Important WordPress Plugins (Part 2) in Hindi ?

Yeh article pahle vale article ka dusra part hai. Humne apko ise pahle WordPress Plugins par ek article diya tha. Agar usi mai sabhi ke bare mai btaya jata to veh bahut bada ho jata.

Yaha hum apko WordPress ke kuch or plugins ke bare mai bata rahe hai. Yeh bhi apko jarur apni Website mai use karne chahiye. Yeh sabhi Plugins ko apko btaye ja rahe hai hum khud bhi use karte hai.

Agar apne ise pahle vala article abhi tak nahi pada hai to aap use ek bar jarur padh le. Most Important WordPress Plugins in Hindi ?. Yaha hum apko baki ke Plugins ke bare mai bata rahe hai.

Important WordPress Plugins

Hum yaha apko jo bhi WordPress plugins ke bare mai bata rahe hai. Aap unka use jarur karen. Yeh sabhi ka use karna aap ke liye useful ho sakta hai.

Yaha aapko Jitne bhi WordPress Plugins ke bare mai btaya ja raha hai. Sabhi ke bare mai apko detail mai bata diya jayga. Aise mai aap apni requirements ke hisab se unka use kar skate hai.

WPS Hide Login

Jaise ki naam se hi pata chalta hai WPS Hide Login. Yeh WordPress ke Bahut important Plugins mai se ek hota hai. Aap iski help se apni Website ke admin panel ke url ko hi change kar sakte hai.

Yeh WordPress Plugin ka use apko jarur karna chahiye. Jaise hum jante hai Hackers Bruteforce attack karte hai aise mai veh admin panel ko hi find karte hai.

Agar unhe admin panel ka url address hi nahi milta hai. Aise mai veh Bruteforce attack nahi kar sakte hai. Apko iska use jarur karna chahiye.

WordPress Plugins

Yeh plugin install hone ke baad apko WordPress settings mai show ho jata hai. Kuch is tarah se aap apne hisab se url ko change kar sakte hai. Yeh sab karne ke baad aap dekh payege admin panel ka url address change ho jayga

Easy table of Contents

Yeh bhi WordPress ka ek acha plugin hai. Iska use agar aap karna chahte hai to aap kar sakte hai. Hum apko iske bare mai jarur btana chahte hai.

Agar aap yeh WordPress Plugin ko apni website mai install karte hai tab aapke visitors ko apke article padhne mai asani hoti hai. Yeh plguin install hone ke baad apko Yoast SEO ke niche hi show ho jata hai.

Yeh Plugin ko aap vaise hi install kar sakte hai. Jaise aap kisi dusre WordPress plugins ko install karte hai. Yeh aapko article mai kuch is tarah show hota hai.

WordPress Plugins

Sharing WordPress Plugins

Jaise ki naam se hi pata chalta hai Sharing wordPress Plugins. Apko apki Website mai share buttons ko jarur lgana chahiye. Aise mai visitors ke pass option mil jata hai apke article ko share karne ka.

Aap kisi bhi plugin ka use kar sakte hai. Sumo me Plugin ka use sabse jada kiya jata hai. Apko Sumo me ki website par jakar account create karna hota hai. Yeh sab karne ke baad apko vahi plugin bhi mil jata hai.

Aap apne hisab se sharing buttons ko apni website mai laga sakte hai. Yeh bahut hi easy hota hai. Aap Sharing WordPress plugins ko apni website mai jarur use karen.

Post Views Counter

Aap agar chahte hai to Post Views counter plugin ka bhi use kar sakte hai. Yeh plugin apke sabhi article ke views ko count karke apke visitors ko show karvata hai.

Aise mai apko bhi easily pata chal pata hai apke kis article par kitne views hai. Jaise youtube ki videos mai views show hote hai aise hi Website par articles mai bhi views show karva sakte hai.

WordPress Plugins

Aap kisi bhi plugin ko use karne se pahle uski installation or rating jarur dekhlen. Aisa bhi ho sakta hai aap ke liye koi or plugin useful ho mere liye koi or ho.

Jaise sabhi ko alag alag themes achi lagti hai. Aise hi plugins bhi hote hai jo sabhi ko alag alag ache lagte hai. Yaha apko ek guide kiya ja raha hai kis tarah ke WordPress Plugins ka aap use kar sakte hai.

Sitemap WordPress Plugins.

Sitemap WordPress Plugins ko apko apni website mai jarur use karna chahiye. Kyoki jab bhi google ke bots kisi website par crawl karte hai tab veh sabse pahle Sitemap ko hi find karte hai.

Sitemap mai apke sabhi articles or pages ke links hote hai. Jaise hum jab bhi Website create karte hai aise mai hum chahte hai Google humari website ko index karta hai.

Agar aap apni website mai sitemap ko lgate hai tab google ke bots ko apki website ke sabhi pages par jane ki jarurt nahi hoti hai. Veh sitemap se hi apke sabhi articles ko index kar leta hai.

Sitemap ka fayda apke visitors ko bhi milta hai. Apke website ke visitors ko sitemap par jakar apke sabhi articles ke links mil jate hai.

Aise mai agar humari website mai facebook hacking ya wifi hacking ke articles padhne hote hai tab veh search karte hai ya sitemap ke through humare sabhi articles ko padh sakte hai.

WordPress Plugins

Aap dekh sakte hai. Yeh humari is website ka sitemap hai apko yaha humare sabhi articles ke links mil jate hai. Aap bhi aisa WordPress Plugins ki help se kar sakte hai.

The Conclusion

Main umeed karta hu ki apko yeh sabhi WordPress Plugins pasand ayege. Humne apko sabhi ka use btaya hai. Aap apne hisab se inka use apni website mai kar sakte hai.

Yaha abhi apko kuch or plugins ke bare mai btaya jayga. Apko yeh age ane vale article mai bata diya jayga. Jaise unse related topics apko milege apko unhi mai WordPress Plugins ke bare mai bata diya jayga.

Yaha humne apko kuch plugins ke bare mai btaya hai. Aap inka use apne hisab se apni website mai kar sakte hai. Humne apko yeh bhi bata diya hai kinka use apko jarur karna chahiye.

Agar aap ethical hacking or CEH ke bare mai padhna chhate hai to aap veh bhi yaha padh sakte hai. Agar apka kisi bhi tarah ka koi question hai to aap comment mai puch sakte hai.

Apko yeh article acha lagta hai to ise share jarur karen. Aap humare WordPress par pahle ke articles ko bhi jarur study karen. Humne apko shuru se btaya hai.

Sharing is Caring

Thankyou.

Be the first to comment

Leave a Reply

Your email address will not be published.


*