How to access FTP Servers in Hindi ?

Is article mai hum apko FTP servers ke bare mai bata rahe hai. Jaise How to access FTP Servers, How to Hack FTP servers, What is FTP Servers apke sbhi question ka answer apko isi article mai mil jayga.

Yeh apko Educational purpose ke liye btaya ja raha hai. Yaha apko FTP Servers ko Hackers kaise hack karte hai iske bare mai practically btaya ja raha hai.

Kaise Hackers FTP Servers ka pata karte hai uske baad kaise un par attacks karte hai. Kaise IP Address or ports ke through devices ko hack kiya jata hai yeh sab apko btaya ja raha hai.

Note – This article is only for educational purpose. Don’t miss use your knowledge and skills.

What is FTP Servers ?

FTP servers ke bare mai deeply apko age bata diya jayga. Yaha apko yeh jana jaruri hai FTP Servers kya hote hai. Humne apne Windows pc mai Server ko enable kiya hai.

Yaha aap is FTP Servers par attack karna bhi chahege tab bhi nahi kar sakte hai. Kyoki yeh temporary apko samjhane ke liye ports ko open kiya gaya hai.

FTP ka pura naam File Transfer Protocol hota hai. Yaha aap file sharing jaise kaam kar sakte hai. Lekin yaha vahi files share hoti hai jinhe access diya jata hai.

Yaha humne apne Computer ki user ki file ko access diya hai aise mai agar is par attack kiya jata hai to username or password ke through Computer ki users file ko bhi access kiya ja sakta hai.

FTP servers ko enable kaise kiya jata hai. Kaise off kiya jata hai kaise setup kiya jata hai yeh sab apko age bata diya jayga. Yaha apko yeh btaya ja raha hai FTP Server ke ports open milne par kaise hack kiya jata hai.

How to hack FTP Servers ?

FTP Servers ko hack karne ke liye hacker ko open ports ki jarurt hoti hai. Port open hone par access kiya ja sakta hai. Yhaa Bruteforce attack ke through FTP Servers ko hack kiya jata hai.

Yaha sabse pahle open ports ko scan karna hota hai. Yeh kaam Nmap ke through kiya ja sakta hai. Apko phle btaya gaya hai Important Information gathering tools ke article mai.

Nmap ka use karke Hackers open ports ka pata laga sakte hai. Yaha FTP Servers ke sath netbios msrpc ports ke open milne par bhi inhe access kiya ja sakta hai. Yeh apko age btaya jayga.

Apko sabse pahle nmap ki kuch commands deni hoti hai. Command (nmap -sS 192.168.43.1/24) ya aap aise bhi kar sakte hai agar apko target ip address pata hai (nmap -F 192.168.43.162).

FTP Servers

Apko is tarah se open ports ki information mil jati hai. Yeh sab karne ke baad agar apko FTP Servers open milta hai tab use Medusa ya hydra ka use karke Bruteforce attack kiya ja sakta hai.

Yaha Medusa or Hydra dono apko pahle se install milte hai. Aap upar image mai command dekh sakte hai. Yaha humne users or passwords ki file create ki hai yeh sab apko samjhane ke liye kiya gaya hai.

Lekin yaha Hackers bahut badi password list ka use karte hai. Jaise apko pahle btaya gaya hai Target based Password list kaise bnayi jati hai. Medusa ya Hydra ka use karne ke liye apko simple terminal mai likhna hota hai.

How to use BruteDum ?

Jaise kiya yaha pahle nmap se open ports ka pata lgana hota hai uske baad Medusa ka use kiya gaya hai. Aise hi aap chahe to BruteDum tool ka bhi use kar sakte hai. Yeh github par mil jata hai.

Brutedum tool ko git clone karke ise download kar sakte hai. git clone https://github.com/GitHackTools/BruteDum uske baad chmod 777 dekar executable bnaya jata hai.

Yeh sab karne ke baad aap (python ./brutedum.py) command dekar iska use kar sakte hai. Yaha agar python command se tool work nahi karta hai to aap (python3 ./brutedum.py) use karke run kar sakte hai.

Yeh tool kuch is tarah se open ho jayga. Yaha apko nmap bhi isi tool mai automatic run karna hota hai. Medusa bhi automatic work karta hai.

Yaha nmap ka use karke open ports ki information nikali ja sakti hai. Yaha yes par click karte hi nmap apna work karta hai. Apko open ports ki information nikal kar deta hai.

FTP Servers

Yaha RDP Cracking mai bhi iska use kiya jata hai. Jaise ki apko btaya gaya hai RDP ka use Spamming or Carding jaise illegal Hacking mai kiya jata hai. Yaha hum FTP servers par attack kar rahe hai.

Apko user list or password list ka path dena hota hai Port scan ki image humne yaha show nahi ki hai. Aap iska use karte hai to aap samjh jayege. Yeh simple hota hai.

Yeh sab karne ke baad apse option pucha jata hai. Aap hydra ka use karna chahte hai ya medusa ka yaha humne medusa ka use karke FTP Servers ko crack kiya hai.

FTP Servers

Yaha aap dekh sakte hai. Yeh tool automatic hi work karta hai. Yaha apko nmap or medusa ko manually run nahi karna hota hai yeh automatic hi work karta hai.

How to access ?

Yaha username or password ko found karne ke baad hackers access kar sakte hai. Yeh kuch is tarah se Browser ke through access kiya ja sakta hai.

FTP Servers

Yeh sab karne ke baad jab Ftp servers hack ho jate hai to unhe username passwords ke through access kiya ja sakta hai. Browser mai is tarah type karke inhe access kiya ja sakta hai.

FTP Servers

Yaha vahi files ka access milta hai jinhe allow kiya jata hai. Yeh sab kaise kiya jata hai yeh sab apko age bata diya jayga. Kuch settings karke humne apne pc par FTP Servers ko open kiya hai.

The Conclusion

Main umeed karta hu ki apko RDP Servers ko crack karne ke bare mai pata chal gaya hoga. Yaha open ports ka use karke hackers bahut tarah ke hacking attacks kar sakte hai.

Isliye apko aise ports ko kabhi open nahi rakhna chahiye jinka use karke hackers apke devices ko access kar sakte ho. Jaise telnet, FTP, netbios aise bahut sare ports ka use hackers karte hai.

Yeh sab se safe rehne ke liye apko aise hi kisi bhi port ka access nahi dena chahiye. Agar apke computer mai ports open hote hai to aap unhe band bhi kar sakte hai.

Agar apka kisi bhi tarah ka koi question hai to aap comment mai puch sakte hai. Yeh sab educational purpose ke liye hai aap iska miss use kabhi mat karen.

Sharing is caring

Thankyou

Be the first to comment

Leave a Reply

Your email address will not be published.


*