhi jarur padhe or samjhe.

Thankyou.

Be the first to comment

Leave a Reply

Your email address will not be published.


*