Variable Python and Print Emojis in Hindi ?

Variable Python mai kyu use kiye jate hai. Kaise use kiye jante hai. Is article mai apko yeh sab practically btaya ja raha hai. Variable sabhi pogramming languages mai use hote hai.

Humne apko pahle bhi python programming language par article diye hai. Jaise Escape Sequences Python and Comments Python ? , How to use Print Function Python ?

Agar apne humare pahle ke articles nahi padhe hai tab aap unhe bhi padh sakte hai. Is article mai hum apko Variable Python mai use karna or emojis kaise print karvaye jate hai yeh dono bata rahe hai.

What is Variable ?

Agar aap programming mai interest rakhte hai aise mai apne Variable ka naam jarur suna hoga. Kyoki Variable ka use bahut tarah ki programming language mai hota hai.

Aise hi Variable Python mai bhi use kiye jate hai. Yaha Variable Python mai jaise use kiye jate hai aise dusri programming language mai use nahi kiye ja sakte hai.

Sabhi tarah ki programming language mai Variable alag alag tarah se use kiye jate hai. Yaha hum apko Variable python mai kaise use karna hai yeh bata rahe hai.

Variable ka use hum program mai value store karvane ke liye karte hai. Jaise user ki value , age etc. Jaise apko kisi ka name print karvna hai aise mai aap Variable Python mai use kar sakte hai.

How to use Variable Python ?

Variable Python mai use karke aap apne program mai kisi bhi tarah ki value ko print karva sakte hai. Yaha kuch rules hote hai jinhe apko follow karna hota hai.

Variable Python mai use karne ke rules bhi apko isi article mai bata diye jayege. Aap image mai dekh sakte hai. Jaise humne name = “freelearningtech” ko print karvaya hai.

Yaha humne name mai jo value store ki gyi hai use print karvaya hai. Yeh Print function ka use karke bhi kiya ja sakta hai. Yaha apko Variable Python mai use karna bataya ja raha hai.

Variable ki values ko aap apne hisab se change bhi kar sakte hai. Yeh sab aap hi define karte hai.

Variable Python

Aise hi aap numbers ko bhi print karva sakte hai. Variable Python mai use karne ke liye apko value declare karne ki jarurt nahi hoti hai.

Jaise hum dusri programming languages mai declare karte hai. int , float , char etc. Yaha Variable Python mai use karne ke liye apko kuch bhi declare nahi karna hota hai.

Variable Python

Variable Python mai agar apko ek se jada words ka use karna hai. Aise mai aap underscore ka use kar sakte hai. Is tarah ki writing ko snake case writing kaha jata hai.

Aisa nahi hai ki agar aap two words mai underscore ka use nahi karte hai. Aise mai apko kisi tarah ki error milti hai. Lekin agar aap underscore ka use karte hai.

Aise mai dekhne vale ko easily samjh mai a jata hai ki yeh two words ka use kiya gaya hai. Aap niche di gyi image mai dekh sakte hai. Aap jaise bhi use karte hai apko error nahi milti hai.

Variable Python

Aise hi aap Camel case writing ka use kar sakte hai. Camel case writing mai apke use kiye gaye sabhi alphabets ka first letter capital hota hai. Kuch is tarah se aap image mai dekh sakte hai.

Yaha kuch is tarah se hum Variable Python mai use kar sakte hai. Variable Python mai ya kisi bhi programming language mai bahut use hote hai. Isliye apko iske bare mai jarur pata hona chahiye.

Rules of Variable Python

Variable Python mai use karne ke kuch rules hote hai. Jinke bare mai apko jarur pata hona chahiye. Chaliye in rules ke bare mai baat karte hai.

  • Aap kabhi bhi Variable ki starting number se nahi kar sakte hai. Jaise apko images mai dikhaya gaya hai. Aise hi aap kisi bhi number se use nahi kar sakte hai. For Example 123 = “Facebook hacking“.
  • Aap variable ki starting kisi tarah ke special symbols se bhi nahi kar sakte hai. Jaise @#$nikhil = “Whatsapp Hack“. Yeh sab bhi aap use nahi kar sakte hai.
  • Variable Python mai aap underscore se start kar sakte hai. Jaise _freelearningtech = “Bluetooth Hacking” .
  • Aap numbers ka use kisi word ke andar kar sakte hai. Lekin kisi bhi tarah ke special symbols ka use kisi word ke andar nahi kar sakte hai. Jaise use nik4hil = “IOT Hacking not use fre$e = “Spamming“.
Variable Python

Yaha aap image mai dekh sakte hai apko show kiya gaya hai. Variable Python mai aap kaise use kar sakte hai or kaise nahi apko yaha sab kuch show kiya gaya hai.

How to print Emojis in Python ?

Apne kabhi na kabhi tools mai ya kisi tarah ke program mai emojis ko print kiya hua jarur dekha hoga. Aap bhi aisa kar sakte hai. Unicodes ka use karke aap bhi aisa kar sakte hai.

Yeh Website ka link apko yaha de diya jayga. Yaha aap dekh sakte hai aap inhi unicodes ka use karke kisi bhi tarah ke emojis ko python mai print karva sakte hai. Emoji List.

Yaha aap dekh sakte hai aap bhi kuch is tarah se emojis ko print karva sakte hai. Apko yaha + sign ko change karke three zeros deni hoti hai or backslash ka use karna hota hai.

Jaise Apko unicode milta hai kuch is tarah U+1F603 Yaha apko kuch is tarah se karna hota hai print(“\U0001F603”) Aap image mai bhi dekh sakte hai. Is tarah se emojis ko print kiya jata hai.

The Conclusion

Main umeed karta hu ki apko Variable Python mai kaise use kiye jate hai or Emojis ko Python mai kaise print karvaya jata hai iske bare mai pata chal gaya hoga.

Yaha humne apko Variable Python mai kaise use kiye jate hai yeh btaya hai. Lekin jaise jaise aap programming ko deeply sikhte hai aap variable ka use karna bhi sikh jate hai.

Variable Python mai apko bahut jagah use karne hote hai. Jaise aap kisi tarah ka 18+ software ya games create karte hai. Aise mai bhi aap user se values le sakte hai.

Yeh sab apko age bata diya jayga. Agar apka Variable Python ya emojis se related kisi bhi tarah ka koi question hai tab aap comment mai puch sakte hai.

Agar apko humara yeh article acha lagta hai. Aise mai ise jarur share kare. Yaha apko python ke basics or advanced sab kuch bata diya jayga. Aap apne tools ko create kar sakte hai.

Sharing is Caring

Thankyou

Be the first to comment

Leave a Reply

Your email address will not be published.


*