Is article mai hum apko FREE RDP ke bare mai bata rahe hai. Jaise How to Get FREE RDP , What is RDP, RDP ka use kyu kiya jata hai apke sabhi questions ka answer apko yaha mil jayga.
Yaha hum apko FREE RDP lene ka ek method bata rahe hai. Aise hi bahut methods hote hai jinka use karke aap FREE RDP le sakte hai. Yaha hum apko Qwiklabs website se bata rahe hai.
Aap is tarah ke FREE RDP ka use kisi illegal purpose ke liye kabhi bhi mat karen. Kyoki agar aap jada illegal activities karte hai to aise mai apka account ban ho jayga.
Apne dekha hoga kuch persosn RDP ko sell karte hai like one month RDP 16 GB ram, 32 GB Ram, 60 GB Ram yaha hum apko 60 GB Ram ka bana kar dikha rahe hai.
Yaha speed bahut jada hoti hai kisi normal internet ki itni speed nahi hoti hai jitni RDP Servers ki hoti hai. Hum apko yaha FREE RDP ke bare mai bata rahe hai.
Yaha is FREE RDP ki speed 3-5 GB/s ki lagbhag hmesha hi rehti hai. Aap yaha high speed internet ka use kar sakte hai. Lekin kisi tarah ki illegal activity ko karne ke liye inka use kabhi mat karen.
Note – This Article is only for educational purpose. Don,t miss use your knowledge and skills.
Also Read
What is RDP ?
RDP ke bare mai jadatar sabhi ko pata hi hota hai. Yaha sabhi ko aaj ke time mai RDP ki jarurt hoti hai. Hackers bhi RDP ka use karke Carding, Spamming jaise illegal kaam karte hai.
RDP ka pura naam Remote Desktop Protocol hota hai. Aap RDP ka use karke apne Computer se kisi or RDP Computer se connect ho sakte hai. Aise mai sabhi features RDP ke use hote hai.
Jaise apke Computer Memory mai RAM 4 GB hai or RDP mai 60 GB hai to aise mai aap RDP se connect hokar badi badi files ko bhi bahut speed se download kar sakte hai.
RDP Servers apko free aise nahi milte hai. Yaha aap agar RDP servers ke trial ko bhi use karna chahte hai to aise mai apko kuch limited time ke liye hi use karne ko diya jata hai.
Yaha hum apko one month subscription kaise liya jayga iske bare mai practically bata rahe hai. Lekin aap iska use kisi bhi illegal purpose ke liye kabhi bhi mat karen.
How to get FREE RDP ?
Sabse pahle apko ek website open karni hoti hai. Vaha apko sabse pahle offer ko claim karna hota hai. Website ka link apko diya ja raha hai. https://inthecloud.withgoogle.com/training-discount/register.html .
Yaha yeh sab karne ke baad FREE RDP lene ke liye apko apni kuch information fill karni hoti hai. Aap yaha apni sahi information hi fill karen.
Yaha information kuch is tarah fill karne ke baad apko niche option mil jata hai. qwiklabs unlimited access ka apko use tick karna hota hai. Yeh sab karne ke baad claim kar sakte hai.
Yeh sab karne ke baad apko FREE RDP lene ke liye claim button par click karna hota hai. Click karne ke baad apke pass ek mail a jata hai. Yeh mail kuch is tarah hota hai.
Mail ane ke baad apko yahi link diya jayga. Aap isi link ke through hi open kare. Open karne ke baad apko FREE RDP lene ke liye ek code mil jata hai. Apko code ko copy karna hota hai.
Is tarah se code milne ke baad apko Register button par click karna hota hai. Yaha agar aap direct register karte to aap 30 days ke liye ise use nahi kar sakte hai.
Kyoki apko credits nahi mil pate hai. Upar diye gaye image mai codes ka use karke bhi credits claim kiye ja sakte hai. Yeh kuch limit persons ke liye hi hota hai.
Yaha isliye apko khud ka bhi code create karna bata diya gaya hai. Agar hum apko yaha isi code ke through btate to kuch hi person iska use kar sakte the.
Yaha apko vo code paste karna hota hai. Iske baad apke account mai 5 credits add ho jate hai. Aap yaha Gmail se hi signin kar sakte hai. Aap usi Gmail se signin kare jis par mail aya hai.
How to Create FREE RDP For Monthly ?
Aap upar image mai dekh sakte hai apko 9 credits show ho rahe hai. Yaha humne pahle bhi use kiya hai yaha apko 5 credits show ho jayegi ek bar website ko refresh karne ke baad apko show ho jata hai.
Yeh sab karne ke baad apko FREE RDP ko one month ke liye use karne ke liye kuch settings karni hoti hai. Yaha apko home page mai kuch is tarah mil jayga.
Yaha click karne ke baad apke samne start lab ka option show hoga. Aap yaha usi feature ka use karen jaha free likha hoga. Yaha apko start lab par click karna hoga.
Click karne ke baad thik 10 secs ke baad apko end lab karna hoga. End lab karne ke baad app jab dubara se apne account ko refresh karke jab check hai to apko monthly subscription mil jata hai.
Aap dekh sakte hai yaha apko pahle credits show ho rahe the ab apko yaha Monthly subscription show ho raha hai. Yeh sab karne ke baad aapko RDP Server create karna hota hai.
How to create RDP Server ?
Yeh sab karne ke baad apko RDP server create karna hota hai. Home page mai akar apko vm instance likh kar search karna hota hai. Kuch is tarah se aap search kar sakte hai.
Yaha apko servers show ho jate hai. Apko yaha bas ek hi problem hoti hai yaha 1:30 hours ke baad FREE RDP server band ho jata hai. Lekin aap use dubara se bhi create karke start kar sakte hai.
Yaha apko Start lab par click karna hota hai start lab par click karne ke baad apko use subscription par click karna hota hai. Yeh sab karne ke baad FREE RDP server ka Timer start ho jata hai.
Yaha apko open google console par click karke username or password ke through login karna hota hai. Jaise hum normally gmail account mai login karte hai vaise hi yaha karna hota hai.
Yeh sab karne ke baad FREE RDP server ka dashboard open ho jata hai. Kuch is tarah se apke samne dashboard open ho jayga. Open hone ke baad apko compute engine par click karke vm instances par click karna hoga.
Yeh sab karne ke baad apke samne create ka option a jata hai. Create par click karne ke baad aap apne hisab se RAM or server ko select karke create kar sakte hai. Kuch is tarah.
Yaha humne 60 GB ram or 50 GB storage ka use kiya hai. Yeh sab karne ke baad apko niche firewall ka option mil jata hai allow http and allow https par click karke create par click karna hota hai.
Yaha apke sabhi steps khatam ho jate hai create par click karne ke baad apka FREE RDP server create ho jayga. Yeh sab karne ke baad aap high speed internet ka use kar sakte hai.
Yeh sab karne ke baad aap Download file ka use karke FREE RDP ka use kar sakte hai. Apko Set windows password par click karke password mil jata hai.
First time jab aap iska use karte hai to apko RDP connection mai kuch error mil sakti hai. Yeh sab 3,4 bar try karne par bhi agar apka FREE RDP work nahi karta hai.
Aise mai aap ek bar signout karke dubara se signin karke FREE RDP Server ko create karte hai to apka RDP server sahi se work kar jata hai. Yeh error kabhi kabhi hi milti hai.
Yeh sab karne ke baad search mai Remote Desktop connection likh kar aap ise connect kar sakte hai. Yaha connect par click karne ke baad apko username password dena hota hai.
Yaha username or password dalne ke baad aap RDP se connect ho jate hai. Iske baad RDP ka use easily kar sakte hai.
Yaha aap dekh sakte hai. 60 GB RAM apko mil jayegi. Yeh sab karne ke baad aap high speed internet ka use easily kar sakte hai. FREE RDP ka use aap kisi illegal purpose ke liye kabhi mat karen.
The Conclusion
Main umeed karta hu ki apko FREE RDP Create karne ke is method ke bare mai pata chal gaya hoga. Ab apko How to get FREE RDP likh kar search karne ki jarurt nahi hogi.
Aise hi or bhi RDP servers ka hi jinhe kuch tricks ka use karke create kiya ja sakta hai. Apko age ane vale articles mai unke bare mai bhi bata diya jayga bas aap kisi tarah ki illegal activity mat karen.
Agar apko FREE RDP Create karne ke kisi bhi tarah ki koi problem ati hai to aap comment mai puch sakte hai. Yaha aap online account cracking mai bhi iska use mat karen. Jaise netflix, hotstar etc.
Agar apko humara yeh article acha lagta hai to ise share jarur karen. Main umeed karta hu ki aap humari is website ko jarur support karenge. Aap aise hi FREE RDP ke chakar mai scam na ho isliye apko btaya gaya hai.
Sharing is Caring
Thankyou
Leave a Reply