User Input Python and String Concatenation ?

Is article mai hum apko User Input Python and String Concatenation ke bare mai bata rahe hai. Kaise Python mai user se kisi tarah ki input fill karvayi jati hai.

String Concatenation kaise aap apne program mai do strings ko attach kar sakte hai yeh sab apko is article mai practically btaya ja raha hai. Input ek function hai jiska hum use karke apko bata rahe hai.

Input Function ka use karne se pahle apko yeh samjhna hota hai ki String Concatenation kya hota hai. String Concatenation ka use kyu kiya jata hai.

Yaha apko Hum sab kuch practically bata rahe hai. Sath hi apko yeh bhi bata diya jayga kaise use karne par apko error mil sakti hai or kaise error nahi milti hai.

What is Input python Function and String Concatenation ?

Input Python mai ek function hai jiska use karke aap user se kisi bhi tarah ki value ko enter karva sakte hai. Jaise hum dusri Programming Languages mai karte hai.

Aise hi Input Python mai bhi use kiya jata hai. Lekin yeh samjhne se pahle apko String Concatenation ke bare mai jarur pata hona chahiye.

String Concatenation ka use apko Input python mai use karna hota hai. Isliye apko iske bare mai bhi pata hona chahiye. Jaise ki naam se hi pata chalta hai.

String Concatenation mai hum program mai two strings ko ek sath add karke use kar sakte hai. Jaise hume kisi ka name print karvana hai aise hi String Concatenation ka use kiya jata hai.

String Concatenation

Jaise ki apko btaya gaya hai String Concatenation ka matlab kisi do string ko ek sath attach karne ke liye use kiya jata hai. Jaise apko jab kisi person ka name print karvana hota hai tab iska use kiya jata hai.

Input Python

Jaise ki aap image mai dekh sakte hai. Yaha humne do strings ko ek sath attach kiya hai. Yaha humne apne name ko print karvaya hai. space dene ke liye humne alag se space ko as a string use kiya hai.

Aap agar chahe to name ke piche bhi space dekar aisa kar sakte hai. Jaise “Nikhil ” Aap aisa bhi karke space ke sath kisi name ko print karva sakte hai. Aap string ke sath kisi number ko attach nahi kar sakte hai.

Input Python

Yaha aap dekh sakte hai Apko comment mai btaya gaya hai. Kaise use karne par apko error milti hai kaise use karne par apko error nahi milti hai. Yaha number ko string mai type karke use kar sakte hai.

Lekin number ko direct attach karke use nahi kar sakte hai. Aap kisi word ko multiple times bhi print karva sakte hai. Jaise humne kayi tarah ke tools mai aisa dekha hota hai.

Input Python

Jaise ki apko btaya gaya hai Input python mai use karke user se kisi tarah ki value ko liya jata hai. Jaise apko user se Name puchna hota hai. Mobile Number puchna hai.

Input Python

Jaise aap image mai dekh sakte hai. Yaha humne input python mai use karke user se hi uski information ko fill karva kar print karvaya hai.

Humne yaha Sabse pahle input di hai What is your name yeh sab ke baad user apna name deta hai uske baad hello username print karvaya hai. Yeh sab ke baad number pucha gaya hai.

Input Python

Aise hi aap int function ke sath bhi use kar sakte hai. Yaha apko ek baat dhyan mai rakhni hoti hai. Jaise String Concatenation mai number ke sath string attach nahi kar sakte hai.

Aise mai Input Python mai use karne ke liye aap yaha b ke sath bhi nahi kisi string ko attach kar sakte hai. Kyoki b mai jo value hogi veh ek number hogi.

Aisa isliye kyoki yaha humne int function ka use kiya hai. Isliye aap user se value ko print karva sakte hai. Lekin Strings mai number ko use karke.

Input Python

Jaise aap yeh image mai dekh sakte hai. Yaha humne Input Python mai use karke user se hi value print karva kar multiply karvaya hai. Yaha hum agar int ka use karte aise mai hume error milti hai.

Input Python

Jaise yaha aap dekh sakte hai Yaha error mili hai aisa isliye hua hai. Kyoki b mai value jo user ne di hai veh ek number hai. print humne karvaya hai ek string ke sath +b.

Yaha b mai jo value hai veh int mani gyi or jaise apko btaya gaya hai String Concatenation mai btaya gaya hai ek string ke sath number ko attach nahi kar sakte hai.

Jaise yaha aap dekh sakte hai Input Python mai use karke humne jab user se number ko print karvaya hai. Aise mai b ko bhi ek string declare kiya hai. Isliye hume kisi tarah ki error nahi mili hai.

Aap bhi aisa karke User se Number ko print karva sakkte hai. Lekin yaha ek baat dhyan mai rakhni hoti hai Ek string ke sath ek string ko hi attach kiya ja sakta hai.

The Conclusion

Maine umeed karta hu ki apko Input Python or String Concatenation ke bare mai pata chal gaya hoga. Yaha humne apko dono ka use ache se bataya hai.

Humne apko pahle Python par or bhi articles diye hai. Jaise Variable Python and Print Emojis in Hindi ? , Escape Sequences Python and Comments Python ? .

Aap humare pahle ke articles ko jarur padhle. Yaha apko Ethical Hacking, Facebook Hacking, Whatsapp Hack, Instagram Hacking, IOT Hacking, Networking ke bare mai bhi btaya gaya hai.

Aap yeh sab bhi agar sikhne chahte hai aise mai humare veh articles ko bhi read kar sakte hai. Agar apko Input Function Python mai use karne mai ya String Concatenation se related kisi tarah ka koi question hai.

Aise mai aap humse comment mai puch sakte hai. Humari taraf se apki puri help ki jayegi. Apko humara yeh article acha lage to ise share jarur karen. Humare blog ko jarur subscribe karen.

Sharing is Caring

Thankyou

Be the first to comment

Leave a Reply

Your email address will not be published.


*