How to use Nessus vulnerability scanner ?

Nessus tool ka use kisi website mai vulnerability scan karne ke liye kiya jata hai. Yeh tool apko pahle se install nahi milta hai. Aap iska use windows or kali linux dono mai kar sakte hai.

Hum yaha apko Nessus tool ka use windows mai karke bata rahe hai. Yeh tool ko kaise install kiya jata hai apko yeh sab yaha btaya ja raha hai. Hum apko yeh sab educational purpose ke liye bata rahe hai.

Nessus ek aisa tool hai jiska use kaarke aap system Scan , Website scan or bhi bahut tarah ki vulnerability scanning kar sakte hai. Aap jab iska use karte hai to apko yeh tool jarur pasand ayga.

Note- This article is only for educational purpose. Don’t miss use your knowledge and skills.

How to install Nessus ?

Sabse pahle apko Nessus ko install karna btaya ja raha hai. Apko ise yeh website se download karna hota hai. Yaha aap apne Operating system ke liye ise download kar sakte hai.

Aap yaha se isko download kar sate hai. Download Nessus Yaha humne window 7 ke liye ise download kiya hai. Yaha se Download karne ke baad apko Get Activation code par click karna hota hai.

Download karne ke baad aap jab Activation code par click karte hai to apko register karna hota hai. Apko Next page par register ka option mil jata hai. Yeh kuch is tarah hota hai.

Register par click karke apko kuch information deni hoti hai. Jaise name or apka Gmail address yeh sab karne ke baad apko mail mai Activation code mil jata hai.

Nessus

Apko activation code ke milne ke baad Nessus ko install karna hota hai. Jaise hum kisi normal software ko install karte hai. Aise hi aap ise bhi install kar sakte hai.

Yeh software install hone ke baad apke browser mai kuch is tarah se open ho jata hai. Yaha open hone ke baad apko connect via SSL par click karna hota hai.

Nessus

Connect via ssl par click karne ke baad apke samne kuch is tarah se open ho jata hai. Yaha hum Nessus Professional ka use kar rahe hai. Yeh sab karne ke baad apse Activation code manga jata hai.

Nessus

Yaha apko activation code fill karna hota hai jo apke mail mai ata hai. Activation code fill karne ke baad aap yaha account bana kar iska use kar sakte hai.

Nessus

Nessus par account bnane ke baad jab aap submit par click karte hai to apko yaha thoda sa wait karna hota hai. Yaha plugins download hote hai. Kuch is tarah.

Nessus

How to solve download failed error ?

Agar apke Computer mai plugins install ho jate hai to aap iska use kar sakte hai. Lekin agar apko bhi download failed ki error milti hai kuch is tarah se to apko plugins ko update karna hota hai.

Nessus

Yaha jaise mere Computer mai mujhe yeh error mili hai agar apko bhi aise error milti hai to apko update karna hota hai. Yaha apko command bhi di gayi hai.

Sabse pahle apko Command Prompt ko run as administrator karna hota hai. Yeh sab karne ke baad apko CMD ke through iske directory mai enter hona hota hai.

Yaha aap dekh sakte hai cd (C:\Program Files\Tenable\Nessus) is tarah se aap Nessus ki directory mai enter ho sakte hai. Yaha apko dir command run karne par nessuscli ki file mil jati hai.

Nessus

Yaha apko command deni hoti hai aap (Nessuscli upadte –all) or (Nessuscli update) command ke through plugins ko update kar sakte hai. Yeh sab download hone mai thoda sa time apko lagta hai.

Download hone ke baad aap dubara se url ke through ya search box nessus web client likh kar run karte hai to apke Computer par Yeh software run ho jayga.

Agar phir bhi nahi hota hai to aap ek bar Computer ko restart karle uske baad apke computer mai yeh tool run ho jayga. Yeh sab karne ke baad Nessus kuch is tarah open ho jayga.

How to Find vulnerability using Nessus ?

Nessus Software run hone ke baad aap yaha bahut tarah ki vulnerability scanning kar sakte hai. Yaha apko bahut tarah ke options mil jate hai. Yeh kuch is tarah se open hota hai.

Nessus

Yaha aap dekh sakte hai aap sabhi options ka use kar sakte hai. Aap jab Nessus ka use karte hai to apko khud hi samjh mai ane lag jata hai. Yaha hum apko basic Network scan karke bata rahe hai.

Nessus

Yaha apko Target set karna hota hai. Target set karne ke baad aap save ke button par click karke use launch kar sakte hai. Agar aap kisi target ko scan karte hai to apko bahut time lagta hai.

Yaha aap dekh sakte hai save karne ke baad apko launch ka button mil jata hai. Launch karne ke bad apke target par vulnerability scanning start ho jati hai.

Jaise apko pahle How to find Vulnerability in a Website ke article mai btaya gaya hai. Vulnerability milne par apko link mil jata hai kaise hackers use exploit kar sakte hai aise hi apko yaha bhi mil jata hai.

Yaha is tarah se Nessus tool Vulnerability ko scan karta hai. Apko yaha bahut wait karna hota hai. Yeh tool apko bahut information nikal kar deta hai. Isliye apko iska use jarur sikhna chahiye.

The Conclusion

Main umeed karta hu ki apko Nessus ke bare mai pata chal gaya hoga. Yeh tool Vulnerability scanning ke liye bahut acha hai isliye apko iske bare mai btaya gaya hai.

Nessus ki tarah or bhi tools hai jinke bare mai apko age bata diya jayga. Hum apko aise bahut sari knowledge age ane vale articles mai provide karenge.

Aise hi aap Kali Linux mai kuch commands ke through ise run kar sakte hai. Sabse pahle apko Nessus ko download karna hota hai. Download karne ke baad aap use kar sakte hai.

Jaise tool ko Desktop mai save kiya hai aise mai cd Desktop mai jakar (dpkg -i File name) Yeh tool install ho jayga. Iske baad apko command deni hogi (service nessusd start). Iske baad aap Browser mai run kar sakte hai.

Agar apko Nessus ko use karne mai kisi bhi tarah ki koi problem hoti hai to aap comment mai puch sakte hai. Humari taraf se apki puri help ki jayegi. Aap humse contact karke bhi puch sakte hai.

Agar apko yeh article acha lagta hai to ise share jarur karen. Hum jald hi new website launch kar rahe hai jaha apko yahi sabhi articles english mai milege.

Sharing is Caring

Thankyou

Be the first to comment

Leave a Reply

Your email address will not be published.


*