How to find Website Vulnerability in Hindi?

Is article mai hum apko Website Vulnerability kaise find ki jati hai iske bare mai bata rahe hai. Jaise How to find Vulnerability in a Website. Apne bhi kabhi na kabhi yeh jarur search kiya hoga.

Yaha apko kuch tools ki help se Website Vulnerability find karke btaya ja raha hai. Apko jitne jada methods or tools ke bare mai knowledge hoti hai aap ke liye utna hi acha hota hai.

Kyoki har bar aap ke liye koi ek hi tool ka method work nahi karta hai. Apko hmesha ek hi attack ko karne ke liye bahut se methods ka pata hona chahiye phir chahe veh Website Vulnerability find karna kyo na ho.

Yeh sab apko yaha jo kuch bhi btaya jata hai chahe Facebook Hacking ho, whatsapp hacking ho, Website Hacking ho yeh sab apko paid courses mai milta hai. Yaha apko sab free btaya jata hai.

Youtube par yeh sab apko nahi btaya ja sakta hai. Is website ko jinhone pahle se follow kiya hua hai veh jante hai. Youtube par strike ki vajah se yeh sab apko nahi btaya ja sakta hai.

Note- This article is only for educational purpose. Don,t miss use your knowledge and skills.

Find Vulnerability in a Website using Nikto ?

Sabse pahle apko Website Vulnerability find karne ke liye jis tool ke bare mai btaya ja raha hai veh Nikto tool hai. Yeh tool apko pahle se hi install milta hai.

Apko simple terminal mai Nikto likh kar ise run karva sakte hai. Yeh tool run ho jayga. Aap Nikto Tool ka use Website Vulnerability find karne ke liye kar sakte hai.

Website Vulnerability

Aap nikto -h likh kar iski help ko check kar sakte hai. Agar aap nikto -H capital h likhte hai to apko sabhi features show ho jate hai apko kaise kisi website Vulnerability find karne ke liye inka use karna hai.

Website Vulnerability

Yaha aap dekh sakte hai apko simple ci command deni hoti hai. (nikto -h websitedomain – Tuning 9) yaha Tuning ka matlab aap jab nikto -H likh kar run karte hai apko show ho jata hai.

Jaise upar ki image mai apko Display ke option show ho rahe hai unke age numbers bhi show ho rahe hai. Yaha aap (nikto -h Websitedomain -Display 3) Is tarah se bhi use kar sakte hai.

Yaha humne ek vulnerable website Vulnerability ko find kiya hai. Is tarah se yeh tool apko information provide karta hai. Yaha apko thoda wait karna hota hai.

Website Vulnerability

Yaha yeh Website Vulnerability ko is tool ne find kiya hai. Aap jab kisi website Vulnerability ko find karte hai to Vulnerability milne par yeh tool apko link bhi deta hai.

Yaha is Website mai jo Vulnerability find hui hai aap dekh sakte hai likha hua hai. Php reveals potential sensitive information via certain http requests.

Yaha iska matlab hai yeh Vulnerability Hackers ko allow karti hai ki veh vulnerable modules ko find karke unhe exploit kar sakte hai. Nikto tool apko Website ki bahut tarah ki Vulnerability find karke deta hai.

Find Vulnerability in a Website using RedHawk ?

Jaise website Vulnerability find karne ke liye Nikto ka use kiya jata hai aise hi RedHawk ka use bhi kiya jata hai. Yeh tool apko github par mil jata hai.

Aap is tool ko git clonehttps://github.com/Tuhinshubhra/RED_HAWK install kar sakte hai. Yeh tool install hone ke baad aap ise simple si command ke through run kar sakte hai. (php redhawk.php)

Aapko ls command ke through enter hona yeh sab nahi btaya gaya hai. Kyoki yeh sab apko pahle bata diya gaya hai. Yeh tool kuch is tarah se run ho jata hai.

Website Vulnerability

Yaha apko website deni hoti hai bad mai aap http ya https ke option ko select kar sakte hai. Yeh sab karne ke baad aap website mai Vulnerability find kar sakte hai.

Website Vulnerability

Yaha aap dekh sakte hai apko sabhi options show ho rahe hai. Aap website Vulnerability find karne ke liye kisi bhi option ka use kar sakte hai. Agar apko kisi tarah ki error milti hai to aap F capital ka use kar sakte hai.

Website Vulnerability

Yaha aap dekh sakte hai aap is tarah se sabhi options ka Website mai Vulnerability find karne ke liye use kar sakte hai. Aap jab in tools ka use karte hai to aap khud hi sikh jayege.

Is tarah se aap kisi bhi website ki Vulnerability ko find kar sakte hai. Yaha apko humne kuch examples ke through inka use karna btaya hai. Sabhi ke bare mai bata pana possible nahi ho pata hai.

The Conclusion

Main umeed karta hu ki apko yeh pata chal gya hoga kis tarah se kisi Website Vulnerability kiya jata hai. Yaha humne apko do hi tools btaye hai.

Aise bahut sare tools hai jinka use kiya jata hai. Apko jitne jada knowledge hogi aap ke liye utna hi acha hota hai. Kyoki aap nahi jante hai aap ke liye kab konsa method ya tool work karta hai.

Isliye aap in sabhi ke bare mai jitni jada knowledge gain kar sakte hai jarur karen. Yaha apko ho sakta hai agar aap new hai to errors bhi face karni pad sakti hai.

Lekin hum apko apne experience se bolte hai jitna aap errors ko khud solve karte hai bina kisi ki help se utna hi jada aap sikh sakte hai. Isliye agar koi error milti hai to apko ghabrana nahi chahiye.

Yeh sab apko educational purpose ke liye btaya gaya hai. Aap inka miss use kabhi mat karen. Permission ke bina kisi website par attack karna illegal hota hai.

Kyoki agar koi problem hai to uska koi na koi solution bhi hmesha hota hai. Yaha apko thoda khud ke mind se karna hota hai thoda online research karke karna hota hai.

Aap humari is website ko agar starting se follow karte hai to aap Ek ache ethical hacker jarur ban sakte hai. Hum yaha daily apko do articles dete hai. Jo apko kisi website par daily nahi milte hai.

Agar apko humara yeh article acha lagta hai to ise share jarur karen. Agar kisi bhi tarah ki koi problem ati hai to aap comment mai puch sakte hai.

Sharing is Caring

Thankyou

Be the first to comment

Leave a Reply

Your email address will not be published.


*