How to use Print Function Python ?

Print function Python ke bare mai apko yaha bata rahe hai. Apne bhi kabhi na kabhi jarur search kiya hoga Print function python, How to use Print Function. Yaha hum apko sab practically bata rahe hai.

Yaha hum apko print Function python mai karke bata rahe hai. Hum yaha apko separator or End ka use karke bhi bata rahe hai. Yeh article ko aap dhyan se padhna or practice jarur karna tabhi aap python sikh sakte hai.

Yaha hum apko Pycharm software or kali linux mai karke bata rahe hai. Humne apko pahle hi Pycharm software ka use btaya hua hai. Aap veh article bhi padh sakte hai. How to Write Your Python Program ?

Use of Print Function in Python

Yaha hum apko software ka use karke Print function python mai use karke bata rahe hai. Aapko pahle humne two softwares ke bare mai btaya hua hai.

How to use Print function in Python ?

Jaise ki apko btaya gaya hai Print function Python mai kisi bhi value ko print karvane ke liye karte hai. Hacking mai hum Github se download kiye gaye jitne tools ka use karte hai sabhi mai Print Function ka use kiya gaya hota hai.

Yaha humne ek file create ki hai. Aap terminal ka use karke program ko run kar sakte hai. Jaise yaha print(“freelearningtech”) apko show ho raha hai. Yaha brackets mai jo bhi value hai use hum string kehte hai.

Yaha aap double quotes ka bhi use kar sakte hai sath hi aap single quotes ka bhi use kar sakte hai. Jaise aap use karna chahte hai kar sakte hai apko kisi tarah ki error nahi milti hai. Lekin sabhi programming languages mai single quotes ka use nahi kiya ja sakta hai.

Yaha aap dekh sakte hai. Kuch is tarah se aap print function python mai use kar sakte hai. Print(‘freelearningtech’). Yaha aap pycharm software ka hi use kar sakte hai pahle ke article mai apko btaya gaya hai.

Yaha aap double quotes ke andar kabhi double quotes ka use nahi kar sakte hai. Lekin double quotes ke andar aap single quotes ka use kar sakte hai. Aise hi aap Single quotes ke andar double quotes ka bhi use kar sakte hai. Kuch is tarah.

Print Function Python

Yaha aap dekh sakte hai. Kuch is tarah se aap Print function python mai use kar sakte hai. Aap yaha double quotes ke andar ek bar bhi single quote ka use kar sakte hai. Aise hi aap Single Quote ke andar bhi ek baar double quote ka use kar sakte hai.

Print Function Python

How to use separator and end in python

Jaise aap print Function python mai value print larvane ke liye use hota hai. Aise hi aap separator ka bhi use kar sakte hai. Yaha numbers ko print karvane ke liye sath hi numbers ke space ko fill karne ke liye aap separator ka use kar sakte hai.

Print Function Python

Jaise aap yaha dekh sakte hai humne numbers ko print karvane ke liye kisi tarah se double quotes ya single quotes ka use nahi kiya hai. Yaha commas ka use kiya gaya hai. Aise hi sep ka use karke aap numbers ke bich mai jo print karvana chahte hai karva sakte hai.

Jaise humne yaha star print karvaya hai. Kuch is tarah se aap bhi kar sakte hai. Yeh sab aap practice karege tabhi aap sikh sakte hai. Aise hi yaha agar aap separator mai kisi tarah ki value nahi dete hai tab yeh by default space rehti hai.

Yaha aap end ka bhi use kar sakte hai. end ka use hum tab karte hai jab hume do alag alag link mai likhe gaye print function python mai ek hi line mai print karvana hota hai. Yaha by default value slash n hoti hai “/n”.

Print Function Python

Aap dekh sakte hai humne numbers ke sath end or sep ka ek sath use karke kuch is tarah se Print Function python mai use kiya hai. Aise hi file ka bhi use kar sakte hai vo apko age bata diya jayga. Yeh sab aap jarur karke dekhe.

How to use Print Function in Kali Linux ?

Jaise apko windows mai Pycharm mai print function ka use karke btaya gaya hai. Aise hi aap Kali Linux mai bhi use kar sakte hai. Yaha hum isi python file ka use karke apko bata rahe hai. Kuch is tarah aap bhi karke dekh sakte hai.

Print Function Python

Yaha nano command ka use karke aap Print function mai edit bhi kar sakte hai. Kuch is tarah python command ka use karke aap program ko bhi run kar sakte hai. Jaise yaha humne kiya hai. Yaha aap cat command ka use karke dekh bhi sakte hai.

Print Function Python

Aap bhi is tarah se print function ka use python mai karke dekh sakte hai. Yaha aap chahe to visual studio code software mai bhi Python mai program bna sakte hai. Aap humara pahle ka article jarur padhle.

The Conclusion

Main umeed karta hu ki apko Print function Python mai karna pata chal gaya hoga. Yaha print function ka use or bhi tarah se kiya jata hai. Aap jaise jaise sikhege aapko sab pata chalta jayga. Hum yaha apko apne tools bnana bhi bata denge.

Yaha kuch persons ko c# programming language sikhni hai veh bhi apko yaha bata di jayegi. Mai akela hi apne articles khud likhta hai aise mai aap samjh sakte hai ek din mai do articles practically karne mai time lagta hai.

Hum yaha apko python programming language bhi step by step bata denge. Jaise yaha apko aaj print function ke bare mai btaya gaya hai. Apko aise hi sab kuch samjh mai a raha hai tab aap bata sakte hai.

Agar aap chahte hai ki mai videos bhi bnau sath sath or aise bhi bata du tab bhi aap bata sakte hai. Jaise bhi aap sikh paye easily samjh paye comment karke bata de. Mere samjhane ka tarika agar acha nahi hai tab bhi aap bata sakte hai.

Agar apko humara yeh article acha lagta hai tab ise share jarur karen. Humare articles sabse pahle padhne ke liye blog ko subscribe jarur karen. Yaha aap Ethical hacking , Networking, SEO, WordPress sab sikh sakte hai.

Sharing is Caring

Thankyou

Be the first to comment

Leave a Reply

Your email address will not be published.


*